Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Deen aour Mazhab main Farq

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Deen aour Mazhab main Farq

    Deen aour Mazhab main Farq

    "aur ALLAH ki bargah main maqbool DEEN to sirf Islam hai." (Aal-e-Imran)

    Lafz "mazhab" or lafz "Deen" main mafhoom k aitbaar se bohot farq hai, agharche hamare han aam tor per Islam ko mazhab kaha jata hai. laikin dilchasp amr yeh hai k Qur'an-e-Majeed or Hadees k zakheera main kaheen b Islam ko "mazhab" k naam se nahi pukara gya, belkey "DEEN" ka lafz istemaal kia gya hai.

    Mazhab kya hai? Mazhab aik jazwi haqeeqat hai jo sirf chand aqayad aur kuch marasim-e-aboodiyat k majmue ka naam hai laikin DEEN se muard hai "aik mukammal nizaam-e-zindagi" jo tamam pahluon per haawi ho. goya mazhab k muqable main deen aik bari or jaame haqeeqat hai. is pasmanzer main yeh kahna darust nahi ho ga k Islam aik Mazhab nahi hai, is liye k mazhab k tamam anasir Islam main mojud hain (Ibadiyaat aur Aqaid). Islam main na sirf aik mazhab ka khaka mojood hai, belkey aik mukkammal zindagi ka laaha-e-amal bhi hai. Bilashuba Islam aik mazhab hai, magar Islam mahaz aik mazhab nahi. chanache isko mazhab kahna is k dunyawi anasir ko nazar andaz krna ho ga.


    Haasil-e-bahas


    Islam aik wahid aisa mazhab hai, jo Deen bhi hai. Islam k andar yeh quwwat hai k yeh tamam mazaahib-e-aalim per ghaalib ajaye, magar shidat pasandi or dahshat gardi k zariye nahi balkay un kaamil Akhlaaqi taleemat se jo sirf deen-e-Islam ka khaasa hain. un Aqhlaaqi tamilaat ki badolat Islam k andar qawwi or darakhsan imkaanaat hain k woh tamam mazaahib ko apne sath le kr chal sake.

    Baqa-e-bahmi ka tassawur aik wasee canvas ki surat hai, jis per dusre mazaahib k sath mil kar maholiyati aloodgi, global warming, mukhtalif insaani beemariyon, nasli ta'asub, aalmi na-insafi or masum logon k bejaa khoon-baha jaise mozooa'at ki akkasi ki ja sakti hai.



    Mazhab aur Insaniat


    mujhe lagta hai ke Mazhab aur insaniyat do mukhtalif cheezain hote hue bhi mukhatlif nahi hain.,

    kyoonke Mazhab ne hi humain insaniyat samajhayi hai,..jaise ke purane zamane me ladki paida hote hi daffan kar di jati thi,ya mard sharab aur jua khel kar apni biwiyon ke sath ghalat salook karte the,to aise me Islam ne hi Insaniyat pe roshni dali.Islam ne hi Aurton ko azadi dilayi,aur Islam ki wajah se us zamane me aurat ko izzat ki Nigah se dekha gaya aur ladkiyon ko zinda dafan kardena ek ghair insaniyat harkat hai.ye sab Mazhab ne hi humain sikhaya aur samjhaya.

    ye kehna mushkil hai ke pehle insaniyat ani chahye ya mazhab.life me sab se important insan ka mazhab hota hai,lekin insaniyat ek aisi cheez hai jisse nazar andaz nahi kiya ja sakta.

    Hum pehle Insaan hain,uske bad humne koi mazhab select kiya ya accept kiya.

    agar mujhe kahin road pe koi christ/hindu zakhmi nazar aye,to mai ye nahi dekhunga ke mera mazhab kya hai aur uska mazhab kya hai.Balke sab se pehle insaniyat ki haissiyat se use help karunga.
    There is so much to add, but this roman Urdu typing is a bit annoying
    Last edited by Jamil Akhter; 27 June 2011, 18:13.
    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں
Working...
X