Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Hasan bin Sabah
Collapse
X
-
Tags: None
-
Re: Hasan bin Sabah
Walaikum Asalaam Rida
Bohat hi achi sharing hay aap ki... waqayi tareekh aisay namoon ko yaad rakhti hay jo apnay aap ko tareekh kay safoo per likhwa daitay hain... aisi hi shaksiyat Hasan Bin Sabah ki hay....
Kuch observations hain... jo kay main bayan karna zaroori samajhta hoon..
Hasan bin Sabah aik Irani thay jo kay puraanay zamanay main Unki Irani Nizari Ismaili kehlaatay thay... unki paidaish QOM naami (jaded Iran) shehar main 1050 may (1032 main nahee) hoyee aur unkay waalid aik Yemen kay Shia thay jo kay Kufa (Jaded Iraq) say aakar Qum main settle huway thay jahan Hasan bin Sabah ki paidaish hoyee.
Jiss qilay ka aap nay zikr kia hay ussay Alamut kay naam say jaana jaata hay jahan Hasan bin Sabah nay 1088 main qabza kia jo kay 50 kilometer lanba aur 5 kilometer choRay raqbay per waqia tha. Yeh anceint badsha Wah Sudan ibne Marzuban nay banaya tha.. Iss ka naam Alamut iss liye rakha gaya kay uss nay apnay dour main aik Shaheen pal kar rakhi thi jo usnay urayee tou woh bulandi per ja kar baithi tou uss nay uss ka sabaq laitay huay Bulandi per iss qilay ko tameer kia aur uss ka naam rakha AluhAmut Yaani "Shaheen ki Taleem". Jo baad main Alamut hogaya!
Keep sharing such wonderful posts with us jo kay humaray ilm main izaafay ka bayis banaain aur humain unn karnamoon say roshnaas karain kay jin ka sabaq lay kar hum bhi aik mazboot aur pukhta iraadoon waali zindagi basar kar sakain.
Khush Rahyeh :)
Fi Amaan ALLAHsigpic
Comment
Comment