Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mosa (A.S) ka Parosee...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mosa (A.S) ka Parosee...

    Israliee rewayat main hai k aik baar Mosa (A.S) nay Allah say batain kertay hoay poocha...k Ay meray Rab mujhay bata k Jannat main mera parossee kaun hoga?? Allah Rabul-Ul Izaat nay jawab dia...tumhara parosee aik 'Qasaiee' ho ga....Mossa (A.s) hairan hoay aur farmany lagay.. Ay Allah main uss Qasaiee say milna chahta hoon...Allah Rabul-Ul Izaat nay faramaya k woh flaan jagah per hai...jaa ker mill loo.

    Hazrat Mosa (A.S) uss jahah poohcay tu woh apni dukaan per goushat (meet) baich raha tha..jab woh goushat baich ker fariqh ho gaya tu..Hazrat Mosa (A.S) nay uss ku salam kia aur apna naam batay baghir uss say kaha ka main.. "aik musafir hoon aur aaj raat tumharay ghar tehrna chahata hoon"..(Hazrat Mosa (A.S) uss ka woh amal dekhna chahty thay jiss ki wajah say Allah Rabul-Ul Izaat nay faramaya k woh Qasaiee jannat main aap (A.S) k parosee ho ga. Uss Qassaiee nay hamee bhar lee aur apnay saath bachy hoay aik goushat ka thaila (packet) haath main liya aur Hazrat Mosa (A.S) ku apnay saath apnay ghar lay gaya. Ghar poohca ker uss nay goushat ka salan pakaya aur phir aik kamaray main aik boorhee aourat (old women) jo bestar per laitee hoee thee uss ku ahista say utha ker bethaya aur uss ku salan ka aik aik niwala uss k moon main daal ker khilaya phir uss k moon saaf kia aur phir ahista say lita diya. Uss burhiya (old women) nay ahista say kuch kaha aur lait gee...jiss per woh Qasaiee hans para.

    Hazrat Mosa (A.S) ye manzarr dekhtay rahay..jab woh Qasiee uss boorhee aurat (old women) ku khana khila ker warigh ho gaya tu...Hazrat Mosa (A.s) k samnay khana rakh diya aur faramay k ab aap bhi khana kha lee jiye..

    Hazrat Mosa (A.S) nay khana khany k baad uss Qasiee say poocha..k ye boorhee aourat (old women) kaun hai..??

    Qasiee bola...ye meree waldah (mother) hain..ye khud kha pee nahi sakteen..main dukan say ghar aa ker pehlay inn ku khana khilata hoon..inn k kaparay saaf kerta hoon..aur phir koi doosra kam kerta hoon..

    Hazrat Mosa (A.s) nay Qasaiee say poocha k..jab tum apni maan (mother) ku khana khila dia..tu tuharee maan nay tum say kuch ahisat say kaha tha..aur tum unn ki baat per per hans paray...woh tum say kia keh rahee theen..???

    Qasaiee bola...main jab bhi inn ki iss terhan khidmat kerta hoon..tu ye mujhay dua deteen hain....k Allah tunm ku Jannat main Mosa (A.S) k saath wala Mehel (palace) ata farama....aur main unn ki ye baat sunn ker hans parta hoon..k kahan main aur kahan Allah k Nabi Mosa (A.S).


    Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

  • #2
    Re: Mosa (A.S) ka Parosee...

    assalaam-O-alaikum

    Iss kahaani ki authenticy ka tou maloom nahin magar bohat hi kamaal ki kahani hay, bohat acha laga issay paRh kar.

    ALLAH SWT humain bhi Anbiya-e-Karim AS ka padosi banayay aur apnay Maa Baap ki izzat, ahtiraam aur khidmat karnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

    Fi amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Mosa (A.S) ka Parosee...

      Originally posted by thefire1 View Post
      assalaam-O-alaikum

      Iss kahaani ki authenticy ka tou maloom nahin magar bohat hi kamaal ki kahani hay, bohat acha laga issay paRh kar.

      ALLAH SWT humain bhi Anbiya-e-Karim AS ka padosi banayay aur apnay Maa Baap ki izzat, ahtiraam aur khidmat karnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN

      Fi amaan ALLAH
      Aamieen...fee amaan Allah..


      Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

      Comment


      • #4
        Re: Mosa (A.S) ka Parosee...

        walikum salam....

        meny pehly b ksi sy yeh qisa suna hy... kahan tak such hy yeh maloom nai per iska lesson bhot acha hy...

        JAZAK ALLAH
        میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

        Comment


        • #5
          Re: Mosa (A.S) ka Parosee...

          jazzak allah
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • #6
            Re: Mosa (A.S) ka Parosee...

            jazzak allah khair

            Comment

            Working...
            X