Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Urdu lughaath, farhang,

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Urdu lughaath, farhang,

    Assalam u alaikum hazraath o khawatheen,
    jaysa keh hum sab ye janthay hain keh, ye FORUM urdu ki tharweej o tharaqee kay liyay koshan hay,
    main nay yahan bahuth kuch daika aur padha,
    yaqeenan yahan wo sab kuch mujay padhnay ko milla, jo aik achay library main hona chahiyay,
    yahan kay members ki efforts bahuth ziyada hain, aur qabil e thareef hain, anthik mehnath hay, in sab ki waja say aaj ye forum aik roshan maqam par chamak raha hay,
    Allah aap sab ki iss mukhlisana mehnath ko dunya aur akhirath ki bhalaye kay liyay qabool farmayay,











    sigpic

  • #2
    Re: Urdu lughaath, farhang,

    mujay yahan aik cheez daiknay ko nahi milli, jo keh urdu alfaaz ka tharjuma hay,
    ya tho kisi nay iss ki zaroorath nahi samjhi hay, keh hum sab urdu janthay hain , bolthay likthay hain, aur mathalib be samajthay hain, waja ho sakthee hay,aur yaqeenan aysa hi hoga,
    main nay socha keh yahan par ye thread main shoro kardoon, insan hamesha say na mukamal hay aur rahayga, hum sab yahan seekthay aur sikathay hain, kuch na kuch naya ilam kisi na kisi kay pass zaroor hotha hay, jis ka doosray ko ilam nahi hotha,yahan share karnay say jahan tak ho saktha hay, jithnay members hain un tak ye ilam ponch jatha hay,











    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Urdu lughaath, farhang,

      ayain yahan be hum sab hasb e sabiq apna ilam ossi jazbay say share karain, jo abb tak karthay aa rahay hain,thakay ye forum aur be ziyada chamaktha nazar ayay, ye forum chamkay ga, tho iss forum kay members ki waja say chamkay ga, aur phir iss forum kay members be roshan sitharon ki man'nind nazar ayingay, aur yaad kiyay jayingay,











      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Urdu lughaath, farhang,

        yahan par pegham academy main urdu encyclopedia kay name say section hay, jis main urdu lafz "alif say lay kar"ya,ye," tak saray alfaz sub sections ya sub threads kay name say sticky hain, hum jo be lafz aur oss ka tharjuma share karain, ossi lafz ki section main share karaingay, naye cheez ye hoge, keh jo be member yahan jo urdu lafz share karayga, aur oss ka tharjuma share karayga, koshish karay ga, keh wo share karnay walay lafz ko shair main be isthemaal karay, agar kisi member ko shair nahi miltha, tho zaroori nahi hay, just urdu lafz aur uska tharjuma hi share karay,
        main nay ye sab qisthon main iss liyay lika hay, keh 2 baar ye sab main nay aik hi baar lika, magar wohi disconnection wala masla,











        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Urdu lughaath, farhang,

          koye be member jithna chahay alfaz aur tharjuma share kar sakthay hain, koye pabandi nahi hay,
          sab say aham baath , aur maire nalaieqe keh mujay urdu rasmul khat likhni nahi athee, so maire koshish hoge kay roman main jithni asani la saki, lawongee, app sab be jo urdu rasmulkhat lik sakthay hain, wo kindly urdu rasmulkhat main hi likhain, aur jo nahi lik sakthay, wo majbori hoge,











          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Urdu lughaath, farhang,

            Alif,
            isme muzakar,
            lughawe ma'ani= sab jaga mawjood, dharkaar, pitkhar, racha huwa, basa huwa,











            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Urdu lughaath, farhang,

              Walaikum Assalaaam

              Buhat acha silsila hai, I think tamaam members ke liye kaafi mufeed saabit hoga
              Love your Forum, Build Your Forum (PEGHAM)


              Comment


              • #8
                Re: Urdu lughaath, farhang,

                walikum salam :)

                Alhamdolillah yeh dekh kar khushi hoi ke pegham per aik aur kabil member ka izafa hua hay jo pegham ki tarveej k lye koshan rehny ko tarjeeh dena chahti hain. Acha silsala hay ..Ummid hay k inshALLAH is main sb barh charh k hissa lein gy.

                Regards
                Last edited by Yaaram; 12 September 2011, 16:36.
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: Urdu lughaath, farhang,

                  Alif mamdooda, wo alif jis par madd ho,
                  ism e muzzakar, hindi ka lafz hay, hindi kay haroof main say doosra lafz hay,
                  harf e rabh be iss ko kehthay hain,
                  lughawi maa'ni= akhta, muheeth, pohncha huwa, etc











                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Urdu lughaath, farhang,

                    aa bala galay padh, nahi padhthe tho bhi padh, "kahawath"
                    jagdhloo logon ki nisbath kehthay hain, jo khuw makhuwa sar hothe aur ladhaye mol laithay hain,











                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Urdu lughaath, farhang,

                      aa bhai aa, "muhawera"
                      ma'ani= aa baita aa, aa pyaray aa,
                      seegha e amar hay,
                      kabootharon kay bulanay ki awaaz,











                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Urdu lughaath, farhang,

                        AA bay londay, ja bay londay karna ,
                        fail e mutha'adi ,
                        ma'ani =larkay ko hairan karna, phirana, dorhana, hira phaire karna, zra zra say kaam kay liyay baar baar bhaijna, sara din nokar ko sirf hukm hi hukm daina,
                        isthilah main khawatheen aysay moqa par bolthi hain, = waqth guzari karna , taalay baalay main din guzarna , heela hawala karna , bay faida waqth guzarna ,
                        fiqra= " ye mama tho younhi aa bay londay ja bay londay karkay din poora kar daitha hay" ,











                        sigpic

                        Comment

                        Working...
                        X