Assalaam-O-alaikum Peghamian
They say Life is full of surprises, meri zindagi main bhi pichlay chandd dinoo main kuch aisay surprises namoodaar huway jisnay zindagi main aik ajeeb sii halchall see paida kardii hay. Zindagi zimaydaari kay saath jeenay ka naam hay, magar kuch zimaydaariyan aisii hotii hain jinn ko nibhaana aur saabit-qadam rehna kisi challenge say kam nahin.
Khair main aap sab ko ziyada surprise nahin rakhoonga, hua yoon kay meri Khala ki tabiyat bohat kharaab hogayii thii tou humain unhain hospital main admit karwaana paRa, ALHAMDULLILAH unn ka operation kaamyab hua, aur woh sehat yaab hogayii jiss say tamam ghar waalay bohat khush huway... isi khushi kay saath saath aik aur munfarid khushii thii jo kay zindagi main aik surprise say bhaR kar kuch nahin!!!
Douran-e-ilaaj meri mulaqaat aik Doctor say hoyii (offcourse female Doctor) jo meri khala ka dekh bhal kartii thii, aur bohat hi professional andaaz main baat cheet ka silsila shuroo hua, na unhoon nay apni taraf say koi aisi baat show kii aur na hii main iss baaray main socha, khair, unn ki khush-ikhlaaqi, insaan say mohabbat, apnay profession kay saath insaaf, aur unnki simplicity nay mujhay unn ki taraf mutwajoo kia...
Main kabhi bhi pehli nazar main mohabbat karnay ka qayil nahin raha aur kaafi soch samajh kar apni khaala say zikar kia jo khudh meray rishtay kay liye tag-o-dho main masroof hain... Khala nay kaha kay aap nay meray munn ki baat cheenn lii baita, aur khala nay kaha kay agar aap ijaazat do tou main uss say baat karoon... Main nay khala ko mana kar dia kay nahin, main chahta hoon kay main khudh iss baat ka izhaar karoon.. aur main nay un say apnay khayalaat ka izhaar kia kuch iss tarah.... (zahiir hay yeh word to word nahin hain laikin aisa hii kuch kaha)
'Main nahin chahta kay aap meray baaray main koi ghalat rayay qayim karain, meri humesha say khuwahish rahii kay jisay main apni shareek-e-hayaat banayoon woh meri apni pasand say ho, main uss kay kirdar aur uss ki guftaar say mutaasir ho kar uss ko apni zindagi kay iss khoobsurat safar main shaamil karoon.... mujhay iss baat ki khushi hay kay mujhay aap main woh saarii baatain nazar aayii hain jo main apni shareek-e-hayat main dekhna chahta tha.... Mujhay humesha say yeh baat mayoob lagii hay kay main kisi laRki ko jisay main jaanta tak nahin ja kar iss baat ka izhar karoon kay main aap kay husn per fida hokar aap ki mohabbat main griftaar ho gaya hoon, balkay main apnay aap ko poora time dia hay, aap kay baaray main jaana hay, aap ko samajhnay ki koshish ki aur poori tasalli kay saath main yeh kehna chata hoon kay agar aap ko aitraaz na hoo tou main apnay ghar waaloon ko rishtay ka liye bhejoon'..... Meri jaanib say yakdamm aisa kehna, shayed woh yeh tawaqoo nahin kar rahii thii, barhal unhoon nay apnay chehray per kisi bhi kisam ki hairaangi kay taasuraat paish nahin kiye, .... barhaal unhoon nay bas muskura kar itna kaha kay 'mujhay aitraaz................................
nahin hay' aitraz aur nahin kay darmayan chand lamhoon ka waqfa tha aur mujhay yeh waqfa sadiyoo sa laga! Pata nahin kiyon, mujhay andar hi andar daRR sa mehsoos honay laga, halankay mujhay conidence tha kay woh meray proposal ka inkaar nahin karain giin!
Bahar-kehaf, phir kia tha.... ghar waalay gayay unn kay ghar walon nay humaray haan visit kia, aur rishta tay paaya.....
Aaj yaani 14 August ko jiss dinn poora mulk Inqilaab kay aur azaadi kay naaray laga raha hoga ussdin meri zindagi main yeh khoosburat inqliab aayay ga albatta azaaadi kay diinn main azaad nahin balkay kisi ki 'mohabbat kay hissar' main humesha kay liye qayd ho jaayon ga.... yaani aaj baat pakki ki rasm hogi (in other words mangnii) aur 28 August ko Nikkah. This is the surprise of chattt mangnii aur pattt biyaa!!!
Aap sab say guzaarish hay kay mujhay apni duaoon main rakhain, aur iss rishtay ki kamyabii kay liye pooray khuloos say dua karain.... main chahta hoon kay main aik aisa misali shohar banoo jo biwi kay huqooq ko adayegii main thoRee bhi kotahyee na karay aur apnay hum-safar ko shareek-a-safar hii samjhay.... kiyonki safar chahay koi bhi ho agar do logon ka aapas main 'itifaaq' na hoo tou safar suffer main tabdeel hosakta hay... woh bechari apna poora ghar aur ghar waloon ko chouR kar aik ajnabi ghar main rukhsat ho kar aayay gii tou ussay moral support kay saath saath jazbaati saharay kii zaroorat hay aur woh aik shohar say behtar kaun day sakta hay.
Khush rahyeh.
Aap sab ki duaoo ka talabgaar
Syed Mohammad ALI

Comment