Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sulaah Safaii

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sulaah Safaii

    Assalaam Alaikum WR WB mere doston aur azeezon

    Ye to umeed karna fazool hi hai ke ap sub khair-o-aafiyat se hun ge kyun ke jaisa mahool pichlay kuch dino se PG pe chal raha hai to har koi kuch na kuch pareshaan to ho ga hi......

    Mai yahan per pichlay issues ko na to discuss karne aaya hun or na hi kisi se koi gila shikwa karne aaya hun.......

    Just ye kehna hai aap sub se ke yun aik dosre per ilzaamaat laga kar tohmaten laga kar kuch hasil nahi hona hai..............

    Dilon ke bhaid se sirf Allah Talah waqif hain, aap yahan laakh koshish kar len............kitni hi adalaten kyun na laga len asal maslay ka hal nahi mile ga, na to ye pata chale ga ke koun kasoor waar hai or na hi ye pata chale ga ke kis ki waja se ye gandagi pheli hai, sirf or sirf mahool kharaab ho ga jo ke aap sub ke saamne hai.......

    inhi sub jhagray fasaadon se Pegham ko bachane ke liye mai ne is issue ko pehle nahi uthaaya tha kyun ke jub ye jhagray ho rahe thay tub mai online nahi aa pa raha tha apni kuch official masrofiyaat ki waja se............or mai jaanta tha ke ab agar poch goch investigation karon ga to kuch hasil nahi hona or mai ne koshish bhi ki thi in jhagron ki waja maloom karne ki magar hua wohi jesa mai ne kaha....... kyun ke har shakhs apni nigaah me sahi safaid hota hai........or ye humari insaani fitrat hai chahe aap kitna hi jhutla len...........such yahi hai

    Meri Administration walon se bhi yahi guzarish hai ke Khudara ab ye issues issues or issues ka table parhna band karen, is se kisi ko kuch hasil nahi hona....

    Mere azeez members aap log bhi dilon se aik dosre ke liye qadoraten or mail nikaal den........

    Jub kisi shakhs per humari expectation barh jati tub hi aisi mis-understanding creates hoti hein............

    Dosra ye ke jub jub Pegham taraqqi karne ki taraf aata hai tabhi aisey mahool paida ho jate hein or phir Forum zero level per aa jata hai.....

    Agar hum is forum ke liye kuch kar nahi sakte to atleast us ki taraqqi me rukawat bhi to na daalen na.........

    Ramazan-ul-Mubarak ki aamad aamad hai......sub doston se guzarish hai ke hum sub se jo bhi ghaltiyan hui hum dil hi dil me aik dosrey ko maaf bhi kar den or dosron se maafi ki umeed bhi rakh len...........

    Yahi mera aap sub ko Aakhri Pegham Hai......

    Aap sub ka Khan
    Mr.Khan

  • #2
    Re: Sulaah Safaii

    Welcome back : p
    me bad main a k parhti houn yeh post : ) : )
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment

    • #3
      Re: Sulaah Safaii

      Walaikum Assalaam Khan Sahab

      Jazak ALLAH khair for such lovely posts, umeed karta hoon kay PEGHAM ka mahool dobaraara barqarar hojayay aur ALLAH SWT say yehi dua hay kay yeh apnay maqsad "Sekho aur Sikhayo" ko ussi tarah lay kar aagay baRhay jaisay pehlay tha.

      aap nay aakhri line main likha hay kay yehi aap ka AAKHRI pegham hay, kahin aap bhi jaanay ka iraada tou nahin rakhtay?!

      Khush rahyeh and its nice to see you back.

      FI amaan ALLAH
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: Sulaah Safaii

        Jazak Allah khair
        I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

        Comment

        • #5
          Re: Sulaah Safaii

          Jamil sahab.......................Ghalat-fehmi agar 2 logon ke darmiyaan ho to usay dor kiya ja sakta hai magar Ghalat fehmi ka shikar pori qoum ho jaye to woh jhagray ki sorat ikhtyaar kar jaati hai jesa ke ho raha hai............

          Mai pehle bhi keh chuka hun is jhagron ka hasil kuch nahi hai or aap se bhi yahi request ki jati hai ke is baat ko dobara na uthaye or Kisi member ko point out bhi na karen...................

          Comment

          • #6
            Re: Sulaah Safaii

            Originally posted by thefire1 View Post
            Walaikum Assalaam Khan Sahab

            aap nay aakhri line main likha hay kay yehi aap ka AAKHRI pegham hay, kahin aap bhi jaanay ka iraada tou nahin rakhtay?!

            Khush rahyeh and its nice to see you back.

            FI amaan ALLAH
            Ali bhai such kahon to mai khud bhi nahi janta ke mai ne aisa kyun likha or mera next step kiya hoga is ka bhi mujhy nahi pata..............I am just speechless

            Comment

            • #7
              Re: Sulaah Safaii

              Originally posted by Mr.Khan View Post
              Jamil sahab.......................Ghalat-fehmi agar 2 logon ke darmiyaan ho to usay dor kiya ja sakta hai magar Ghalat fehmi ka shikar pori qoum ho jaye to woh jhagray ki sorat ikhtyaar kar jaati hai jesa ke ho raha hai............

              Mai pehle bhi keh chuka hun is jhagron ka hasil kuch nahi hai or aap se bhi yahi request ki jati hai ke is baat ko dobara na uthaye or Kisi member ko point out bhi na karen...................

              delete it
              Last edited by Jamil Akhter; 7 July 2012, 21:46.
              ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
              سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

              Comment

              • #8
                Re: Sulaah Safaii

                وعلیکم السلام
                جزاک اللہ
                خان بھائی آپ نے بلکل درست لکھا ہے
                جو کچھ ہوا اسے بھول جائیں اور پہلے کی طرح پیغام پر سب آئیں اور صلح صفائی سے ایک دوسرے کے ساتھ رہیں
                ہم سب کی دعائیں اپنے پیغام کے ساتھ ہیں ہم کل بھی یہی تھے اور ان شاء اللہ جب تک زندگی ہے پیغام کا ساتھ نہیں چھوڑوں گی
                Last edited by Nadia khan; 7 July 2012, 14:37.

                Comment

                • #9
                  Re: Sulaah Safaii

                  Walikum Salam...
                  میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                  Comment

                  • #10
                    Re: Sulaah Safaii

                    Wa Alaikum salaam Khan Bhai

                    ....Khan bhai I really am in tears right now..............Shukriya aap ka ke aap ne aisa message diya he..........aur khaas taur per is baat per ke yeh thread gille, shikwe, naam lene aur ilzamat lagane k liye nhi lgaya gya................iss k lye pehli hi bht thread mojood hein.

                    humare irdh girdh aise insaan hote hein jin se hum itfaaq nhi kerte, jo humein irritate kerte hein, jin ko hum napsand bhi kerte hein.............lkein in ke drmyaan hi rehna prtha he...na hum un se dhoor jha skte hein na hi unhein nikaal bhr ker skte hein...............hum unhein brdaasht kert hein, ignore kerte hein.......

                    Pegham real life ki trha aisi hi community he.......iss mein bhi aise logh hein jho aik doosre k compatible nhi hein................members aise loguhn ko bkhoobhi bardaasht kerte rhe hein ya ignore kr ke yhaan enjoy kerte rhe.............aindha bhi aisa ker ke yhaan pehle jesa mahool ho skta he........yeh haqeeqat he ke hum her aik fard ko khush nhi rakh skte na lekin bardaasht to berhaal kerna hi parhe ga.....

                    mein ne kal nhi aaur aaj bhi aik member se request ki , ke aap hi barrhe pan ka mazahira ker ke iss muamle ko khtam kerein.....

                    please ....agger ho sakke to apne taur per jin members ko shikaayat hein unhein iss baat per raazi karein........ke "let go of the matter"......

                    Be blessed........

                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Sulaah Safaii

                      وعلیکم السلام
                      شکر الحمدُللہ کہ کوئی تو ہے جو بھرکتی آگ پر پانی ڈالنے کا سوچ رہا ہے
                      کاس کہ سب کے دل میں اُتر جائے آپ کی بات۔
                      :star1:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Sulaah Safaii

                        صد افسوس اور باعث حیرت ہے آپ کا یہ جملہ کہ
                        کچھ بھی کرلیا جائے پتہ نہیں چلنا کہ کون قصور وار ہے اور کس کی وجہ سے گندگی پھیلی ہے
                        دل تو چاہتا ہے کہ اے ٹو زی۔۔۔ سب کچھ یہاں پر بیان کردوں
                        پر آپ کی نیت پر شبہ نہیں کیا جاسکتا ۔۔۔
                        ہوسکتا ہے واقعی آپ نے بھی اب پیغام کے ساتھ اور تمام ممبرز کو یکساں طور پر دیکھنا شروع کردیا ہو
                        اور دعا ہے کہ آئندہ کبھی عدل و انصاف کا ترازو نصیب سے آپ کے ہاتھ آہی جائے تو آنکھوں سے
                        اپنے پرائے کی تمیز ختم ہوجائے
                        میری اوپر کی لائنوں کو براہ مہربانی صرف خود پر الزام نہی سمجھیے گا
                        جس طرح اب آپ آنے والے وقت کو دیکھ رہے ہیں میں نے بھی اسی حوالے سے بات کی
                        ہے ۔۔لیکن شاید کچھ تلخی کا عنصر دکھتا ہوا محسوس ہو
                        کیونکہ وہ کہتے ہیں نہ کہ
                        پیار کا پہلا خط لکھنے میں
                        اور ماضی کا زخم بھرنے میں وقت تو لگتا ہے
                        خیر
                        بابرکت مہینہ شروع ہونے والا ہے ۔۔۔
                        میں صرف اپنی بات کرونگا کہ فورم کے وہ تمام ممبر جن کی نگاہ میں میرے لیے عزت موجود ہے
                        میں ان سے لڑوں گا بھی جھگڑوں گا بھی ۔۔مذاق بھی ویسے ہی کرتا رہوں گا۔۔۔
                        یعنی کہ جیسا میں آج تک تھا ویسا ہی رہوں گا۔۔۔وہ سب میرے لیے قابل احترام ہیں

                        لیکن آپ کے اس تھریڈ کے بعد بھی فردر ۔۔۔پھر ناٹک کے نام پر یا کسی ننھے کو راضی کرنے کے نام پر
                        یا اور کسی مصالحے دار عنوان سے مزید باتیں کی گئیں
                        اور پھر زبردستی مجھے کسی طرح یا میرا نام استعمال کیا گیا
                        تو پھر میرے ہر چیلنج کا جواب دینا ۔۔۔ اس کی ذمہ داری ہوگی۔۔

                        شکریہ

                        بانیاز خان

                        Comment

                        • #13
                          Re: Sulaah Safaii

                          Originally posted by u_r View Post
                          Wa Alaikum salaam Khan Bhai

                          ....Khan bhai I really am in tears right now..............Shukriya aap ka ke aap ne aisa message diya he..........aur khaas taur per is baat per ke yeh thread gille, shikwe, naam lene aur ilzamat lagane k liye nhi lgaya gya................iss k lye pehli hi bht thread mojood hein.

                          humare irdh girdh aise insaan hote hein jin se hum itfaaq nhi kerte, jo humein irritate kerte hein, jin ko hum napsand bhi kerte hein.............lkein in ke drmyaan hi rehna prtha he...na hum un se dhoor jha skte hein na hi unhein nikaal bhr ker skte hein...............hum unhein brdaasht kert hein, ignore kerte hein.......

                          Pegham real life ki trha aisi hi community he.......iss mein bhi aise logh hein jho aik doosre k compatible nhi hein................members aise loguhn ko bkhoobhi bardaasht kerte rhe hein ya ignore kr ke yhaan enjoy kerte rhe.............aindha bhi aisa ker ke yhaan pehle jesa mahool ho skta he........yeh haqeeqat he ke hum her aik fard ko khush nhi rakh skte na lekin bardaasht to berhaal kerna hi parhe ga.....

                          mein ne kal nhi aaur aaj bhi aik member se request ki , ke aap hi barrhe pan ka mazahira ker ke iss muamle ko khtam kerein.....

                          please ....agger ho sakke to apne taur per jin members ko shikaayat hein unhein iss baat per raazi karein........ke "let go of the matter"......

                          Be blessed........

                          تمھارے یہ جذبات دیکھ کر تو سچ میں میری بھی آنکھوں میں آنسو آگئے ہیں
                          واقعی ہم تو اسے فیملی ہی کی طرح سمجھتے تھے ۔۔سمجھ نہیں آتا کہ آخر یہ اچانک یہاں ایسی گندگی کیوں پھیلادی گئی ہے

                          تم اپنے آنسو پونچھ لو بسنتی

                          امید ہے کہ خان صاحب کی اس تھریڈ اور خلوص نیت کے صدقے سب بہتر ہوجائے گا

                          Comment

                          • #14
                            Re: Sulaah Safaii

                            Originally posted by Baniaz Khan View Post

                            تمھارے یہ جذبات دیکھ کر تو سچ میں میری بھی آنکھوں میں آنسو آگئے ہیں
                            واقعی ہم تو اسے فیملی ہی کی طرح سمجھتے تھے ۔۔سمجھ نہیں آتا کہ آخر یہ اچانک یہاں ایسی گندگی کیوں پھیلادی گئی ہے

                            تم اپنے آنسو پونچھ لو بسنتی

                            http://dl7.glitter-graphics.net/pub/...glmvkc9z11.gif

                            امید ہے کہ خان صاحب کی اس تھریڈ اور خلوص نیت کے صدقے سب بہتر ہوجائے گا

                            i am not bsanti, tumehin yeh haq kisi ne nhi diyah khwmkhwa aise doosrun k naam rakhne ka....na hi ooper wali post tumare liye thi

                            apne kaam se kaam rakho........

                            sigpic

                            Comment

                            • #15

                              :lol

                              Comment

                              Working...
                              X