Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Ajwa Khajoor
Collapse
X
-
Re: Ajwa Khajoor
Mashallah..........mein bhi iss nuskhe ki afadiyaat ke saath agree kerti huhn.ussi book se liya gya he aur family member ne aazmaya.
meri waalida sahiba ki aik artery 50% blocked thi chand saal se.doctor ne iss saal operation tajweez kiya.operation ki tareekh mein 3/4 mah ka waqt tha.meri walda sahiba ne 7 adad ajwa khajoor ki ghutli peesi(actually mein ne pisi!!!!!!!!!!!!!) aur paani ke saath kha kihn.kuch dinuhn baad phir 7 adad khajoor ke saath aisa hi kia.teesri baar khaane ke liye bhi 7 khajoorein side per rakh dihn, magger phir masroofiyat ke baa's na le sakihn.
operation ke liye gain. aur uss waqt mujh per heirat ke pahar toot parhe jab doctor ne operation theatre se bahr aa ker mujhe bataya ke hum ne operation nahi kiya!!!!!!!!!!!!!!!iss liye ke blockage 50% ki bajai abh sirf 20% rah gai he!!!!!!!!!!!!!!baad mein jab mein ammi jaaan se milli to unhuhn ne kaha mein na kehti thi khajoor se mein theek ho jaoon gi!!!!!!!!!!!!!
to Tib e Nabvi (Sal Allah ho Alaihe wa Sallam) se nuskhe aazmain zaroor iss yaqeen ke saath ke agger Allah ne chaha to shifa naseeb ho gi!!!!!!
sigpic
Comment
Comment