Assalaamu alaikum TM aaj hum khaas kar haazir hainaap subke aage kuch mazeed mangharat aqaaiydrakhne ke liye insha'ALLAH in tamaam baatonse humen hidayat ka zariya milega so aaj ke mauzu hain
1..Dhamaal
2..Urs o Mela
3..Qabaron ki zyarat aur wahan tamasha
subse pehle bata dein ke hum inhen JIHALAT kyun keh rahe hain
1..ye ISLAM to kya hayadaar insaniyat ke bhi samajh se bahir hain
2..In harkaton me nuqsaan ke ilaawa kuch bhi nahin
3..ISLAM me door door tak inka zikr nahin
4..In melon me aadmi aurat ikhatte hote hain(hamesha)
5..Inse AULIYA ALLAH ki be hurmati hoti hai
6..ISLAM ka ghalat chehra auron ke aage peish hota hai
ab aayen baad jihalat ke ise biddat ki roh se dekhne
ALLAH ta'ala ki janib se jo tumhari taraf naazil kiya gaya haius ki pairwi karo,aur ALLAH ko chorh kar mangharat sarparaston kipairwi mat karo tum loug bohot hi kam naseehat pakarte ho
Surat al A'araaf,ayat#03
aur Hazoor e Aqdas Rehmat al alameen saww ka farmaan e mubarak hai
sub se behetter baat ALLAH ki KITAB haiaur subse behetter rehnumaiy MOHAMMAD saww ki haiaur subse bure amor biddaat hain aur har biddatgumraahi hai
sahih Tirmadhi shareef
goya yeh bina mufti bane bhi pata lag raha hai ke ISLAM me biddat naamikuch hota hai har biddat gumraahi hai aur biddat deen me kuch nayekaam ko kaha jaata hai jese ke unme Dhamaal urs mela qabaron pe tamasheshaamil hain
aur mere nazdeek in mangharat aqaaiyd ke wajoohaat yeh hain1...JAAHIL LOUGON KO ULMA MAANNA2...JAHILANA AQEEDE KO SAMAJHNE KE BAAD BHI USKI PAIRWI KARNA3...BIN DALEEL E AYAAT O AHADEES KISI BAAT KO BHI SAHI JAAN LENA5...APNE PEER KI JIHALAT SAAMNE AANE KE BAAD BHI BEHES KARNA6...HAQ KO KISI SURAT TASLEEM NA KARNA7...YE SOCH KAR CHUP REHNA KE JIHALAT TO SUB FIRQON ME HI HAI8...DEEN KE MUAAMLE ME ANA PARASTI KARNA9...ISLAM KO ULMA TAK MEHDOOD KAR DENA10...YE AQEEDA AAM KARNA KE MURDE MARTE NAHIN
yaqeen karen jab hum in 9 nuqton me se eik per bhisabit e qadam rehna chorh dein to dar haqeeqat meMUSALMAAN ban jaayen aur humaare tamaam jahilanaaqaaiyd khatam ho jaayen ab aapko dikhate chalenke aakhir yeh urs mela aur mazaraat pe hota kya hai
Urs ke haqaaiyq
Mazaraat per hinduiyat
mandir numa ghantiyan
Hu ba hu bhagwan
Dhamaal ki haqeeqat
mard aur aurat ikhatte kis tarah
ka dhamaal aur kahaan ka deeni hissa ??
Qabar ya Mehel ??
QAWAALI KE NAAM PER BE PARDAGI
Mazeed JIHALAT
doston aaj ke aksar naojawan Karachi Hyderabadki jaanib se bolte hain hum jaa rahe hain dargah perurs hai urs hai aap dekhte hoge unhen theek tarahse 6 kalimon ka naam tak yaad nahin hoga paanchwaqt ki namaz nahin parhte lekin in maqamaat peryeh sub dekhne aur karne ke liye jaate hain sirfaur sirf tafreeh ke naam per aur wahaan kya kiya jata haiwo sub aap dekh chuke hain NAUZBILLAH aur uskeilaawa bhi urs mela dhamal ka ISLAM se door doortak koi rishta nahin albatta yeh dhamal hinduiyat seMUSALMAANON me daakhil huwa hai jiska khaatmazaroori hai aur insha'ALLAH eik din iska khaatma hogahumare liye is se bachna laazmi hai kyunkeQURAN shareef me hai
Farma dijiye ke mere RAB ne sirfbe hayaiy ki baaton ko haram kiya haijo un me se zahir hon aur jo posheeda honaur gunah ko aur na haq zyadti ko aur is batko ke tum ALLAH ka shareek thehrao,(aur)jiskiusne sanad nahin utaari aur ye ke tum ALLAHper aisi baaten kaho jo tum khud bhinahin jaante
Quran surat al A'araaf,ayat#32
(again from Irfan ul Quran)
aur apne jaanne walon ko in biddaat sebachaane ki poori koshish karen kyunkeQURAN AL HAKEEM me aaya hai
Beshak insan khassare me hai siwaye un logon ke jo iman le aayeaur naik amal karte rahe aur eik doosre ko haq ki talqeen karte raheaur baahum sabar ki takeed karte rahe
Quran surat al Hummaza,ayat#2-3
ALLAH PAK humen haq ke raaste pe chalayeHAQ baat karne ki sunne ki samajhne kikarwane ki sunaane ki samjhaane ki bharpoorquwwat himmat o taufeeq bakhsh Ameen .
Comment