Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khilafat Aur Insaaf Ka Taqaza

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khilafat Aur Insaaf Ka Taqaza

    Assalaam Alaikum WR WB



    Click image for larger version

Name:	ATT00002.jpg
Views:	1
Size:	186.6 KB
ID:	2482960

    Click image for larger version

Name:	ATT00001.jpg
Views:	1
Size:	235.2 KB
ID:	2482961

  • #2
    Re: Khilafat Aur Insaaf Ka Taqaza

    و عليكم السلام و رحمة الله

    Meri ap se or baqi sub se request hai k jub bhi koi riwayat share karnii ho tu plz us ki thorri si jaanch kar liya karein...

    Bhaijaan ba'zahir tu ye riwayat buhut hi achi or sabaq'amooz hai..magar haqeeqat kuch or hai...is riwayat mai jagah jagah sahaba ki tanqees ki gayi hai..is ko agar hum is k masadir se parrhein tu wahan ye bayan atta hai k jub Umar (razia'llahu a'nh) ne apney betey se poocha tu kuch in alfaaz mai poocha..."apney nabi k waastey or apney baap k waastey" yaani qasam di apney betey ko khud ki or Hazoor'e'Pak (salallahu a'laihi wassalam) ki ...yani Allah k siwa kisi or ki qasam..!!!!!....or har momin ye yaqeen rakhta hai k Umar is sub se buhut oonchey hain...paak hain...
    phir ye baat ati hai k wo sunnat'e'Rasool k hum se zyada pairwii kartey hain...Hazoor Pak (salallahu a'laihi wassalam) k paas jub Maa'iz (raziallahu anh) aye k "Ya Rasoolallah..Main ne zina kiya"..tu hazoor Pak (salallahu a'laihi wassalam) ne us ko khud se door janey ko kaha...phir us ne dobara kaha or Un(salallahu a'laihi wassalam) ne us ki baat na suni ..jub us ne baar baar kaha tu Hazoor(salallahu a'laihi wassalam) ne us se kaha k "Tum pagal tu nahiin ho"....is k alawa aik or mouqey par jub isi tarah koi shakhs Umar raziallau anh k paas aya or apna gunah qabool kar k Hud jarii karney ko kaha tu Umar raziallahu anh ne farmaya.. "Allah ne tum par parda daal diya tha agar tum khud par parda daaltey tu"..tu kaisey wo apney betey ko qassam dey kar aitraaf karwa saktey hain...

    or phir poori riwayat mai jis tarah har zarb k saath un k kalaam ko khoobsoorati se paish kiya gaya hai...jaisey pehley zarb par wo kehta hai.."Bismillah"..Umar jawaab detey hain"Behtareen naam liya tum ne beta"..doosrey zarb par wo kehta hai.."AAh merey abba"..Umar raziallahu anh farmetey hain.."jaisey gunaah kiya waisey sabar bhi kar"...waghera ..tu ye sub is baat ko saabit karta hai..k ye riwayat mehaz bachoon or ortoon ko emotional karney k liye waza' ki gayi hai..haqeeqat se is ka koi ta'aluq nahii...

    or isi tarah jo sahaba ne agey barrh kar kaha k hud baad mai poori kar leejiye ga or Un ki maan ne kaha k mai is k bajaye huj kar loon gii....har a'qil ye baat ba'khoobi samaj sakta hai k Sahaba ka muqaam is sub se kahiin zyaada buland hai...

    isi tarah Huzaifa raziallahu anh ka khwaab...or phir haan Abu hashma ko isi riwayat mai Hazoor'e'Pak salallahu alaihi wassalam se mushabih kaha gaya hai...or phir is k baad un par is tarah ki fahashi ka ilzaam...yahoodiyoon k haan sharaab'noshi ka ilzaam......Na'oozobillah min kuley haza....

    Dar'ul'qutani mai is hadees/riwayat ko ghalat kaha gaya hai..or is k rawiyoon mai naqs bayaan kiya gaya hai...

    so umeed hai k is tarah ki riwayaat ko share karney se pehley ab ap sub isnaad or us ka hukam kitaboon se zaroor check karein gey....
    .......................!!!!!

    Comment


    • #3
      Re: Khilafat Aur Insaaf Ka Taqaza

      Aap ne buhat acha bayaan kiya hai apne views ko....

      Bazahir is tehreer koi reference nahi diya hua......... Mai ne is tehreer ko yahan post karne sey pehle kuch aise log jo deen ke baare me Alhumdolillah buhat knowledge rakhe hein or deen ko samajhte bhi hein ( un logon me Aabi bhai ka naam bhi shamil hai ) un sub ko is tehreer ke baare me aagha kiya , sub ne is tehreer ko parh kar ek hi baat ki ke jis tehreer me Islaam ke Qawaneen, Nizaam ya Islam ki koi bhi shaan ke baare me bayaan kiya hua ( Except Nabi Kareem Sallahu Wa Allehe Wasallam ) , us tehreer ko kisi ko bayaan karne me ya bataane me koi harj nahi hai,

      Us ke baad hi ye tehreer mai ne yahan post ki hai,

      Waise to ye insaani fitrat hai ke woh kisi bhi cheez ke negative point ko pick karta hai ya postive point ko woh us ke apne upper depend karta hai...... Jin points ko aap ne highlights kar ke emotional motivation ka naam diya hai woh aap ki soch hai .....

      Jazak'Allah
      Love your Forum, Build Your Forum (PEGHAM)


      Comment


      • #4
        Re: Khilafat Aur Insaaf Ka Taqaza

        well main ne batana apna farz samjha...par khair agar is baarey mai ilm rakhney waley logoo ne is ko bayan karney mai koi harj nahii samjha tu theek hai...:)

        ap ki niyyat k liye Allah ap ko jaza'e'khair dey...
        .......................!!!!!

        Comment

        Working...
        X