Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"Kitaabon ki darsgah main !"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "Kitaabon ki darsgah main !"

    "Kitaabon ki darsgah main !"

    "Ibn_Al_Hasan Abbasi"

    "Hazaron safhaat ke mutaaley se muntakhib, dilchusp or ibrat-angaze waqeaat-o- ibaraat, ilmi latayif-o-nukaat, sabaq-amoz qissey, basirat_ afroz malumaat."..... Ye aik aisi kitaab hai jis ka mutaleaa aankhon me aansu bhi lata hai or honton per tabassum bhi, jo behtareen rafeeq-e hazar bhi hai or khushgawar rafiq-e-safar bhi !"

    Qissa= 1
    "Behtareen Aur Budtareen !"

    Hazrat LUQMAAN HAKEEM ke aqa ne un se aik martaba kaha " Bakri zibah kerke iske do behtareen hissey mere paas laao."
    Unhon ne bakri zibah ki or us key dil-o-zaban aqa ke paas legaey, aqa ne phir hukm dya ke , " Aik or bakri zibah kerke uske do budtareen tukrey mere paas laao."
    Unhon ne bakri zibah ki or is marta bhi uske dill-o-zaban us ke paas leker gaaey,
    Aqa ne poocha, "Mene behtareen hissey talab kiye to tum yehi laaey, budtareen hissey talab kiye tab bhi yahi laaey ??"
    Hazrat HAKEEM ne farmaya, "Mere aqa ! Dill-o-Zaban achhey rahen to in se behter jism kaa koi or uzuw nahi ho sakta, or agar ye bigar jaaeyn to in se budter koi uzuw nahi ho sakta, ye behter rahen to behtareen hain, budter ho jaaeyn to budtareen hain."


    (Tafseer Qartabi, jeem:4,suaad:61)



  • #2
    Re: "Kitaabon ki darsgah main !"

    Qissa=2

    "Aawaz Di Khizan Ne Tu Bhi Nazar Me Hai !"

    Aik shukhs apni ahliya ke sath umda khana kha raha tha,
    ke faqeer ne sada lagai,
    Faqeer ki ye awaz use bohat buri lagi. Use jhirak ker darwaze se dhatkara.
    Bechara saail faqeerana aaya tha aur sada kerchala.

    Gardish-e-Dauran dekhue ke ye shukhs khud faqeer hogaya, maal-o-daulat jaata raha, Biwi ko talaq dedi,us ne kisi aur se nikah kerliya.
    Aik din ye dono miyan biwi umda khana kharahe they ke aik faqeer ne sada lagai, shohar ne kaha,
    "Ye khana use de aao !"
    Wo khana deker wapis hui to rone lagi, miyan ne waja poochhi to kaha,
    "Faqeer mera saabiqa shohar tha, is haalat me use dekhker rona aaya."
    Or saail ko jhirakne ka saabiqa qissa use sunaya, us ka shohar bola,
    "Bakhuda ! wo faqeer main hi tha !"


    Paz-Murdagi-gull pe jab hansne lagi kali
    Aawaz di khizan ne Tu bhi nazar me hai !

    (Al-Mustatrif, suad:133)


    Comment

    Working...
    X