Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Islamic Quiz
Collapse
X
-
Re: Islamic Quiz # 47
Originally posted by thefire1 View PostWalaikum Asslaam
TOUHEED kay lagwi mainay hay AIK cheese per yaqeen.
Sharayi lihaz say iss kay mainay hain kay ALLAH SWT ki WAHDANIYAT per imaan laana aur kisi ko bhi uskay saath shareek na karna.
Fi Amaan ALLAHCONGRATULATION
~* Ali *~
You got a reputation point :thmbup:
Comment
-
Re: Islamic Quiz # 48
Walaikum Assalaam
Gheebat, kisi ki peet peechay usski burayi karna.
(Humaray mazhab main iss ka sakhti say Mana'a kia gaya hay aur Quran-e-Pak main tou yahan tak kaha gaya hay kay gheebat karnay wala aisa shakhs hay jo apnay murda bhai ka gosht khata hay. Nabi-e-Karim SAW nay bhi aisay shakhs ko bohat bura maana hay jo gheebat kar kay logon main fasaad karwaata hay)
Tohmat ka matlab hota hay kay kisi kay upper chahay woh samnay ho yaa peet peechay aisa ilzaam ayid karna joo uss nay kia naa ho!
Meray khayal say yeh dono aik dosray say kaafi inter-related hain, farq itna hay kay Tohmat main jhoota ilzaam ayid karna hota hay aur gheebat main bhalay hi koi ghalat kaam kisi nay kia bhi hoo usko uskay peet peechay phelaana aur logon kay diloon main uskay khilaaf nafratain paida karna ( Wa ALLAH-o-a'alam bi sawab)
May ALLAH SWT light and guide our ways aur humain aisi tamam burayoon say mehfooz rakhay jiss ki humaray mazhab nay sakht mukhalifat ki hay.
Fi amaan ALLAHsigpic
Comment
-
Re: Islamic Quiz # 48
walaikom Assalam WR WB
gheebat woh....baat ya buraai jo kisi mein mojoud ho aur us ki ghair mjoud gi mein bayaan ki jai ...... aisi baat jo agar us bandy kay samnay ki jai tu usay bura lagay
tohmat ......... samnay ya ghair mojoudgi mein kisi per jhoota ilzaaam lagana....
kisi ko bura bayan karna .... jab keh aisa na ho
Comment
-
Re: Islamic Quiz # 48
waisay donooN hi gunaah e kabeera hain.....
huqooq ul'ibaad say related hain ..... aur jab tak concerned banda maaf nahin karay gaa ALLAH TALA bhi maaf nahin fermaaye gaa....
Comment
-
Re: Islamic Quiz # 48
Originally posted by thefire1 View PostGheebat, kisi ki peet peechay usski burayi karna.
(Humaray mazhab main iss ka sakhti say Mana'a kia gaya hay aur Quran-e-Pak main tou yahan tak kaha gaya hay kay gheebat karnay wala aisa shakhs hay jo apnay murda bhai ka gosht khata hay. Nabi-e-Karim SAW nay bhi aisay shakhs ko bohat bura maana hay jo gheebat kar kay logon main fasaad karwaata hay)
Tohmat ka matlab hota hay kay kisi kay upper chahay woh samnay ho yaa peet peechay aisa ilzaam ayid karna joo uss nay kia naa ho!
Congratz
~* Ali *~
you got a reputation point
Comment
-
Re: Islamic Quiz # 48
:jazak: congratz Ali bhai...
Comment
-
Re: Islamic Quiz # 49
walaikom Assalam WR WB
HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQ R.A.T..... aur 2 saal 3 maaah .muddat hai khilafat ki
Comment
Comment