Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mujay kuch nahi kehna

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mujay kuch nahi kehna

    Salam-0-Alaikum. Toheen amez rawaiya?

    http://www.pegham.com/nazmein/63233-...ml#post1191660

  • #2
    Re: mujay kuch nahi kehna

    Ok...Let me check.

    Comment


    • #3
      Re: mujay kuch nahi kehna

      Originally posted by atif saad View Post
      Salam-0-Alaikum. Toheen amez rawaiya?

      http://www.pegham.com/nazmein/63233-...ml#post1191660
      w/salam,

      :mm:
      That's Enough...!!

      Comment


      • #4
        Re: mujay kuch nahi kehna

        ye mene bhi perha hai sahi lafz Halat k Qadmoon mein hai Ikhlaq k Qadmoon mein nahi
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: mujay kuch nahi kehna

          Originally posted by WASI ANJUM View Post
          ye mene bhi perha hai sahi lafz Halat k Qadmoon mein hai Ikhlaq k Qadmoon mein nahi
          mujhay yeh elm nahe kay asal misra kia hai par itna janta hooN kay "taseeh" kartay waqt "ikhlaq ko qadmoN talay nahe rondna chaheay" :rose

          Aabid ki Ghalti hai, ma'zrat haq hai
          Last edited by RulzZ; 21 November 2009, 19:30.
          That's Enough...!!

          Comment


          • #6
            Re: mujay kuch nahi kehna

            Originally posted by WASI ANJUM View Post
            ye mene bhi perha hai sahi lafz Halat k Qadmoon mein hai Ikhlaq k Qadmoon mein nahi
            aap wahan ja ke meri post parhein bhai , main ne likha hai ke shayad main ghalat hun, aur main ne apna source bi wahan diya hai jis ko sun ke main ne yeh compose kiya tha. aap us nazam ko sunein aur phir batayen. nazam main ne mp3 format mein upload ker di hai,

            Comment


            • #7
              Re: mujay kuch nahi kehna

              Bhai jab hum yahan kuch post kerte hain to hamein sirf apni taaref nahi sun,ni hai yahan tanqeed bhi hogi kuch log ikhtalaf bhi karenge mein ye nahi kehta k aap galat hain
              may bhi jo mene perhi ho woh galat ho
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: mujay kuch nahi kehna

                Originally posted by WASI ANJUM View Post
                Bhai jab hum yahan kuch post kerte hain to hamein sirf apni taaref nahi sun,ni hai yahan tanqeed bhi hogi kuch log ikhtalaf bhi karenge mein ye nahi kehta k aap galat hain
                may bhi jo mene perhi ho woh galat ho
                aap phir muje ghalat samajh rahay hain, main ne kab kaha tankid na ho?
                main to musbat tankid karne walon par bohat khush hota hun ke us se muje mazid seekhne ko milta hai.
                tankid zarur kijiye magar toheen amez rawaiya? yaaa hattak ? yeh to tankid nahi hai, balkay yeh musbat tankid hi nahi.
                apnay lafzon se doosron ka dil matt dukhayen, islam ki batein karna yaa likhna to asaan hai bhai meray magar amal ?
                bas muje is ke baad kuch nahi kahna.

                Comment


                • #9
                  Re: mujay kuch nahi kehna

                  main nay wo link bhi parha jo ap nay ooper dia , mujhe nahi pata qalandar halat k qadmon ya ikhlaq k, main nay halat k qadmon he parha hoa hay , magr main aap ko tokti to us lehjay main nahi tokti jis main abid bhai nay toka ya pata nahi kia kia

                  i think abid bhai ka lehja bohat galat hay , unhen agar kuch samjhana tha to ye tariqa kam say kam mozo'N nahi,
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: mujay kuch nahi kehna

                    اسلام علیکم محترم جناب عاطف صاحب !
                    جب آپ بھر پور طریقے سے اسی تھریڈ میں اپنے دل کی بھڑاس نکال چکے تو پھر یہاں الگ سے رونا کس خوشی میں ڈالا ہوا ہے یا تو ہوتا کہ میرے رویئے کی آپ فقط شکایت کرتے خود سے کچھ نہ کہتے مگر خود بھی جی بھر کر سنا ڈالیں اور پھر اپنا رونا بھی سب کے سامنے لا کر سچے ہونے کے لیے تشریف لے آئے ۔ ۔
                    ہاں تو اب آتا ہوں اصل مدعا کی طرف ۔ ۔ ۔جی تو آپ نے فرمایا کہ آپکی توہین ہوئی ہے بہت خوب اور اس پر آپ نے براہ راست مجھے مخاطب کرکے جو جو سناڈالا وہ سب کیا میری توصیف میں تھا ؟؟؟؟؟؟؟ اور اس پر مستزاد یہ ہے اپنا رونا یہاں بھی لیکر چلے آئے ؟؟؟؟؟ میں نے اپنے پورے مراسلے میں آپکو کہیں ایک بار بھی مخاطب کیا ہے
                    یہ ضرور ہے کہ میں نے اپنا انداز جارحانہ رکھا ہے اور کلام طنزیہ رکھا ہے مگر ایسا میں نے جان بوجھ کیا ہے وگرنہ یہ تو کل کا بچہ بھی جانتا ہے کہ اصلاح کا یہ طریق ہرگز روا نہیں . . .حقیقت یہ ہے کہ نہ ہی میرا وہ رپلائی اصلاح کی غرض سے تھا نہ کسی کی توہین تھی اور نہ ہی کسی پر تنقید آپ نے سچ فرمایا کہ تنقید کا یہ انداز ہرگز روا نہیں اور میں کہتا ہوں کہ یہ تنقید تھی بھی نہیں کہ تنقید کی جاتی ہے کسی فن پر اب اس شئے پر بندہ کیا خاک تنقید کرئے کہ جس کا کوئی سر اور پیر ہی نہ ہو خیر میں نے ہم سب کو مخاطب کرکے ہمارے ایک عمومی مزاج جو کہ اب ہمارے ایک غیر زمہ درانہ رویئے کی شکل اختیار کرچکا ہے کی طرف طنزیہ پیرائے میں اشارہ کیا تھا کہ جس کے لیے میں سمجھتا ہوں کہ مجھے یہاں کسی بھی قسم کی کوئی صفائی دینے کی ضرورت نہیں ہے اور آخر میں مجھے فقط آپ سے اتنا پوچھنا تھا کہ جب آپ ترکی بہ ترکی جواب دے چکے تو یہاں اس تھریڈ کا کیا مقصد ہے ؟؟؟؟؟؟؟؟
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment


                    • #11
                      Re: mujay kuch nahi kehna

                      yeh thread Admin ke liye hai aur wahan main ne aap ko jawab diya .....
                      zaruri to nahi ke Admin pooray forum per ghoomtay phirein? is ke liye mods hotay hain.
                      abhi aap khud farma chukay hain ke aap ka rawaiya jarhana tha ,,,,,,, kiun? keya aap polite way main baat karna apni toheen samajhtay hain?
                      aur aap apnay toheen amez rawiye per nadim bhi nahi.
                      muje aap se kuch lena dena nahi is post ke baad.aap ke mod janein , aap janein yaa admin janein.
                      main ne nazam ka source post ker diya hai aur wahan jesa us ne gaya wesa main ne compose ker diya.
                      apna lehja durust karein, abi bi aap ka andaz hattak amez aur na-munasib hai.
                      Regards....

                      Comment


                      • #12
                        Re: mujay kuch nahi kehna

                        Originally posted by atif saad View Post
                        yeh thread admin ke liye hai aur wahan main ne aap ko jawab diya .....
                        Zaruri to nahi ke admin pooray forum per ghoomtay phirein? Is ke liye mods hotay hain.
                        Abhi aap khud farma chukay hain ke aap ka rawaiya jarhana tha ,,,,,,, kiun? Keya aap polite way main baat karna apni toheen samajhtay hain?
                        Aur aap apnay toheen amez rawiye per nadim bhi nahi.
                        Muje aap se kuch lena dena nahi is post ke baad.aap ke mod janein , aap janein yaa admin janein.
                        Main ne nazam ka source post ker diya hai aur wahan jesa us ne gaya wesa main ne compose ker diya.
                        Apna lehja durust karein, abi bi aap ka andaz hattak amez aur na-munasib hai.
                        Regards....
                        میرے چندا مجھے بھی آپ سے کوئی لینا دینا نہیں مگر وہ کیا ہے کہ غیر زمہ داری اورلاپرواہی کی بھی ایک حد تو ہوتی ہی ہے کہیئے کیا خیال ہے جناب کا ؟ اور جہاں تک بات ہے ہتک کی تو میں کہہ چکا میں نے ہرگز جناب کی شان میں کوئی گستاخانہ کلمات نہیں کہے اگر کہیں تو کوئی ایک ایسا کلمہ دکھا دیں اور رہ گئی جارحانہ رویہ پر ندامت کی بات بلاشبہ میں نادم بھی ہوجاتا اور آپ جناب سے معافی کا بھی خواستگار ہوتا اگر آپ جناب اس خاکسار کو اتہام اہانت کے الزام سے متہم فرماکر بے پر کی نہ سناتے مگر یہ کیا کہ دل بھڑاس بھی خوب نکالی خاکسار کو بھی خوب سنائیں اور پھر اپنا دکھڑا بھی رونے کو یہاں قدم رنجہ فرمایا یہ دوغلہ رویہ چہ معنٰی دارد؟
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #13
                          Re: mujay kuch nahi kehna

                          Mohtaram Atif Saad Sahib Assalamo Allaikum

                          Main yeh post Urdu mein likh raha tha keh aik safha likhney key baad mera inpage crash ho geya 372-shed - so I am responding here in roman.

                          Main aap ko Pegham per is naey roop sey aaney per dili-taur per khush'aamdeed kehta hoon aur umeed rakhta hoon keh aap key is roop sey Pegham key members ko bohat achhi achhi batein seekhney ko milein gi.

                          Mujhey aap ko Wijdaan key roop mein ban kartey huwey bohat dukh huwa tha. Kyun keh mujhey aap mein aisa talent nazar aata hai jo unique hai aur jis sey Pegham key hazaron members mustafeez ho saktey hain - please meri aap sey request hai keh aap aisi behsein, jin sey mahol per bura asar parrey, shuru karney ki bjaey, apney Khuda'daad talent ko aagey pohunchaein gey aur doosrey members ko bohat kuchh sikhaein gey.

                          Ab aata hoon mein asal mudda ki janib. Magar sab sey pehley to yeh bawar karwaa doon keh lafz AKHLAQ hai IKHLAQ nahin :)

                          Aap ki designing la'jawab hai - hamesha ki tarha.

                          Magar mujhey zaati taur per AKHLAAQ KEY QADMON MEIN QALANDAR NAHIN GIRTA - ajeeb sa lag raha hai. Main ney woh MP3 bhi suni hai jo aap ney share ki hai. Yeh kis ney gaii hai? aur likhi kis ney hai??

                          Akhlaq agar to koi shakhs hai to main manta hoon keh uskey qadmon mein qalandar to kya, main bhi nahin giroon ga :D:

                          Lekin agar Akhlaq sey murad woh tarkeeb hai jo falsafa mein istimaal hoti hai to yeh jumla mayoob lag raha hai.

                          Yah per main Aabid key saath mutfiq hoon keh koi kahin sey aik jumla utha ker ussey edit kar key us mein alfaaz ki aamezash kar dey aur koi doosra ussey jaa ker gaa dey to is sey woh SOOFIYANA KALAAM nahin ban jata :).

                          Main aisey aur bhi songs suney hein jin mein alfaaz ka rad-o-badal kar key gaya geya hai.

                          Mazeed yeh kehna chahoon keh aap apney ander itna hosla zaroor pedah kijiyey keh tanqeed, ta'areef aur nukta'cheeni ko saha jaey. Duniya mein aap aisey bohat sarey logon sey milein gey jo ungli uthatey hain aur ajeeb ajeeb andaz mein - aap mein har situation ko face karna seekhiyey :)
                          ------------------------------------------------------------------

                          Aabid bhai aap ka rawwiya drust nahin! Aap islaah zaroor kijiye, isi liyey aap Pegham per hain keh logon ki islaah karein. Aap key paas ilm hai jo Allah ka inaam hai - magar aap alfaaz key chunao mein dil'aazari kar jatey ho. Aik nukta'cheen key liye bohat zaroori hai keh woh jab bhi kisi amar per lab'kushaii karey uskey alfaaz aisey honey chahiyey keh us mein mazmoon per baat ho na keh mazmoon nigar per. Aap aksar is baat ko gad'mad kar jatey hain. Is post mein aap ka tareeqa'kaar qatii qabil-e-qabool nahin, aap ko ma'zrat karni chahiyey!

                          Yeh meri aap ko officially warning bhi hai.
                          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                          Comment


                          • #14
                            Re: mujay kuch nahi kehna

                            Mohtaram Admin Sahab , aap ne muje (wajdaan) ban kiya, shayad koyi ghalat fehmi ho gei ho gi.Mein takkabur kerne walon ko dost nahi rakhta, wo shayad kisi ne yahan challenge kiya tha jis se aap shayad ghalat fehmi ka shikaar huye hon, main bura nahi manta. Ilm Allah ki den hai is per bhi gharur nahi hona chahiye.apna asool hai ke mohabbat aur ilm jitna banto utna zeada hon ge.(ilm banta hai to mohabbat ke sath)
                            kehtay hain daali wohi jhukti hai jis par phal ata hai.
                            aur main potive criticism ko hamesha welcome kerta hun.magar insulting criticize shayad aaj kal aik bacha bi kabool na karay.
                            Thanks and Regards...!

                            Comment


                            • #15
                              Re: mujay kuch nahi kehna

                              Originally posted by atif saad View Post
                              Mohtaram Admin Sahab , aap ne muje (wajdaan) ban kiya, shayad koyi ghalat fehmi ho gei ho gi.Mein takkabur kerne walon ko dost nahi rakhta, wo shayad kisi ne yahan challenge kiya tha jis se aap shayad ghalat fehmi ka shikaar huye hon, main bura nahi manta. Ilm Allah ki den hai is per bhi gharur nahi hona chahiye.apna asool hai ke mohabbat aur ilm jitna banto utna zeada hon ge.(ilm banta hai to mohabbat ke sath)
                              kehtay hain daali wohi jhukti hai jis par phal ata hai.
                              aur main potive criticism ko hamesha welcome kerta hun.magar insulting criticize shayad aaj kal aik bacha bi kabool na karay.
                              Thanks and Regards...!

                              ohhhhhh yara bas ab bas aur koi kaam be ker lia kerooo chal changey changey Tutriol likh aur muje be changa designer bana daey mein phir teri shadi mein porey 10 rupees fakeeroo ko doon ga372-haha372-haha372-haha
                              I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                              Comment

                              Working...
                              X