Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zameeni Khuda

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Zameeni Khuda

    yahan to log aapas mein hi jhagarne lage !!plz stop it....

    Mutfanin jee main waise is baare mein kuch kehna nahi chahti thi magar chunki baat se baat nikal rahi hai to mujh se bhi khamosh nahi raha jaata ab...mujhe waqaii bahut afsos hua tha jab kisi ne meri nazm ke bahaane mere kirdaar pe comments kiye the bina mujhe jaane.....jab kisi kalaam pe shaista lehje mein tanqeed hoti hai to main bhi usi shaista lehje mein jawaab deti hun magar jab tanqeed ki aaR mein kisi ke character pe ungli uthayai jaaye tab woh bardaasht ke bahar ho jaata hai...shayri ko shayri ki nazar se dekhne ke bajaaye use likhne waale ke character se jorne lagte hain to unki kam ilmi ka pata chalta hai keh unhone shayad aur shayron aur shairat ko nahi parha.. 'jazbon ke izhaar ' ka naam hi shayri hai aur 'ghazal' bazaat e khud mehboob se baatcheet karne ko kehte hain arabi mein aur jin mardon ko larkiyon se baat karne ki tameez na ho main waise bhi aise logon ke muunh nahi lagti... is forum pe main bahut arse se aa rahi hun aur yahan ke admins mujh se bahut acche se waaqif hain aur unki maujoodgi mein koi aira gaira aake mujhe jo mann mein aaya bolta gaya ..aur khud ko paarsaa show karta gaya..ye dekh kar mujhe behad dukh hua tha..bolne ko to main bhi bol sakti thi bahut kuch magar meri upbringing aisi nahi hai isliye khamosh thi...woh to itetfaaq se main us post pe pahuch gayi thi warna to mujhe pata bhi na chalta..ye to admins aur mods ki zimmedaari hoti hai ke aisi postings pe nazar rakhe...pehli baar is tarah kisi ne khule forum mein mujhse badtameezi ki thi yahan...aur ye dekh kar ke jisne aisa likha woh yahan ka khaasa old member hai to main khamosh ho gayi...meri jagah koi aur hota to use ban karwaa deta magar maine aisa nahi kiya..warna jin alfaz ka usne istimaal kiya tha woh koi bhi larki parhti to site chorh ke chali jaati ya use ban karwaa deti...maanti hoon open forum hai aur sab ko ijazat hai comments dene ki magar itni bhi ijazat nahi ke kisi ke bhi character pe ungli uthaa do...u never know kiske alfaaz kisko kitni dili thes pahuchaa jaayein..bahut hi zyaada dukh aur takleef hui thi aise acche forum pe aisa hota dekh kar...bas yahi keh sakti hun admins se keh next time zara kaRi nazar rakhein aur jo banda wahi harkat dubaara kare use zaroor ban karien...and guys plz try to give some respect to galz...!!!

    Comment

    • #17
      Re: Zameeni Khuda

      Theek kaha shummu

      Comment

      • #18
        Re: Zameeni Khuda

        Originally posted by shummu View Post

        salaam dear sister
        mujhy naheen maloom k yahaan kaya qisa chal raha hy...?
        laikin ab aap ka repply yahaan parha hy to khuch khuch baat samjh main arahi hy ghaliban aap nay koi nazam likhi thi jis main kis khatoon nay apnay jazbaat ka izhar kiya tha aur us thred par main nay bhi coments diye thy ...mujhy lagta hy k ye sara qazia waheen se shuru hua hy...rahi baat k khuch logon nay toheenamiz zuban istimal ki hy to main is baat main aap k sath hon k kisi ko bhi ye haq naheen pohnchta k koi kisi k kirdar par bagair suboot k ungli uthay jin logon nay bhi aysi nazaiba harkat ki hy unhen kari saza milni chaiye ... par main aap se bhi aik arz karon ga pegham aik family foram hy aap jis tarah chahay apnay jazbat ka izhar kareen laikin ye khial rahy k aap apni family main bethi hui hain ... mujhy urdu adab se khas gehra lagao hy aur main nay bohat se shora ko parha hy laikin phir bhi mari yehi ray hy k aik family foram par mehboob aur mehbooba k baray main izharay ray anheen kiya jana chaoye yon open foram par aysai baat ikhlaq aur tehzeeb k khilaf hy aur aap to adab ko janti hain aap khud dekheen k jo khuch bhi hua us ki aqli aur waja serf wo nazm thi jo k aap nay likhi agar wohi na hoti to shyed itna sab khuch na hota mary khial main aap ko apni us tehreer ko wapis lay lena chaiye aur ye tasleem karna chaiye k wo is qabli naheen k open foram main lagai jay... aur baqi jin logon nay aap se badtamizi ki hy intizamia ko chaiye k wo un k khilaf action lay..w/salaam aap ka kahir andeesh aabi
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment

        • #19
          Re: Zameeni Khuda

          Originally posted by aabi2cool View Post

          ws bhai mere agar ye family forum hai to main hi alhumdulillah ek acche gharane se taaluq rakhti hun....koi aisi waisi larki nahi hun....shayri ka shauq hai to kabhi kabhar kaaghaz siyaah kar leti hun..hamesha se dekha gaya hai shayar ko poori ijazat hoti hai ke woh chaahe jis tarah se bhi jazbon ka izhaar kare shayri mein magar jab yahi ek shayra karti hai to us pe log ungliyaan uthaa dete hain...main nahi maanti ke maine koi ghalat cheez likhi thi..aap khud jaake woh nazm parhein aur dekhein ek maasoom se khayaal ko masoomiyat ke sath qalam band kiya gaya hai 4 line mein...us mein aisi koi nazaiba baat posheeda nahi hai..main bahut se urdu ke open family forums pe jaati hun jahan log har tarah se apne jazbon ka izhar karte hain shayri mein ya afsaanon mein...ye sab apni soch aur zaheniyat pe bhi depend karta hai....ke kaun kisi cheez ko kis nazar se dekhta ya parhta hai...nazm likhte waqt mere zehn mein aisi koi baat nahi thi..bahut hi saaf suthra masoom sa khayaal tha..ab agar ise ghalat nazar se parha jaaye to is mein main kya karoon??aur aap ye dekhein meri nazm ko beshtar afraad ne saraaha hai jo isi family forum ka hissa hain..to kya ye sab ke sab ghalat log hain??zabardasti raay ka pahaar nahi banaana chahiye...log kitne bure kaam kar kar ke bhi paarsaa bane ghoomte rehte hain..unka to koi kuch bigaaR nahi pata magar shareef insaan ke peeche par jaate hain..koi nahi to kalaam ke bahaane hi sahi.Jab log open forum mein aa rahe hain to open mind bhi le ke aaayein...warna apne ghar mein hi baithein..kya zaroorat hai phir net pe aane ki...main itne arse se aa rahi hun..aap kisi se bhi pooch lein kya maine kabhi kisi se koi ghalat baat kahi hai?ya kabhi maine kisi ko gaali di ya kisi ko thes pahuchaayi?sirf ek nazm ke bina pe kisi ko itna ulta seedha keh dena,uske khandan tak ko gaali dena..ye kahan tak sahi hai??insan charcterless hota hai to uski har posts mein kahin na kahin ye zaahir ho jaata hai..magar meri ek bhi post nikal ke dikhaaiye jahan kahin aisa laga ho ke main koi ghalat larki hun..waise aap to shayri se raghbat rakhte hain to bataaiye kya aapne kabhi parween shakir ko nahi parha??kitni maaroof shayeraa hain..unke kalaam uthaa ke dekhiye..kahin kahin to unhone kuch zyaada hi khul ke apne jazbon ka izhaar kiya hai..for example ye dekhein...

          eik shareer nazm
          jashn-e-bahaar tha
          baarish farsh-e-gul pe musalsal naach rahii thi
          hawa ki lai thi behad shokh
          peR khushi se jhoom rahe the
          saari fiza pattoN ki haNsi se gooNj rahi thi!
          sehn-e-chaman ke goshe meiN
          maiN bhi khaRi thi tere saath
          rooh ka daaman kheNch rahi thi
          tere peraahan ki aaNch
          mere aur baarish ke laboN par
          khel rahi thi
          eik hi baat
          tere hoNt, tiri peshaani, tire haat!
          - parveen shakir

          aise aur bhi kalaam hai inke jo main pesh kar sakti hun...unhone to suhaag raat tak pe likh daala tha..ab bataaiye woh kitni famous hain aur unke kalam har site pe share kiye jaate hain..aise to unhe kabhi ye kalaam chapne hi nahi dena chhaiye tha na...khair maine to aisa kuch bhi nahi likha aur na likh sakti hun...phir bhi itna bawaal kar diya gaya khwaamakhaah..... mujhse agar nazm post karte waqt hi kisi ne qaayede se pm mein kaha hota ke ise hata dijiye to shayad hata diya hota magar ab itne arse baad jab ke itne log replies de chuke hain..ab kaha jaaye ke hata do kyonki ye sahi nahi to main nahi hataoongi aur kyon hataoon..maine koi ghalat baat nahi likhi...shayri ko shayri tak hi mehdood rakha jaaye to behtar hoga..use kisi ke kirdar se na jora jaaye!sab ko pata hai kaun kitne paani mein hai!

          :jazak:
          Last edited by shummu; 5 September 2007, 17:36.

          Comment

          • #20
            Re: Zameeni Khuda

            Originally posted by baqarkashmiri View Post
            Theek kaha shummu
            :jazak:

            Comment

            • #21
              Re: Zameeni Khuda

              :tauba kitni buri baat hai yuun apas mai lerna
              KHL Bhai apko ik hi baat kehna chahoon gi k Aanchal sis se araam se baat kijiye..........apka image PG pr jo bhi tha or JO BHI HAI........apk is lehjy or guftugu se buhat kharab ho raha hai......

              n Aanchal sis........u dont worry sab thiik ho jae ga :insha:
              n KHL Bhai jitna time bhi apny team k sath guzara.........plz ushi ka khyal kijiye n pehly jese rahye apka ye roop buhat ajeeb hai sach

              Comment

              • #22
                Re: Zameeni Khuda

                Assalam-o-alaikum
                Aanchal aur khalil!aap dono ki chapqalish se yahan mojud sab log mutasir ho rahay hain.Aap donon koshish karain ke is muamilay ko khush asloobi se nimtain.
                Khalil! tumhara image PG per bohat acha hai laikin agar tum apna rawaya yunhi rakho gay to yeh image kharab hi hoga.Mujhay nahin maloom ke tum ne apna rawaya kiyun badla hai,laikin is se nuqsaan bhi tum hi uthao gay.
                Anchal! Tum super moderator ho,is hawalay se tum yahan aik "Baray" ka muqam rakhti ho,so narm guftari se muamila suljhanay ki koshish karo.
                PG aik family ki tarah hai.Maira aap sab se yehi kehna hai ke aik doosray ka aihtraam karain,koshish karain ke kisi key jazbaat ko thais na lagay,aik doosray ka khiyaal rakhain.Khaas tor per kisi per keechar uchalnay se perhaiz karain,kirdaar kushi gunao-e-kabeera ke zimray mein aati hai.Muhazib logon ko yeh feil zaib bhi nahin daita.
                Aik bari behan honay ke naatay mein ne yeh batein ki hain umeed hai aap bura nahin manain gay.
                Shukriya
                Mind Sciences

                Comment

                • #23
                  Re: Zameeni Khuda

                  Originally posted by zapk7 View Post

                  Latoun kay bhoot batoun say nahi mantay ..:)

                  is pay Admin khudhi a kay baat karian gay ...:rose
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #24
                    Re: Zameeni Khuda

                    Originally posted by Shaim View Post
                    n Aanchal sis........u dont worry sab thiik ho jae ga :insha:

                    :phool:
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #25
                      Re: Zameeni Khuda

                      Originally posted by jia View Post
                      dear frends app ko kia ho gia hay ???
                      jo member app say swaal kr raha hay bja'ay us ka jawab dainy k app log aapas main kion jhagr rahy hain..i know k mujhy is moamlaa main nahi prna chahiay laikin plzzzz appp log is trhaan karoo gay to baqe sab ka kia ho ga
                      agr app logoon nay mind kia to i m sorry but this is not fair......
                      ....
                      ji MUTFANIN sahab jis thread ki baat kar rehay hain or main jo kehna chahna chah rahi houn un sab batoun ki aik hi base hai ...:rose
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #26
                        Re: Zameeni Khuda

                        Adab Bazme Mehfil,Mera maqsad koe masla khara karma nahe tha balkay eik mislay ke taraf dhayan dilana tha.Agar khwatein say badtameze ko roka nahe gaya tu kise khatoon ke izat is forum mein mehfooz nahe rahe ge.Yay khawatein bhe kese ke man betayan hote hain,hamein yay haq hasil nahe kay un kay kirdar par unglian uthaen.
                        Agar yay family forum hay tu eik family ke tarah khawatein ko yahan mehfooz samajhna chahye.
                        Reh gaye yay bat kay nazm namunasib hay tu mujhay to aisa nazar nahe ata.Us nazm mein na kise ka nam leya gaya hay na kese rishtey ka.Yay apne apne sooch hay jo kis cheez ko kis tarah lay.Akhir eik bap bhe tu bete ka matha chomata hay, tu yay baat bhe namunasib hay keya?Aur keya Mian bewi ka rishta he namunasib hay aur eik family ka hissa nahe?
                        Aurtun aur mardon ke jazbat mein yay faraq hota hay kay aurtein dilkash lamhay sanbhal kar rakhte hain.Un ke khushe yahe lamhay ya un ke yadein hotein hain.Jabkay mard ya tu hijr samajhtay hain ya wassal.Is leyay agar koe aurat un lamhon ko beyan karey tu us par ilzaam laga detay hain, jabkay khud wasal ke beqarare ko beyan kartay nahe choktay.In Ustadaon pay koe aitraz nahe karta keyonkay tab tu tamam Urdu Adab he jalana paray ga.Is leyay bechare aurut ko he sangsar keya jata hay.

                        MAZA MILAY KAHO KEYA KHAK SATH SONAY MEIN
                        RAKHAY JO BECH MEIN WO SHUKH SEEM TAN TAKYA Ghalib
                        Writing is easy. No problem there. Afterwards you face the music. Well, I seem to have survived through all that. The furore dies down after a while. The poem lives on.
                        Fahmida Riaz

                        HAM TASUWAR MEIN BHE JO BAT ZARA KEHTAY HAIN
                        SAB MAIN UT JATE HAY ZALIM USAY KEYA KEHTAY HAIN -- DAAG

                        ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

                        Comment

                        • #27
                          Re: Zameeni Khuda

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          Latoun kay bhoot batoun say nahi mantay ..:)

                          is pay Admin khudhi a kay baat karian gay ...:rose
                          Nahayat hee bad tameez ho tum.

                          Comment

                          • #28
                            Re: Zameeni Khuda

                            Originally posted by zapk7 View Post
                            Assalam-o-alaikum
                            Aanchal aur khalil!aap dono ki chapqalish se yahan mojud sab log mutasir ho rahay hain.Aap donon koshish karain ke is muamilay ko khush asloobi se nimtain.
                            Khalil! tumhara image PG per bohat acha hai laikin agar tum apna rawaya yunhi rakho gay to yeh image kharab hi hoga.Mujhay nahin maloom ke tum ne apna rawaya kiyun badla hai,laikin is se nuqsaan bhi tum hi uthao gay.
                            Anchal! Tum super moderator ho,is hawalay se tum yahan aik "Baray" ka muqam rakhti ho,so narm guftari se muamila suljhanay ki koshish karo.
                            PG aik family ki tarah hai.Maira aap sab se yehi kehna hai ke aik doosray ka aihtraam karain,koshish karain ke kisi key jazbaat ko thais na lagay,aik doosray ka khiyaal rakhain.Khaas tor per kisi per keechar uchalnay se perhaiz karain,kirdaar kushi gunao-e-kabeera ke zimray mein aati hai.Muhazib logon ko yeh feil zaib bhi nahin daita.
                            Aik bari behan honay ke naatay mein ne yeh batein ki hain umeed hai aap bura nahin manain gay.
                            Shukriya
                            salam baji umeed hay k yeh post del nahi hugee...

                            anchal mery khiyal sy nafsiati mareeza hay...aaj mera jo image hy wo anchal aur zania kee waja sy
                            enoo ny apni anaa ka masla bana ker mujy team sy nikal dia...
                            anchal ny as coadmin buhat sari ghaltian kee thee aur kuch ghaltian muj sy bee hui thee aur wo aisi nahi thee k mujy nikala jay..
                            yeh dono anchal aur zania pegham kee policy per amal nahi kar rahi thee such as Mod ka Invisible rehna aur kuch aur jab main ny enain mana kia to us din k baad yeh mery mukhalif hu gai thee...
                            aur abi bee anchal apni ana ka masla bana rahi hy...
                            bejay anchal ko warning dainy k yeh mujy dy rahy hian.....
                            main ny jo pegham per kia wo jab janty hian...
                            lakin aaj jo mera raviya hay wo sab anchal kee waja sy ...
                            jis ny kuch sochy samjy without mujy bahir ker dia...
                            aur bakee rahi admin kee baat aur mujy pata hay wo ab kia kary gey..

                            Comment

                            • #29
                              Re: Zameeni Khuda

                              Originally posted by Khalil View Post
                              Nahayat hee bad tameez ho tum.
                              apni izzat ka khayal nahi yeh larkeoun ki kia izzat karay ga ....
                              apni zaban ko apnay qaboo main reakhoo ....
                              aap kia hoo sab ko pata hai ...
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              • #30
                                Re: Zameeni Khuda

                                Originally posted by Khalil View Post
                                salam baji umeed hay k yeh post del nahi hugee...

                                anchal mery khiyal sy nafsiati mareeza hay...aaj mera jo image hy wo anchal aur zania kee waja sy
                                enoo ny apni anaa ka masla bana ker mujy team sy nikal dia...
                                anchal ny as coadmin buhat sari ghaltian kee thee aur kuch ghaltian muj sy bee hui thee aur wo aisi nahi thee k mujy nikala jay..
                                yeh dono anchal aur zania pegham kee policy per amal nahi kar rahi thee such as Mod ka Invisible rehna aur kuch aur jab main ny enain mana kia to us din k baad yeh mery mukhalif hu gai thee...
                                aur abi bee anchal apni ana ka masla bana rahi hy...
                                bejay anchal ko warning dainy k yeh mujy dy rahy hian.....
                                main ny jo pegham per kia wo jab janty hian...
                                lakin aaj jo mera raviya hay wo sab anchal kee waja sy ...
                                jis ny kuch sochy samjy without mujy bahir ker dia...
                                aur bakee rahi admin kee baat aur mujy pata hay wo ab kia kary gey..
                                kisi achay say pagloun kay doctors say ilaaj karwaoo :tasali: nafseeyati mareez aap hoo ya main ?
                                yeh banda apni baat ko chupanay key leye ider say idher lay jata hai batoun ko ..jabkay aik bhi baat ka sahi jawaab nahi daita ...
                                agaar aap sahi hotay Admin aap ko doobara team main lay atay ....
                                mere jo ghalati hai batiaan woh Admin ko ....
                                invisible main nay allow kia tha to aap koon hotaya hian coadmin kay rules main dakhala deenay walye ?
                                or aap khud hamray id visible kar datay or chup kay beath jatay kay main nay to nahi keye mujh pay shak kartaya hoo tum loo....jab Admin aye to aap ka yeh poll khul gia kay aap hi karaty they ........!
                                ulta choor kutawaal ko daantay ....
                                yaha rehna haai to hai to tameez say rahoo ....
                                Admin kay zarye hi tum sau baat hoo gee kay tum kitnay suchay hoo ....
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X