Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Chand pe muhammad (saw) ka name
Collapse
X
-
Re: Chand pe muhammad (saw) ka name
walaikum salam,
Mujhey kal kaha gaya tha k Pak. aur saudia mey chand pe Allah aur Muhammad (s.a.w) ka naam likha nazar a raha hai....
Aur merey pass tau itna cloudy day tha....
Kya aap mey sey kisi ney dekha?
as MSA said mujhey bhi nahi pata chal raha hai k kidher likha hai aap mark hi ker dein :-$" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Chand pe muhammad (saw) ka name
Waise koi mujhay aik baat samjhe de....
Hamein yeh cheez itni fascinate kyun kurti he k chand pe Allah ka naam he, ya Rasool Allah(SAW) ka naam he...ya kisi aur jaga pe....
matlab mujhay yaad perta he k Nabi'oN k zamane me log kehte thay k hamein Allah ki qudrat dikhao to phir un k lie chand 2 tukre hota tha....murdo ko zinda kia jata tha....
Hum to Alhamdullillah musalman he...hame to pata he Allah aik he aur Rasool (SAW) Allah k akhri rasool he...phir bhi hum kyun dhondte he aisi cheezain jo bazahir visible nahi he...??
Comment
-
Re: Chand pe muhammad (saw) ka name
Originally posted by MSA View PostWaise koi mujhay aik baat samjhe de....

Agar dhoondna hai to Allah or uske Rasool (S.A.W) ko apne or logon k dil me dhoondo or agar na mile to doob ke mar jaaane ka muqaam hai aise muslims per........
Aaj hum deen se door hen or yahi waja hia k har jaga se zaleel or khuwaar ho rahe hen.......
Hamari taleemat per amal kar k dosre ghair muslim aaj kamyaab hen or hum unke ghulaam bante ja rahe hen ..........
Na jaane kub hum muslims ko aqal aaye gi

Hum to Alhamdullillah musalman he...hame to pata he Allah aik he aur Rasool (SAW) Allah k akhri rasool he...phir bhi hum kyun dhondte he aisi cheezain jo bazahir visible nahi he...??Originally posted by Mr.Khan View PostExactly............ I completly agree with u MSA :thmbup:
Agar dhoondna hai to Allah or uske Rasool (S.A.W) ko apne or logon k dil me dhoondo or agar na mile to doob ke mar jaaane ka muqaam hai aise muslims per........
Aaj hum deen se door hen or yahi waja hia k har jaga se zaleel or khuwaar ho rahe hen.......
Hamari taleemat per amal kar k dosre ghair muslim aaj kamyaab hen or hum unke ghulaam bante ja rahe hen ..........
Na jaane kub hum muslims ko aqal aaye gi
Jesa ke kisi ne khob kaha hai Musalman aur Momen mein kia farq hai, Musalman ALLAH ko manta hai aur Momen ALLAH ki manta hai, hum Musalman to hai lekn Momen nhi hain
Aur rhi baat ap dono ke swal ki to janab yeh ALLAH ki qudrat hai aur aesi chezon se jhan taq mera taluq hai Iman taza aur mazbot hota hai.
Comment
-
Re: Chand pe muhammad (saw) ka name
Originally posted by pakgates View Posthumne deen ke liay kuch mhnt nhi ki, hum peda huay to hmain bs pata tha keh hm Musalman hain, hm bus naam ke Musalman hain, warna hamare amal to kahein se Musalmanon ke jese nhi hain.
Jesa ke kisi ne khob kaha hai Musalman aur Momen mein kia farq hai, Musalman ALLAH ko manta hai aur Momen ALLAH ki manta hai, hum Musalman to hai lekn Momen nhi hain
Aur rhi baat ap dono ke swal ki to janab yeh ALLAH ki qudrat hai aur aesi chezon se jhan taq mera taluq hai Iman taza aur mazbot hota hai.
Waise me thora sa momin ho:$
Comment
-
Re: Chand pe muhammad (saw) ka name
Originally posted by MSA View Postyahi to masla he...mera nahi hota.....issi lie to kehta ho feeling ki kami he idherich....
Waise me thora sa momin ho:$
wase aik kahane share krta hoon ghor karye ga
Aik gion mein aik kisaan aur uss ka aklota beta rehta tha. Bete ne apne baap se swal kia keh Abou jab hum Quran prhte hain to humein iss ka matlab to samajh nhi ata kiun keh humain Arbi to ati nhi phr bhi hum Quran kiun prhein.
Kissan ne apne bete ko aik thela dia jali wala (jis mein hum aksar pyaz rakhte hain), aur kaha iss mein jio aur koila(coal) bhar kr lio. Beta gia aur koila bhar kr le aya, phr kisaan ne kaha jio ab issaty khali karo aur iss mein pati bhar kr lio, bete ne kaha yeh kese mumkin hai, iss mein to surakh hain pani to gir jiay ga, kissan ne kaha tum lio to. Beta gia aur thela khali kia to thela bohat kala ho gia tha, uss mein pani bhara aur wapis lane laga to baap taq pohancte pohancte sara pani beh gia. Baap ne kaha phr jio aur pani bhar kr lio, bete ne phr aesa kia, lekin phr pani sara beh gia. Baap ne kaha phr pani le kr aaio, bete ne phr aesa hi kia, phr sara pani beh gia.
Bete ne baap se pocha keh meinne ap se kaha tha keh pani nhi aa sakta, baap ne kaha ab tum thela deko, bete ne thela dekha to woh bilkul saaf ho gia tha. Baap ne kaha dekha jis tarah koiye ke kaliq wala thela pani se bilkul saaf ho gia, issis tarah jab hum Quran prhte hain to humain iss ka ilm bhi nhi hota aur hamara dil aesi hi saaf ho jata hai.Last edited by pakgates; 29 December 2009, 10:20.
Comment
-
Re: Chand pe muhammad (saw) ka name
Originally posted by pakgates View Posthaan haan kitne Momen hain ap nazar aa rha hai :lol
wase aik kahane share krta hoon ghor karye ga
Aik gion mein aik kisaan aur uss ka aklota beta rehta tha. Bete ne apne baap se swal kia keh Abou jab hum Quran prhte hain to humein iss ka matlab to samajh nhi ata kiun keh humain Arbi to ati nhi phr bhi hum Quran kiun prhein.
Kissan ne apne bete ko aik thela dia jali wala (jis mein hum aksar pyaz rakhte hain), aur kaha iss mein jio aur koila(coal) bhar kr lio. Beta gia aur koila bhar kr le aya, phr kisaan ne kaha jio ab issaty khali karo aur iss mein pati bhar kr lio, bete ne kaha yeh kese mumkin hai, iss mein to surakh hain pani to gir jiay ga, kissan ne kaha tum lio to. Beta gia aur thela khali kia to thela bohat kala ho gia tha, uss mein pani bhara aur wapis lane laga to baap taq pohancte pohancte sara pani beh gia. Baap ne kaha phr jio aur pani bhar kr lio, bete ne phr aesa kia, lekin phr pani sara beh gia. Baap ne kaha phr pani le kr aaio, bete ne phr aesa hi kia, phr sara pani beh gia.
Bete ne baap se pocha keh meinne ap se kaha tha keh pani nhi aa sakta, baap ne kaha ab tum thela deko, bete ne thela dekha to woh bilkul saaf ho gia tha. Baap ne kaha dekha jis tarah koiye ke kaliq wala thela pani se bilkul saaf ho gia, issis tarah jab hum Quran prhte hain to humain iss ka ilm bhi nhi hota aur hamara dil aesi hi saaf ho jata hai.
waise yeh story perhi hui he me ne....aur me is pe yakeen bhi rakhta ho...
Comment
Comment