Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

islamic quiz

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • islamic quiz

    Assalamalikum

    islam kay baray main zaida ilms barhanay key leye chotay motay quiz hotay rehnay chaye :D:

    is thread main chand sawaal pouchoo gee aap loog apnay jawab likhaye pher main sahi jawabat bataoun gee :rose

    yeh saray sawalat sura baqra kay mutaliq hain :rose

    1.Sura Baqra Makki hai ya Madni?
    2.Sura Baqra main kitnay Rakoo hain ?
    3.Sura Baqra main kitnay haroof hain ???
    4-Sura Baqra main kitnay kalmat hain ?
    5-koi hadees likhaye jis main Sura Baqra ka ziker kia gia hoo ..
    6-Sura Baqra ki akahri 2 ayaat Hazoor(SAW) par kis mouqay par nazil hovein???
    7-yeh surat kitnay paroo par mushtamil hai?
    8-sura baqra main chand waqeyaat beyan keye gay hain koi aik waqeya bataye ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: islamic quiz

    السلام علیکم
    جزاک اللہ سسٹر ، بہت اچھا سلسلہ شروع کیا ہے آپ نے ۔ واقع میں اس سے ہم سب کو بہت فائدہ حاصل ہو گا۔
    My blog

    Comment


    • #3
      Re: islamic quiz

      1.Sura Baqra Makki hai ya Madni?
      madni
      2.Sura Baqra main kitnay Rakoo hain ?
      40
      3.Sura Baqra main kitnay haroof hain ???
      25500 haroof
      4-Sura Baqra main kitnay kalmat hain ?
      6121
      5-koi hadees likhaye jis main Sura Baqra ka ziker kia gia hoo ..
      Muslim shareef main Abu amama sy rawayat hay ..K (zeraween) chmkdar aur norani sortoon ko pata keroo..yeheni Bakra aur ALe Imran ..kiun k kiyamat ky din yeh dono sura apny parhny wali per badal kee tarah saya kerian gii. aur un kee shafaahat kerain ge...es main aik gay ko zibah ker k es ka goshat bani esrail ke aik maktool k jisam per lagaya gia jis sy wo zinda hu gia.or os ny apny katil ka name bataya
      6-Sura Baqra ki akahri 2 ayaat Hazoor(SAW) par kis mouqay par nazil hovein???
      es k bary main ni abi yaad.

      7-yeh surat kitnay paroo par mushtamil hai?
      2 pary makamal aur tesry pary ka aik Paoo
      8-sura baqra main chand waqeyaat beyan keye gay hain koi aik waqeya
      es main buhat sary wakiyat hay hum wo biyan kerian gy jus kee waja sy es ka name surat Bakra para aur wo hay
      qoomy bani israail ka aik gay ko zebah karny ka waqea.

      Comment


      • #4
        Re: islamic quiz

        jazak ALLAH khalil bhia bari maloomat hy aapki keep it up.
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #5
          Re: islamic quiz

          sab try karain na jitna ata hai utna hi likh daian ....:rose
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: islamic quiz

            anchal G main ny jwabat to dy dy hain

            Comment


            • #7
              Re: islamic quiz

              Originally posted by ~Khalil~
              anchal G main ny jwabat to dy dy hain
              ji aap nay to day deye hain :phool: baki bhi to try karain na :D:

              jis ko jitna bhi ata hai utna hi likh daian na chaye aik sawal ka jawab hi ata hoo :)
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: islamic quiz

                Jawaabat

                1.Maddni
                2.40
                3.25000
                4.6121
                5."hAZRAT mUHAMMAD (S.W) nay farmaya jis ghar main sura baqra parhi jaye shetaan us say nikal jata hai ....
                "Nabi kareem (S.W) nay farmaya jo shakaash sura baqra parhaye ga usay jannat main taaj pehnaya jaye ga "
                7.Sura Baqra ki akhri 2 ayaat Hazoor(S.W) par Shab-e-Miraaj kay moukay pay nazil hoo chuki thein..
                7.arrhaai paray
                8.Chouthay Rakoo main zahoor-e-Adma(Alahisalam) or farishtoo kay waqeya pay roushnee dali gai ...
                panchaian main Yahood kay ahwaal-o-amaal par tabsra kia gia..Hazrat Saliman Alahislam ka waqeya par bhi roushnee dali gai hai , un kay zamanay main yahood toonay or jantar mantar kay fazool kamoo main lag gay they..

                Rakoo 20 say 26 tak shari ehkaam beyaan keye gay hain ..nazam ,roza, toheed waghera waghera....
                rakoo 27 say 31 tak moushrati masyail pay roushnee daal gai hai ....in ayaat main mushrik aurat say nikha ki hurmat , masail nikha o talaq kaybaray main bataya gia hai ...
                rakoo 32 say 33 main dawat-e-jahad di gai hai .....
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                Working...
                X