First Of All ...... Tamaam Members ... Manager's ... Owner .. Etc Etc ... Ke Saamnay Mein Salam Paish-e-khidmet Kernay Ki Gustakhi Ker Raha Hoon ............ Assalam-o-alikumthen I Hope You Are Fine ... Cause Allah Ke Bandey Hamesha Theek He Hotey Hain And Allah Un Ko Dukh Bhe Is Liyeah Deta Hai Ke Wo Allah Ko Yaad Kertey Hain Werna Aaj Kal Ki Generation Mein Allah Ko Yaad Kernay Ka Time Kisi Ke Pass Nahin I Think ... Baaki Allah Tabarakwatalah Ziada Behter Jaanta Hai ....now ....meray Waaqyeah Ki Taraf Zara Nazr-e-perah Hojaaein ...tu Waaqya Is Tarah Biyaan Kerta Hooon Ke ..."ek Shaks Tha Jo Ke India Ka Rehnay Wala Tha, Wo Shaks Pakistan Ke City Lahore Mein Aaya, Wahan Un Ki Mulkaat Ek Shabnam Naam Ki Lerki Se Hoi, Kuch Arsey Mein Un Ka Nikaah Hoogiya, Tu Wo Shaks Shabnam Ko Le Ker India Waapis Chala Giya, Wahan Wo Dono Apni Zindagi Sukoon Ke Saath Baser Ker Rhay Thay, Ke Shabnam Ke Maa Bannay Ka Waqt Aagiya, Usi Doran Shabnam Ke Husband Jub Office Gaye Tu Un Ko Office Ke Ek Bande Nay Kaha Ke Janab Aap Ki Begum Jo Hain Un Ka Rehan Sehan Theek Nahin Hai Wo Galat Bandoo Se Talukaat Rakhti Hain Etc Etc, Then Shabnam Ka Husband Gher Aaya, And Shabnam Ko Aisi Haalat Mein Gher Se Bahir Nikaal Diya... Then Shabnam Rooti Rulaati Bechaari Ek Dergah(tomb)(mazaar) Ke Pass Phonchi ... Auer Waheen Ek Choti Si Jagah Per Apna Basaira Bana Liya, Then Kuch Din Baad Shabnam Ki Gooood Mein Ek Hansta Muskurata Us Ka Laal Paida Howa, Us Ka Bacha Bohet He Kum Umer Mein Quran-e-majeed Ka Hafiz Bun Chuka Tha (subhanallah) Bus Yoon Samjhlein Ke Wo Apna Ziada Ter Waqt Allah Tabarakwatalah Ki Ibaadet Mein Guzzarta Tha, Auer Us Bachay Ke Dil Mein Ek Surakh(whole)bhe Tha, So Ek Din Shabnam So Rahe Thi,kaafi Raat Hochuki Thi,achanak Se Shabnam Ki Aankh Khuli, Tu Wo Kya Dekhti Hai Ke Us Ka Beta Usi Dergah Per Bethay Girgarah Ker Dua Maang Raha Hai Ke Aey Allah Tuney Mujhey Is Na Pak Duniya Mein Utaar Diya Mein Yahan Nahee Reh Sakta , Tu Shabnam Preshaan Ho Ker Ghabra Ker Uthii Auer Apnay Laal Ke Pass Gei,tu Wo Kya Dekhti Hai Ke Us Ke Bachay Ki Kameez Ke Buttons Khuley Hain Jis Ke Ander Se Bachay Ka Seena Nazar Aaraha Hai, Tu Shabnam Dekhti Hai Ke Us Ke Seenay Per Hamarey Pyaarey Mehboob Hazret Muhammad S.a.w Ka Roza-e-mubarak Bana Howa Hai ... (subhanallah) Auer Wo Yeh Dekh Ker Behosh Hojaati Hai... Us Ke Behosh Honey Se Wahan Ki Basti Ke Kuch Loog Jama Bhe Hojatey Hain.. Tu Shabnam Per Paani Daal Ker Us Ko Hosh Mein Laaya Jaata Hai And Us Ke Hosh Mein Aatey He Us Ke Beta Us Ko Ishaarey Se Mana Kerdeta Hai Ke Kaheen Shabnam Basti Ke Logoon Ke Saamnay Kuch Na Kehdey, Phir Itefaaq Se Shabnam Ke Laal Ke Dil Ka Dard Berhnay Lagta Hai Auer Us Ko Hospital Mein Admit Kerwaya Jaata Hai,doctors Shabnam Ke Laal Ko Opertion Theater Mein Le Jaatey Hain,then Operation Khatam Hota Hai Doctors Bahir Aaker Shabnam Ko Kehtey Hain Ke Sorry Hum Aap Ke Bachay Ko Nahin Bacha Paai,but Aap Ka Bacha Bohet Khush Naseeb Tha Us Ke Seenay Per Hazret Muhammad S.a.w Ka (roza-e-mubarak) Bana Howa Tha Jis Ki Hum Nay Kuch Tasaveer Bhe Khenchi Hain... Beechari Shabnam Pehlay Apnay Husband Se Door Hogei Us Ke Baad Apnay Laal Se Bhee .. Then Wo Apnay Bachay Ke Ghum Mein Ro Ro Ker Andhee (nabeena) Hojati Hai... Kuch Arsa Guzernay Ke Baad Usi Dergah Per Jagah Shabnam Rehti Hai Itefaqan Shabnam Ka Husband Aata Hai Auer Us Ko Sub Such Pata Chal Chuka Hota Hai, Wo Shabnam Se Maafi Mangta Hai Auer Shabnam Ko Apnay Saath Gher Le Jaata Hai,then Shabnam Kuch Din Baad Apnay Mehkey Yaani Apni Maa Ke Gher Aanay Ka Kehti Hai Tu Us Ka Husband Us Ko Lahore Le Aata Hai, Itefaaq Se Kuch Din Baad Eid-ul-azha Ka Moqa Hota Hai, Tu Shabnam Ke Gher Mein Ek Gaayen(cow) Aaye Howei Hoti Hai Wo Cow Sirf Shabnam Ke Haath Se He Khaati Thi Auer Kisi Ke Nahin, Then Dekhtey He Dekhtey Eid Aajti Hai, Un Ke Jaanwer Ki Quraabani Hoti Hai, Then Shabnam Ki Bhabi Shabnam Ko Ek Thaali Ke Ander Cow Ki Kaleji Ka Ek Hissa Rakh Ker Detin Hain Auer Kehtien Hain Is Ko Apnay Pass Rakho ,,, Shabnam Wo Le Ker He Rakhti Hai Ke Kuch Der Baad Us Kaleji Ke Tukrey Mein Se Kuch Aag Ka Shola Sa Nikal Ker Shabnam Ki Aankhoon Mein Ghusjaaata Hai , Shabnam Dono Aankhoon Per Hath Rakh Ker Aankehin Bund Kerleti Hai,kuch Der Mein Jub Haath Hata Ker Aankehin Kholti Hai Tu Us Ki Aankehin Ek Dum Sahee Hojaatein Hain Auer Weo Dekh Sakti Hai, Auer Sub Se Beri Itefaaq Ki Baat Wo Kalegi Ka Tukra Jis Se Aag Ka Shola Nikla Tha Us Per Nazar Perti Hai Tu Us Kaleji Ke Tukrey Per Bhe Hamarey Piyaarey Mehboob Hazret Muhammad S.a.w Ka (roza-e-mubarak) Bana Hota Hai (subhanallah) ...yeh Ek Sacha Waaqya Hai Islam Ka ...i Hope Aap Ko Zaroor Acha Laga Hooga ...apna Khayal Rakhyeah Ga ...and Duaon Mein Yaad Rakhyeah Ga
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Islam Ka Ek Sacha Waaqya ... Read Becarefully !
Collapse
X
-
Re: Islam Ka Ek Sacha Waaqya ... Read Becarefully !
Assalam-o-Alikum WR WB
Jothic ! sab sey pahaly to aap ko bhot welcome:rose k aap nay Pegham mein sahmoliyta ikhtiyaar ki ... umeed hay aap ko Pegham pasnd ay ga ....
Dosri baat ya kay jo aap nay ya Post ki hay ... main is kay totally khalaf hu ... Plz mind na kijya ga ... bhot si wajoohat hy ...:cc: .
sacahy aur islamic waqiyaat wo ho tay hay jin ka zikar quran majeed main hay ya asy waiyat jin ki tasdeeq hui wi hay aur jin main koi aap ko shirkj wagyra ya bidat wagyra nazar nahi ai gi ...:)
Well aap mujh say bad dil na ho gya ga ... jo may nay feel kya ... wo may nay aap say byaan kar diya ... :lpop:
FeaamnAlah:lpop: :lpop:Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga
-
Re: Islam Ka Ek Sacha Waaqya ... Read Becarefully !
aslamo alykum janab , aap ny ye waqea naqal kiya aur issy islam ka sucha waqea qaraar diya likin aap aik ahem islami usool bhool gay bhai k iss waqea kaap ny rawayatn yani begaer hawaly k bayan kiya aap ko chaiye tha k iss ka motabar hawala peesh karty aur koi ayni shaid ki gawahi wagera peesh karty kiuon k ye gair mamoli waqea hy lehaza is kism k waqaat ko to bohat ziyada pazeerai milti hy likin afsoos k hum ny naheen suna aur na he aap ny iss k bary main koi mutbar shadat fraham ki agar is waqea k bary main aap koi mutabar hawala de deen to phir is ko maan layny main hamy koi tamul naheen hoga kiuon k islami tareekh is kisim k waqeaaat ki tasdeeq karti hy likin shart daraytan aur rawayatn mutabar hawaly ki hy?baqi raha iss waqea ko bheegi palkeen bhai k shirak aur bidat kehna to ye aaj kal ka feeshon ban gaya hy k koi bhi baat ho usy forun shirak aur bidat keh do halank is waqea main shirak ka kon sa pehlo hy bhala ?
is ki wajha ye hy k hamara islami mutalia bohat kum hy jo khuch ham ny sun rakha hy bus usi ko harfe akhir samjhty hain ye hamara almiya hy k hum islami kitaabeen naheen party bus serf fatway lagaty hain, w/slaaam aabiLast edited by aabi2cool; 4 February 2006, 16:52.ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Re: Islam Ka Ek Sacha Waaqya ... Read Becarefully !
walikum as salam !
janab hum ko bilkul bhe bura nahin laga !
balke ... aap ka andaz-e-talk auer nashre-e-zehaan hum ko pasand aaya ..
ke aap nay such baat keri .... aap ke jazbaat ko yeh Jothic Salam paish kerta hai ...
auer INSHALLAH aagay kuch paish keroon ga tu us mein galt-ul-masra na kernay ki koshish keroon ga ...
okz
Comment
Comment