Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khatawaar Hi Sahi Per Khata Nahin

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khatawaar Hi Sahi Per Khata Nahin

    Assalaam-o-Alaikum Admin Sahab/Sahiba

    Main apni safayi paish nahin karna chahta magar itna zaroor kahoon ga kay srif aik lafz yaa aik post ko mad-e-nazar rakhtay huay aap meri soch ka yaa meray ikhlaaqi mayaar ka andaaza nahin laga saktay, main nay jis lafz ka istimaal kia woh barha kayi kitaboon main, daramoon main mehaz har jaga aik hurf-e-umoomi kay tour per istimaal hota hay, aik bacha apni teacher say bait-ul-khula jaanay kay liye iss lafz ka istimaal karta hay tou doosri jaanib aksar dewaaron per baRay hi khushkhat andaaz main logon ko tanbeeh daitay huway bhi isi lafz ka istimaal kia jaata hay, main kisi bhi tarhan say kisi ki bhi izaat yaa adab-e-pegham ko thais nahin poohncha raha aur na hi aisi zeehniyat ka haamil hoon.

    Albatta agar aap ko waqayi yeh baat nagawaara guzri hay tou aap mujhay chand lafzoon main bhi yeh baat samjha saktay thay bajayay iss kay kisi ki zehniyat aur soch ko apnay khoobsurat alfaazon say bayis-e-ilzaam banatay!

    Aakhir main Dr. Younis Butt ki kitaab Butt Tamiziyan say yeh paish karoonga kay "Pakistan pachaas baras ka hogaya hay laikin pachaas baras ka lagta nahin, haalat aur hulyeh say sou saal ka lagta hay. Inn pachas saloon main hum nay mazah nigaari main baRi tarraqi ki, yaqeen na ayay tou baRay baRay siyasat danoon kay bayan paRh lain. Inn Pachas saloon main hum nay Technology main bhi baRi taraqqi ki hay, duniya main teen hi Ship mashoor hain aik Bartaniya (England) ki Elizabeth Ship, doosra France ki Armeda Ship aur teesra Pakistan ki Censor Ship"

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Aap ki duayoon ka talabgaar, ek khaksaar

    ALLAH HAFIZ
    sigpic

  • #2
    Re: Khatawaar Hi Sahi Per Khata Nahin

    Originally posted by thefire1 View Post

    Mohtram-o-Mukarram thefire Sahib

    Woh kya hai keh insaan ko apni izzat bnaney mein aik umer lag jati hai, magar aik lamha'bhar ki ghaflat mein woh sari ki sari izzat dhari ki dhari rah jati hai. Mujhey yeh baat kehney mein qatan qabahat mehsoos nahin hogi keh mujhey un logon ki soch sey shadeed nafrat hai jo apney un logon key barey mein is andaaz mein tanz-o-mazzah pedah karney ki koshish kartey hain, jo hamarey liyey kisi asaasey sey kam nahin. Mirza Ghalib sey mazzaq aur bhi bohat tareeqon sey kiya geya hai aur jissey main ney khud aagey promote kiya hai, misaal key taur per woh lateefa keh Shaitan Ghalib hai...

    Tameez mein aur badtameezi mein jo farq hota hai, woh kabhi kabar pul-e-sirat ki tarha nazuk hota hai - aap usko pehchaan jaein to aap ko khud koi zehmat nahin uthani parrey gi. Aik OPEN forum per jo lateefa aap ney sa'dar farmaya tha, woh kisi bhi tehzeebi dairey mein shamil nahin ho sakta tha aur khaas ker jahan per auraton ki mojoodgi ho, wahan aur bhi mayoob lagta hai - hope you get my point.

    Jitni suljhi hui zuban mein aap baat kar rahey hain, is sey to nahin lagta keh aap waisa koi shair o lateefa bhi promote kar saktey jis mein be'hurmati ka pehloo ho... itni nafees zuban bolney walon ko hamesha is baat ki fiker honi chahiyey keh doosrey log un sey seekhein na keh un sey door bhagein... choice aap ka apna hai :)
    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

    Comment

    • #3
      Re: Khatawaar Hi Sahi Per Khata Nahin

      Assalaam-O-Alaikum Janab

      Aap ka tahay dil say shukar guzaar ho kay aap nay baRi hi shaistagi say yeh baat mujhay samjhayi aur mujhay reh reh kar yehi ehsaas horaha hay kay kaash pehli baar bhi aap ka rawaiya aur lehja aisa hi hota.

      Khair main aap ka POINT bakhoobi samajh gaya hoon, yeh qissa main nahin kahin paRha tha tou yahan post kardiya, yeh meri takhleeq nahin, laikin you rightly said, kay humain ikhlaaqi tour per aisi hi post share karni chayeh jis say humaray mouhtaram shoora-e-karam ki izzat main koi kami na ho. JAZAK ALLAH KHAIR

      Aap say guzarish hay kay meray Topic "Ghalib Kay Ansoon" ko mukammal tour per delete kardain taakay mujhay ussay dekh dekh kar nadamat ka samna na karna paRay. Shukriya

      Iss khaksaar ko apni duwayoon main yaad rakhye ga.

      Fi Amman ALLAH
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: Khatawaar Hi Sahi Per Khata Nahin

        Done
        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

        Comment

        Working...
        X