Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Urdu lughaath, farhang,

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Urdu lughaath, farhang,

    Pey,
    ism e mua'anas,
    farsi ,urdu, ka theesra harf hay, aur hindi haroof e sahih ka 21wan harf hay,
    hisab e jumul main iss kay be bey ki tarha 2 adad shumaar kiyay jathay hain,
    hindi main jab alif kay saath kisi siffath kay akheer main athe hay, tho oss ko ism bana daitha hay,ya nisbath kay ma'ani daitha hay, jaysa keh
    " badhaPa, yaani badha pan, badhay say nisbath raknay wala,
    ye harf aksar haroof e zail kay saath badla jatha hay, jaysa keh
    ' Ponga = Bonga, Pukhrand= Bukhrand, Phal Phal= Bhal Bhal, chaPak= chaBak, thuP= thuB,
    They kay saath, Pis= Tis, Pairna= Tairna, Pilli= Tilli,
    Jeem kay saath, Paleez= Jaleez, guPthi= guJthi,
    Che kay saath, Phalangna= Chalangna, thaPna= thaChna,











    sigpic

  • #2
    Re: Urdu lughaath, farhang,

    Thanks for sharing with us. Please keep it up
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Urdu lughaath, farhang,

      Paa, "pe aur alif"
      ism e muzzakar,
      ma'ani= pawon, qadam,
      murakabaath main mathlab = istheqraar , qiyaam ,istheqlal, baikh, bunyaad,











      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Urdu lughaath, farhang,

        Pa andaaz, farsi ka lafz hay, jissay urdu main shamil kiya giya hay,
        ism e muzzakar,
        ma'ani= wo farsh jo makan kay andar darwaza par pawon ki gard saaf ho janay kay waasthay bicha daithay hain,











        sigpic

        Comment

        Working...
        X