Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

    Assalaam-O-alaikum dear friends

    Jaisay jaisay umar-e-rafta bhaRti jaati hay, humari PRIORITIES bhi badal jaati hay, yehi woh forum hay jahan naa dinn dekhi na raat, humesha iss say munsalik rehna zindagi ka roz marra ka mashghool tha aur aaj yehi site hay kay mudattain guzar gayi kabhi guzar hi nahin hua....

    Badalta waqt apnay saath saath kia kuch badal daita hay, soch, nazarayeh, mashghalay, aur sab say baRh kar halaat!!!!

    Aaj mujhay iss site per itnay arsay baad aakar sharmandigi see mehsoos hoyee to socha kay "Mujhay kuch kehna hay" main jaa kar apni sharmandigi ka izhaar kardoon, waisay bhi dil main baat rakhnay waaloon main say tou main nahin :)

    Main agar yeh kahoon kay mujhay aap sab ki bohat yaad aayee tou yeh bilkul ghalat hoga, jaisay kay main nay upper quote kia kay badalta waqt insaan ki prorities ko badal daita hay, ab dil dhoondta hay woh fursat kay raat din ...... aagay tou aap jaantay hi hongain...

    iss arsay main duniya kay kuch aur mumalik ghooma, jinn main Turkey, Cyprus, Egypt, Jordan, Syria and Lebenon shaamil hain, alag alag logon say mila, alag alag mulkoon kay khaanay khayeh, alag alag culture say aashna hua...... bohat maza aaya... INSHALLAH saath saaath apnay halaat bayan karoon ga aur tours ki pictures bhi share karoonga...

    Apna khayaal rakhyeh ga and do remember me in your routine prayers.

    aap ka apna... thefire1
    Fi Amaan ALLAH
    sigpic

  • #2
    Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

    Originally posted by thefire1 View Post
    Assalaam-O-alaikum dear friends
    و عليكم السلام و رحمة الله
    Originally posted by thefire1 View Post
    Jaisay jaisay umar-e-rafta bhaRti jaati hay, humari PRIORITIES bhi badal jaati hay, yehi woh forum hay jahan naa dinn dekhi na raat, humesha iss say munsalik rehna zindagi ka roz marra ka mashghool tha aur aaj yehi site hay kay mudattain guzar gayi kabhi guzar hi nahin hua....
    bhaijaan isi ka naam tu xindagi hai...

    Originally posted by thefire1 View Post
    Aaj mujhay iss site per itnay arsay baad aakar sharmandigi see mehsoos hoyee to socha kay "Mujhay kuch kehna hay" main jaa kar apni sharmandigi ka izhaar kardoon, waisay bhi dil main baat rakhnay waaloon main say tou main nahin :)
    :lol agar kahein k ap ki bus yahi baat humein buhut achi lagti hai tu kuch ghalat na hoga...:lol

    Originally posted by thefire1 View Post
    iss arsay main duniya kay kuch aur mumalik ghooma, jinn main Turkey, Cyprus, Egypt, Jordan, Syria and Lebenon shaamil hain, alag alag logon say mila, alag alag mulkoon kay khaanay khayeh, alag alag culture say aashna hua...... bohat maza aaya... INSHALLAH saath saaath apnay halaat bayan karoon ga aur tours ki pictures bhi share karoonga...
    hmm intersting...intezaar rahey ga ..

    anywayz dhairoon welcome back.....dhair sara khush rahye...
    lots ov prayerz...
    .......................!!!!!

    Comment


    • #3
      Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

      welcome back...

      For all of us... PG is like home... and it says that "Insaan apne ghar ka rasta nahi bhoolta"... beshak priorities badlti rehti hain.... no doubt.... per as family... koi na koi fard PG per raheta hi hai jo aap ko "welcome back" kare....

      This time... lets see who all do it... :wink...

      Comment


      • #4
        Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

        waalikum asslam

        welcome back Ali :D
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #5
          Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

          Rania, Ummid and Saraah..... Aap ka bohat bohat shukriya, khush rahyeh

          Fi amaan ALLAH
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

            pics kab laga rahay hain...... hum b zra dunia ghoomain phir
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment


            • #7
              Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

              Bohat Jald - shayed issi jumairaat ko.
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                Originally posted by thefire1 View Post
                Bohat Jald - shayed issi jumairaat ko.
                tu hum packing kar lein...
                .......................!!!!!

                Comment


                • #9
                  Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                  Haan kiyon nahin..... tasawurr aur khayaalaat main khoona kitna acha lagta hay na kabhi kabhi.... inn taswerron ko dekh kar aap apnay aap ko maazi main hi payain gain... for sure :)
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                    Walaikum Assalam...

                    Buhat ghumai ho gai - abb u agae he to apni zimedariyan sambhalein
                    PG pe shayd sub se bare u hi hey :kr: - Masood uncil k baad :-P

                    Wese Pic to lagae :fr: - aur jo u ne khaya piya us ki bhi lagaiye ga - xinda shuttar murg ka meine kya karna he

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                      Originally posted by MSA View Post
                      PG pe shayd sub se bare u hi hey :kr: - Masood uncil k baad :-P
                      :rew::rew:
                      .......................!!!!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                        Originally posted by thefire1 View Post
                        Haan kiyon nahin..... tasawurr aur khayaalaat main khoona kitna acha lagta hay na kabhi kabhi.... inn taswerron ko dekh kar aap apnay aap ko maazi main hi payain gain... for sure :)
                        maazi main...:think:
                        .......................!!!!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                          اسلام علیکم ورحمتہ اللہ
                          سب سے پہلے تو شام کو واپسی مبارک ہو اور خوش آمدید:welcome:
                          وہ کہیں بھی گیا ،لوٹا تو میرے پاس آیا
                          بس یہی بات ہے اچھی میرے ہرجائی کی:tasali:
                          بے شک کہ عام زندگی میں اگر آپ نے ہمیں یاد نہیں کیا تو پی جی کا پیج بند کرتے ہی ہم بھی بھول جاتے کہ کوئی "دی فائر بھائی "بھی ہوتے ہیں:ekek: لیکن یہ ضرور ہے کہ پی جی کے صفحات پر آپ کا نام دیکھ کر آپ کے لئے دعا ضرور نکلتی کہ آپ جہاں کہیں بھی ہیں اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں:rose ۔
                          Last edited by S.Athar; 14 January 2011, 07:34.
                          :star1:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                            Aap kay message ka bohat bohat shukriya.... sahi kaha aap nay, PG per jiss say bhi poocho 16 saal ki umar say bhaRta hi nahin hay :lol

                            Ab inn 16 saaal waloon main, 28 saal waqayi UNCLE ki umar hay :)

                            Zaroor lagayoon ga, jald hi.... INSHA=ALLAH.

                            Fi amaan ALLAH


                            Originally posted by MSA View Post
                            Walaikum Assalam...

                            Buhat ghumai ho gai - abb u agae he to apni zimedariyan sambhalein
                            PG pe shayd sub se bare u hi hey :kr: - Masood uncil k baad :-P

                            Wese Pic to lagae :fr: - aur jo u ne khaya piya us ki bhi lagaiye ga - xinda shuttar murg ka meine kya karna he
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kuch Bhool Gayay Kuch Yaad Raha

                              Offcourse, guzray huway zamaanay ko urdu main aur Arabic main bhi MAAZI hi kehtay hain :)
                              Originally posted by BhaTaktii RooH View Post
                              maazi main...:think:
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X