Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

zakawat kay baray main aik sawal ..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • zakawat kay baray main aik sawal ..

    Assalamalikum
    jis shakahash kay pas 7 1/2 toolay sona or 52 1/2 toolay chandi hoo ro us par zakat deen faraz hoo jata hai ...............
    ab sawal yeh hai aik toolay kay pechay kitni zakwat hoti hai ?

    7 1/2 toolay soona jo hai banday kay paas woh kitnay pesay day zakwaat main ?
    Last edited by .; 26 March 2006, 00:21.
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: zakawat kay baray main aik sawal ..

    Originally posted by Aanchal
    Assalamalikum
    jis shakahash kay pas 7 1/2 toolay sona or 5 1/2 toolay chandi hoo ro us par zakat deen faraz hoo jata hai ...............
    ab sawal yeh hai aik toolay kay pechay kitni zakwat hoti hai ?

    7 1/2 toolay soona jo hai banday kay paas woh kitnay pesay day zakwaat main ?
    Assalam-o-Alaikum,
    Sister Aanchal 7 1/2 tola gold ki market main jo qeemat bane gi aap ko us par 2.5 % k hisaab se zakaat dena ho gi. Aur 52 1/2 tola chandi par zakaat wajib hoti hai. Aap se shayad typing main mistake ho gaee. I request my friends who have better religious knowledge, for further explanation. Jitna mujh ko pata tha maen ne bata diya. Allah aap ko jaza-e-Khair de.

    Comment

    • #3
      Re: zakawat kay baray main aik sawal ..

      Originally posted by SUKRAAT

      thanxx for ur replay :rose
      chandi 52 1/2 hai ...ghalati say 5 1/2 likh dia :rose

      mujhay koi youn bataye kay 7.5 ko 2.5 say or jo soonay ki qeemat hoo gee us say kia multiply karna hai ya devide jo bhi karna hai woh batain :rose
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: zakawat kay baray main aik sawal ..

        Originally posted by Aanchal
        thanxx for ur replay :rose
        chandi 52 1/2 hai ...ghalati say 5 1/2 likh dia :rose

        mujhay koi youn bataye kay 7.5 ko 2.5 say or jo soonay ki qeemat hoo gee us say kia multiply karna hai ya devide jo bhi karna hai woh batain :rose
        Farz karo k market main gold ki qeemat 9000 rupees per tola hai ab aap 9000 ko 7.5 se multiply karen gi to aap k gold ki qeemat bane gi 67500 rupees. Aur zakaat ka permanent rate hai 1000 par 25 ruppes. Yeh sirf misaal k liay hai. Mujhay naheen pata k Pak main gold ka kia rate hai coz I live abroad.Before paying Zakat you should check first hand rate from market.

        Comment

        • #5
          Re: zakawat kay baray main aik sawal ..

          jazak ALLAH sukraat bhai aap ny bilkul theek bataya likin main iss main mazeed ye wazahat karna chahoon ga k zakawat ka nisab tab hasil hota hy jab us par aik saal ki mudat guzar jay yani jab aap k pass 7 1/5 tloy sony ko pary huy saal poura hojay to tab us ki zakawat ho gi yani nisab par aik saal ki mudat bhi wajib hy....baqi wALLAH O allam...w/slaam aabi
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment

          • #6
            Re: zakawat kay baray main aik sawal ..

            Originally posted by aabi2cool
            jazak ALLAH sukraat bhai aap ny bilkul theek bataya likin main iss main mazeed ye wazahat karna chahoon ga k zakawat ka nisab tab hasil hota hy jab us par aik saal ki mudat guzar jay yani jab aap k pass 7 1/5 tloy sony ko pary huy saal poura hojay to tab us ki zakawat ho gi yani nisab par aik saal ki mudat bhi wajib hy....baqi wALLAH O allam...w/slaam aabi
            Assalam-o-Alaikum,
            Dear brother wazahat karney ka bohat shukriya. Waqaee maen yeh batana bhool gaya tha.Allah tala aap ko is a ajar dey...Ameen.
            Wassalam-o-Alaikum

            Comment

            Working...
            X