Re: Zameeni Khuda
nahi Masood humein aap se koi shikwah nahi....aap ne to fauran action liya tha aur humne aapka shukriya bhi ada kiya tha magar humein reh reh ke ek baat feel ho rahi thi ke aap ne action liya magar us poore din us bande ki post wahan paRi rahi aur usne bahut kuch likh daala tha mujhe aur najane kis kis ne parhi hogi...aur sab khatm ho gaya tha magar jab jab aapke forum mein aa rahi thi to uska naam dekh ke badi takleef pahuch rahi thi..aur kuch post karte waqt hichkichaahat ho rahi thi...mujhe laga jisne mujhe khule forum mein bina mujhe jaane itna zaleel kiya tha to us mein itni ghairat to honi chahiye thi ke jab saari baat clear hui to aake woh muaafi maangta..magar usne aisa nahi kiya. us waqt main khamosh ho gayi thi magar mujhe laga meri khamoshi se log mujhe kamzor na samjh baithein ya mujhi ko ghalat na smajah baithein aur mujhe apna point of view bhi rakhna tha aur apni shayri ko defend bhi karna tha isliye maine apni baat yahan rakhi taakeh sab log parh sakein aur agli baar kisi ki shayri ya uske kirdaar pe comments karte waqt das baar soche...aur jahan tak mutfanin jee ka sawal hai woh bhi mere bahut azeez dost hain aur unse ye sab bardaasht nahi hua aur unhone ye post yahan laga di jiska mujhe qatan ilm na tha..woh to baad mein he told me about this...mujhse zyaada shayad unhe meri beizzati buri lagi thi ...waise woh aapke forum ke ek silent reader hain aur main hi unhe aapki site pe laayi thi bahut arse pehle..aur woh aapke arcades games mein bahtu khela karte the..aap ne bhi dekha hoga..aur woh har site pe maujood hote hain magar zyaada likhte nahi kahin bhi unless bahut zaroori na ho jaaye...yahan jo kuch mere saath hua woh ye dekhkar khamosh na reh sake...aur jab unki post delete ki gayi aur us post ko rehne diya gaya jisko quote karke unhone reply diya tha to woh aur bura maan gaye...baaqi jo kuch aapne unko jawaab diya hai..woh khud aake woh sab baat clear karenge..main to yahan kisi ka saath dene nahi aayi thi balki apna point of view rakhne aayi thi..bas..kisi ko meri kisi baat se thes pahuchi ho to main muaa'zarat khwah hun magar kya karien kabhi kabhi apne dil ki baat kehni bhi parti hai warna woh aapko andar hi andar dasti rehti hai ..!
chaliye ramzan aa raha hai..sab bhool ke nayi shuruwaat karte hain...khush rahein!! :phool:
Originally posted by Admin
View Post
chaliye ramzan aa raha hai..sab bhool ke nayi shuruwaat karte hain...khush rahein!! :phool:
Comment