Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zameeni Khuda

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Zameeni Khuda

    Originally posted by MUTFANIN View Post
    [B]

    Adab Bazme Mehfil,Mera maqsad koe masla khara karma nahe tha balkay eik mislay ke taraf dhayan dilana tha.Agar khwatein say badtameze ko roka nahe gaya tu kise khatoon ke izat is forum mein mehfooz nahe rahe ge.Yay khawatein bhe kese ke man betayan hote hain,hamein yay haq hasil nahe kay un kay kirdar par unglian uthaen.
    Agar yay family forum hay tu eik family ke tarah khawatein ko yahan mehfooz samajhna chahye.
    [/COLOR]
    agar kisi ko yeh ehsas dilaoo to utla or zaida badtameezi shuru kar daytay hian ....mera maqsad aap kay thread ko kharab karna nahi tha ..lekan jo baat aap kehna chah rehaye hian main bhi unhi batoun say related baat kar rahi houn :)
    yeh sirf shummu ki posts pay nahi baki sections main bhi kuch loog badtamezi say replies daytaya rehtay hian .....
    Admin hi final fasila kariana gaya ab ...so wait for Admin :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #32
      Re: Zameeni Khuda

      Mujhey sakht afsos hai keh meri adam mojoodgi mein aap logon ko batein karney ka khiyaal aata hai - jab main online hota hoon aap log kidher hotey ho? Main har bandey ki baat ka jawab bhi doonga aur aap ko aap ka chehra bhi dikhaoun ga - zara sabar karein!!!!!!
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #33
        Re: Zameeni Khuda

        Originally posted by MUTFANIN View Post
        Pegham ka buhut purana member honay kay bawajood mere post mujhay batay baghair delete karde gae.Aur eik behoda insaan, jo khawatein say badtameze karta hay, ko na tu ban keya gaya balkay @ ney us ko buhut peyar say samjhaya.Sirf is leyay kay wo bayghairat insaan @ ka doost hay. Mein in @ ke tarah kese shareef khatoon ko badnam nahe karna chahta is leyay thread ka nam nahe bataon ga.Magar agar @ chahtay tu mere post bhe edit karsakay thay.Magar wo itne takleef keyon uthaein keyonkay mein un ka doost jo nahe.Har Urdu forum corruption aur nepotism par he tu chalta hay. Mujhay maloom hay kay yay thread bhe delete karde jayay ge aur mujhay ban kardaya jaya ga magar mein in zamene khudaon sa nahe darta.In nam kay musalmanon ko taqat dey do tu wo roz e qayamat ko bhool jatay hain.Magar eik din Allah har khuda say hesab lay ga.Aur tab koe doste kam nahe ayaye ge.
        Mohtram Mutfanin sahib Assalamo allaikum :rose

        Aap sach mein Pegham key puraney member hain magar behad afsos key saath kehna chahta hoon keh aap ney puraney member honey ka haq ada nahin kiya :) - zara apni postings ki ta'dad ko dekhiyey - total 9 jin mein 4 posts isi thread mein mojood hain aur kam-o-besh 2 us thread mein mojood thin jissey main "garha huwa murdah" kahoon ga - ba'alfaaz-e-deegar aap garhey huwey murdey ukharrney aatey hain goya :wk

        Let me tell you, and let me tell other members - jis post ki taraf aap ka ishara tha keh jissey aap key notice mein laey bghair delete kiya geya hai, agar aap ka eeman taza hai to aap gawahi dein gey keh main ney aap ki post ko usi tarha edit kiya tha jis tarha munda_sialkoti ki postings ko delete karney key baad aakhri post mein ussey haleemana andaz mein samjhaya tha - yehi andaaz aik shafeeq insaan ka hota hai - aap ki post, jis mein andaaz-e-biyaan intihaii ghair-mohazbana tha, ussey edit ker key main ney likha tha keh main aap ki soch ki qadar karta hoon aur aap key point-out karney per shukriyah ada karta hoon magar jab Admin ney yeh masla apney haath mein ley liya hai to aap ko is tarha ghair-mohazbana language use karney ki zaroorat nahin!

        Main ney aap ki post edit ki, koi chand hi mint baad aap ney wohi post dobara re-edit ki aur apna pehley wala message re-write kar diya :) Ab aap khud Pegham key members ko btaein keh jab main ney aap sey shukriyah key saath baat khatam karney ko kaha tha to aap ko kya haq hai keh aap ussey dobara re-edit kartey? Aisi postings ko delete hi kar diya jata hai :)

        Jahan tak kisi khatoon ki baat hai to main us khatoon ko aap sey shayid bohat behtar janta hoon aur meri us sey is per baat ho chuki hai, mera zaati khiyaal hai keh ussey jitna zoaf aap key garrhey murdey ukhairney ki is ada sey pohanchi hai aur kisi baat sey na pohanchi ho - us khatoom ko jo bharosa mujh per hai woh main janta hoon!

        Let me harshly tell you - Pegham is not affected by any curruption or nepotism - agar KISI KEY ZEHAN MEIN AISA FATOOR HAI TO WOH APNA FATOOR PEGHAM SEY BAHIR RAKH KER AAEY. Alhamdolillah Pegham per aisi ko baat nahin jo aap aam satah key forums per dekhtey hain!
        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

        Comment


        • #34
          Re: Zameeni Khuda

          Originally posted by Khalil View Post
          yaar main sab sy purana member hun meri post bee mujy batay without delete ker dee jati hain...
          Har woh post jo Pegham key rules aur regulations ki khilaf'warzi karein gi delete kar di jaein gi, aap ADMIN tak rah chukey hain, agar aap ko itni bhi samajh nahin to mujhey afsos hai keh main ney kissey admin bnaa diya tha :tauba
          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

          Comment


          • #35
            Re: Zameeni Khuda

            Originally posted by MUTFANIN View Post
            Women are supposed to be very calm generally: but women feel just as men feel; they need exercise for their faculties, and a field for their efforts as much as their brothers do; they suffer from too rigid a restraint, too absolute a stagnation, precisely as men would suffer; and it is narrow-minded in their more privileged fellow creatures to say that they ought to confine themselves to making puddings and knitting stockings, to playing on the piano and embroidering bags. It is thoughtless to condemn them, or laugh at them, if they seek to do more or learn more than custom has pronounced necessary for their sex. -Charlotte Bronte,
            Pehli reply ko continue karta hoon - insaan ko kabhi itna nahin gir jana chahiyey keh woh apney zuban ko lagaam sey bahir kar dey. Mr. Mutfanin aap jo koi bhi ho, magar apni soch key mehwar ko drust kar key Pegham per aaya karein aur apni soch sey yeh gandgi nikal dein keh Pegham per ladies ki izzat nahin ki jati - yeh Pegham ki 2 sala zindagi mein pehli baar suneney ko aaya hai - warna Pegham per jitni insaan ki qadar ki jati hai utni kisi doosrey forum per nahin - magar remind you INSAAN ki. Har insaan apni soch sey izzat karwata hai - jis khatoon ki babit yeh sari baat aap kar rahey ho - usi sey poocho keh Pegham per uski kitni izzat ki gaii hai... Aik baat kaan khol ker sun lijiyey keh main Pegham ki nisbat koi behoodgi nahin sun sakta keh main ney is pyari jagah key liye bohat qurbani di hai - agar aap ko baat karney ka shaoor nahin to pehley shikwa shikayat karney ka dastoor seekhiyey aur phir munh kholiyey - Pegham muhabbaton ki meeras hai - aur iski gawahi har woh member dey ga jo Pegham per muhabbatein bantney aata hai - garrhey murdey ukhairney nahin!

            Meri munda_sialkoti sey aisi koi dosti nahin jiski badolat main Pegham ki ruswaii bardasht karoon - main ney pehley bohat sarey logon ki qurbaniyan di hain, ab bhi agar kisi ney Pegham key mutaliq koi gandi baat ki uski qurbani deney sey bhi daregh nahin karoon ga - chahey woh mutfanin ho ya munda-sialkoti!
            مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
            نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

            Comment


            • #36
              Re: Zameeni Khuda

              Originally posted by Khalil View Post
              jazakALLAH............
              bhai yeh pegham per shaid policy bann gai hian k larkion ko aisa kehna...
              Mera dawa hai keh Mutfanin ney jo bhi likha hai na aap ney parha hai, aur na aap ki samajh mein aaya hai - kyun keh yeh alfaaz aap key hotey hain keh aap posts ko parhey bghair replies kartey hain jis per main ney pehley bhi aap ko danta tha.


              Mr. Khalil agar aap ki aqal zindah hai to aap ko maloom ho ga keh Pegham ki Policies mein kabhi faraq nahin aaya - agar farq aaya hai to INSANO KI WAFADARIYON MEIN!!! Mujhey aap key qol-o-fael per sakht ta'ajub hai - Allah Tala aap ko seedha rasta dikhaey - aamen!
              Last edited by Admin; 7 September 2007, 02:37.
              مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
              نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

              Comment


              • #37
                Re: Zameeni Khuda

                Originally posted by Khalil View Post
                missing some one.

                wo some one kon hay batain bee aur ap ny bee likha huwa hoga shaid missing some one
                es ka kia matlab hay?????
                Khalil main ney pehley bhi aap sey kaha tha keh aap ki qayaas'aaraiyan aap ko kahin ka nahin chhorrein gi, wohi huwa na!

                Sab sey pehli baat to yeh keh aap ko Pegham per 2 saal honey ko hain, do saal sey yeh jumla likha chala aa raha hai keh I miss someone - us waqt aap ney kya apney zameer ko sulaya huwa tha?

                Kisi ko miss karna us insaan sey khaloos, muhabbat, wabasgti, ikhlaas, dosti aur najaney kya kya mafhoom deti hai, aap ki zehniyat mein aik hi baat hai?? Aap ko 2 saal baad aisi batein sochtey huwey bhi sharm aani chahiyey!!!
                مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                Comment


                • #38
                  Re: Zameeni Khuda

                  Originally posted by shummu View Post
                  yahan to log aapas mein hi jhagarne lage !!plz stop it....

                  Mutfanin jee main waise is baare mein kuch kehna nahi chahti thi magar chunki baat se baat nikal rahi hai to mujh se bhi khamosh nahi raha jaata ab...mujhe waqaii bahut afsos hua tha jab kisi ne meri nazm ke bahaane mere kirdaar pe comments kiye the bina mujhe jaane.....jab kisi kalaam pe shaista lehje mein tanqeed hoti hai to main bhi usi shaista lehje mein jawaab deti hun magar jab tanqeed ki aaR mein kisi ke character pe ungli uthayai jaaye tab woh bardaasht ke bahar ho jaata hai...shayri ko shayri ki nazar se dekhne ke bajaaye use likhne waale ke character se jorne lagte hain to unki kam ilmi ka pata chalta hai keh unhone shayad aur shayron aur shairat ko nahi parha.. 'jazbon ke izhaar ' ka naam hi shayri hai aur 'ghazal' bazaat e khud mehboob se baatcheet karne ko kehte hain arabi mein aur jin mardon ko larkiyon se baat karne ki tameez na ho main waise bhi aise logon ke muunh nahi lagti... is forum pe main bahut arse se aa rahi hun aur yahan ke admins mujh se bahut acche se waaqif hain aur unki maujoodgi mein koi aira gaira aake mujhe jo mann mein aaya bolta gaya ..aur khud ko paarsaa show karta gaya..ye dekh kar mujhe behad dukh hua tha..bolne ko to main bhi bol sakti thi bahut kuch magar meri upbringing aisi nahi hai isliye khamosh thi...woh to itetfaaq se main us post pe pahuch gayi thi warna to mujhe pata bhi na chalta..ye to admins aur mods ki zimmedaari hoti hai ke aisi postings pe nazar rakhe...pehli baar is tarah kisi ne khule forum mein mujhse badtameezi ki thi yahan...aur ye dekh kar ke jisne aisa likha woh yahan ka khaasa old member hai to main khamosh ho gayi...meri jagah koi aur hota to use ban karwaa deta magar maine aisa nahi kiya..warna jin alfaz ka usne istimaal kiya tha woh koi bhi larki parhti to site chorh ke chali jaati ya use ban karwaa deti...maanti hoon open forum hai aur sab ko ijazat hai comments dene ki magar itni bhi ijazat nahi ke kisi ke bhi character pe ungli uthaa do...u never know kiske alfaaz kisko kitni dili thes pahuchaa jaayein..bahut hi zyaada dukh aur takleef hui thi aise acche forum pe aisa hota dekh kar...bas yahi keh sakti hun admins se keh next time zara kaRi nazar rakhein aur jo banda wahi harkat dubaara kare use zaroor ban karien...and guys plz try to give some respect to galz...!!!

                  Shummu mera nahin khiyaal keh aap ko is tarha yahan per Admin per koi shikwa karna chahiyey - kyun keh aap ney jab mujhey us post ka PM kiya tha aur Yahoo per off-liner bheja tha, main ney fori action liya tha! Ab uskey baad jo bhi baat hui hai ho rahi hai yeh sab fazooliyat hai! Sab sey pehley keh Mr. Mutfanin ko yeh post laganey ki qatan koi zaroorat nahin thi, doosra aap ko kam sey kam itna to manena chahiyey keh aap key aetraz per aap ko baat ki shunwaii hui hai - agar aap mazeed koi aetraz karti ho to woh meri samajh sey bala'tar hai!
                  مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                  نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                  Comment


                  • #39
                    Re: Zameeni Khuda

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    salaam dear sister
                    mujhy naheen maloom k yahaan kaya qisa chal raha hy...?
                    laikin ab aap ka repply yahaan parha hy to khuch khuch baat samjh main arahi hy ghaliban aap nay koi nazam likhi thi jis main kis khatoon nay apnay jazbaat ka izhar kiya tha aur us thred par main nay bhi coments diye thy ...mujhy lagta hy k ye sara qazia waheen se shuru hua hy...rahi baat k khuch logon nay toheenamiz zuban istimal ki hy to main is baat main aap k sath hon k kisi ko bhi ye haq naheen pohnchta k koi kisi k kirdar par bagair suboot k ungli uthay jin logon nay bhi aysi nazaiba harkat ki hy unhen kari saza milni chaiye ... par main aap se bhi aik arz karon ga pegham aik family foram hy aap jis tarah chahay apnay jazbat ka izhar kareen laikin ye khial rahy k aap apni family main bethi hui hain ... mujhy urdu adab se khas gehra lagao hy aur main nay bohat se shora ko parha hy laikin phir bhi mari yehi ray hy k aik family foram par mehboob aur mehbooba k baray main izharay ray anheen kiya jana chaoye yon open foram par aysai baat ikhlaq aur tehzeeb k khilaf hy aur aap to adab ko janti hain aap khud dekheen k jo khuch bhi hua us ki aqli aur waja serf wo nazm thi jo k aap nay likhi agar wohi na hoti to shyed itna sab khuch na hota mary khial main aap ko apni us tehreer ko wapis lay lena chaiye aur ye tasleem karna chaiye k wo is qabli naheen k open foram main lagai jay... aur baqi jin logon nay aap se badtamizi ki hy intizamia ko chaiye k wo un k khilaf action lay..w/salaam aap ka kahir andeesh aabi
                    Aabid bhai jis nuqtah-e-nazar sey aap soch rahey hain woh drust hai - magar aik baat aap zehan mein rakhiyey keh kuchh jazbaat ka izhar karna utna mayoob nahin hota jitna samjha jata hai - ab aik misaal deta hoon, Ghalib ka aik shair hai:

                    Ghuncha-e-na'shaguftah ko door sey mat dikha keh yun
                    BOSEY ko poochhta hoon main, MUNH SEY MUJHEY BTA keh yun

                    is ru sey to Ghalib ki shairi bhi family mein beth ker parrney key qabil nahin rehti....

                    Shairana soch per bandishein usi waqt lagti hain jab shaair apni soch ko bandish mein daaley to... aur main bhi yeh baat kehta hoon keh Shummu ney jo kuchh likha tha, woh shairana nuqtah-e-nazar sey qatan mayoob nahin tha!
                    مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                    نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                    Comment


                    • #40
                      Re: Zameeni Khuda

                      Originally posted by MUTFANIN View Post

                      Adab Bazme Mehfil,Mera maqsad koe masla khara karma nahe tha balkay eik mislay ke taraf dhayan dilana tha.Agar khwatein say badtameze ko roka nahe gaya tu kise khatoon ke izat is forum mein mehfooz nahe rahe ge.Yay khawatein bhe kese ke man betayan hote hain,hamein yay haq hasil nahe kay un kay kirdar par unglian uthaen.
                      Agar yay family forum hay tu eik family ke tarah khawatein ko yahan mehfooz samajhna chahye.
                      Reh gaye yay bat kay nazm namunasib hay tu mujhay to aisa nazar nahe ata.Us nazm mein na kise ka nam leya gaya hay na kese rishtey ka.Yay apne apne sooch hay jo kis cheez ko kis tarah lay.Akhir eik bap bhe tu bete ka matha chomata hay, tu yay baat bhe namunasib hay keya?Aur keya Mian bewi ka rishta he namunasib hay aur eik family ka hissa nahe?
                      Aurtun aur mardon ke jazbat mein yay faraq hota hay kay aurtein dilkash lamhay sanbhal kar rakhte hain.Un ke khushe yahe lamhay ya un ke yadein hotein hain.Jabkay mard ya tu hijr samajhtay hain ya wassal.Is leyay agar koe aurat un lamhon ko beyan karey tu us par ilzaam laga detay hain, jabkay khud wasal ke beqarare ko beyan kartay nahe choktay.In Ustadaon pay koe aitraz nahe karta keyonkay tab tu tamam Urdu Adab he jalana paray ga.Is leyay bechare aurut ko he sangsar keya jata hay.

                      MAZA MILAY KAHO KEYA KHAK SATH SONAY MEIN
                      RAKHAY JO BECH MEIN WO SHUKH SEEM TAN TAKYA GhalibWriting is easy. No problem there. Afterwards you face the music. Well, I seem to have survived through all that. The furore dies down after a while. The poem lives on.
                      Fahmida Riaz


                      HAM TASUWAR MEIN BHE JO BAT ZARA KEHTAY HAIN
                      SAB MAIN UT JATE HAY ZALIM USAY KEYA KEHTAY HAIN -- DAAG

                      ... aur main aap sey aik baar phir kehta hoon keh Pegham per insaan ki izzat-e-nafs ka bohat khiyaal rakha jata hai - mujhey aap key is thread per abhi tak hairat ho rahi hai keh aap koi itni muddat baad aik soi hui baat ko phir sey jaganey ki kya zaroorat paish aa gaii? aur phir ooper sey khud ko puraney members ki saf mein shamil kar rahey hain
                      مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                      نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                      Comment


                      • #41
                        Re: Zameeni Khuda

                        Originally posted by Khalil View Post
                        Nahayat hee bad tameez ho tum.
                        Aap ko warning di jati hai keh apni zuban ka ehtisaab kijiye!
                        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                        Comment


                        • #42
                          Re: Zameeni Khuda

                          Originally posted by Khalil View Post
                          salam baji umeed hay k yeh post del nahi hugee...

                          anchal mery khiyal sy nafsiati mareeza hay...aaj mera jo image hy wo anchal aur zania kee waja sy
                          enoo ny apni anaa ka masla bana ker mujy team sy nikal dia...
                          anchal ny as coadmin buhat sari ghaltian kee thee aur kuch ghaltian muj sy bee hui thee aur wo aisi nahi thee k mujy nikala jay..
                          yeh dono anchal aur zania pegham kee policy per amal nahi kar rahi thee such as Mod ka Invisible rehna aur kuch aur jab main ny enain mana kia to us din k baad yeh mery mukhalif hu gai thee...
                          aur abi bee anchal apni ana ka masla bana rahi hy...
                          bejay anchal ko warning dainy k yeh mujy dy rahy hian.....
                          main ny jo pegham per kia wo jab janty hian...
                          lakin aaj jo mera raviya hay wo sab anchal kee waja sy ...
                          jis ny kuch sochy samjy without mujy bahir ker dia...
                          aur bakee rahi admin kee baat aur mujy pata hay wo ab kia kary gey..
                          :comfort: aap is waqt aik chhotey sey bachey ki tarha lag rahey ho jis sey uski choosni chhin jati hai to shikatein karney lagta hai... Khalil sab sey pehley baat to yeh keh main ney bohat chahta tha keh aap ka bharam rah jata aur yeh na kisi ko patah chahta keh aap ko team sey kyun nikala geya hai - woh sabhi postings aaj bhi mojood hain jis mein aap ney khud kaha tha keh mujhey nikal do - aap ko to Aanchal ney Admin tak bnaa diya tha - aap mein agar zarf hota to us waqt jab main Pegham sey door tha, aap ko Admin bnaya geya tha aap sab ko saath ley ker chaltey - ulta aap ney aisi postings ki keh agar FULAAN member ko moderator na bnaya geya to Pegham ko hack kar liya jaey ga - koi admin, ya supermoderator aisa kehta hai? woh bhi us jagah key barey mein jissey woh apna ghar kehta ho???

                          Aanchal did absolutely NOTHING wrong then - Zinia key inviseable rehney ki bhi wajah AAP hi they - Zinia Pegham Team ki hissah NAHIN thi, Zinia ney us waqt Pegham ko sahara diya tha jab aap ney GupShup mein AIK post daaghi aur Pegham ko chhorr ker chal diyey they - un halaat mein main Zinia ka bohat mashkoor hoon keh usney apni study ki masroofiyat key bawajood Pegham per moderating ki - yeh woh ehsaan hai jo main samajhta hoon - us waqt Zinia ka inviseable hona koi ghalt baat nahin thi!!!

                          Aap ki qayaas'aaraiyan aap ko kahin ka nahin chhorrein gi :tauba
                          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                          Comment


                          • #43
                            Re: Zameeni Khuda

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            kisi achay say pagloun kay doctors say ilaaj karwaoo :tasali: nafseeyati mareez aap hoo ya main ?
                            yeh banda apni baat ko chupanay key leye ider say idher lay jata hai batoun ko ..jabkay aik bhi baat ka sahi jawaab nahi daita ...
                            agaar aap sahi hotay Admin aap ko doobara team main lay atay ....
                            mere jo ghalati hai batiaan woh Admin ko ....
                            invisible main nay allow kia tha to aap koon hotaya hian coadmin kay rules main dakhala deenay walye ?
                            or aap khud hamray id visible kar datay or chup kay beath jatay kay main nay to nahi keye mujh pay shak kartaya hoo tum loo....jab Admin aye to aap ka yeh poll khul gia kay aap hi karaty they ........!
                            ulta choor kutawaal ko daantay ....
                            yaha rehna haai to hai to tameez say rahoo ....
                            Admin kay zarye hi tum sau baat hoo gee kay tum kitnay suchay hoo ....
                            Aanchal aap bhi zara hosla rakh ker baat kiya kijiye - itna ghussa nahin kartey :phool:
                            مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                            نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                            Comment


                            • #44
                              Re: Zameeni Khuda

                              Originally posted by Admin View Post
                              :comfort: aap is waqt aik chhotey sey bachey ki tarha lag rahey ho jis sey uski choosni chhin jati hai to shikatein karney lagta hai... Khalil sab sey pehley baat to yeh keh main ney bohat chahta tha keh aap ka bharam rah jata aur yeh na kisi ko patah chahta keh aap ko team sey kyun nikala geya hai - woh sabhi postings aaj bhi mojood hain jis mein aap ney khud kaha tha keh mujhey nikal do - aap ko to Aanchal ney Admin tak bnaa diya tha - aap mein agar zarf hota to us waqt jab main Pegham sey door tha, aap ko Admin bnaya geya tha aap sab ko saath ley ker chaltey - ulta aap ney aisi postings ki keh agar FULAAN member ko moderator na bnaya geya to Pegham ko hack kar liya jaey ga - koi admin, ya supermoderator aisa kehta hai? woh bhi us jagah key barey mein jissey woh apna ghar kehta ho???

                              Aanchal did absolutely NOTHING wrong then - Zinia key inviseable rehney ki bhi wajah AAP hi they - Zinia Pegham Team ki hissah NAHIN thi, Zinia ney us waqt Pegham ko sahara diya tha jab aap ney GupShup mein AIK post daaghi aur Pegham ko chhorr ker chal diyey they - un halaat mein main Zinia ka bohat mashkoor hoon keh usney apni study ki masroofiyat key bawajood Pegham per moderating ki - yeh woh ehsaan hai jo main samajhta hoon - us waqt Zinia ka inviseable hona koi ghalt baat nahin thi!!!

                              Aap ki qayaas'aaraiyan aap ko kahin ka nahin chhorrein gi :tauba
                              Mujy buhat hee khushi hu rahi hay k aap ny khud jawab dia ..belive me with no any reason pata nahi kiun aisa lag raha hy k main k hee jwab ka wait kar raha tha..
                              aur mujy es reply per hirat bee hui hay k aap aisa samjty hian mery bary main ap ko sab kuch janty hain k main ny pegham k liy kia kia kiaa hay aur kiun kia hay siraf ap k liy hee..
                              aur jo main ny apni post lagai thee k mujy team sy nikal doo siraf es liy k yeh dono larkian apni anna kee khatar meri baat nahi maan rahi thee es liy...
                              bakee main ab bee wohi aur pegham mera ghar hay
                              aur main ny pegham kiun nahi chora?????
                              es liy k i love my home kaisy chor sakta hun aur ab bee main wohi hun jo pehly tha bus kuch XXXXXXXXXXXXXXXXXxxxx agai thee beach main..
                              bakee aap kee sab batain such lakin main siraf aik baar pher kahonga
                              main wohi Khalil hun...that not all.:SubhanAllhaa:

                              Comment


                              • #45
                                Re: Zameeni Khuda

                                Originally posted by Admin View Post
                                Aap ko warning di jati hai keh apni zuban ka ehtisaab kijiye!
                                Admin gee mujy warning dainy sy pehly os ka to reply dekh laina tha.....

                                os ny jo likha hay wo tameez k daira main ata hay
                                yeh buht na insafi hay osy bee warning dain..:khi:

                                Comment

                                Working...
                                X