Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Namaaz Padney ka Tariqa (Hanfi)
Collapse
X
-
Re: Namaaz Padney ka Tariqa (Hanfi)
Walaikum Assalaam
Bohat hi khoobsurat sharing ki hay aap nay, hum main say waqayi aksar-o-baishtar log namaz ka sahi tareeqa ikhtiyaar nahin kartay, ALLAH SWT aap ko jaza-e-khaair ata karay AMEEN.
Aik baat jo main nay paRhi hay aap sab say share karnay ki jasaarat karoonga..
Namaz kay douran, chayeh aap khaRay hain, Jalsay ki haalat main hain, yaa phir sajday main, kabhi bhi apna aik pair kamazkam humesha zameen per rakhain jaisay gaaR dia gaya, bohat say logon ko main nay dekha hay kay sajday ki halat main apnay dono payon zameen say utha kar dosray payon say joR daitay hain, aisi sourat ki ulma-e-karam nay bohat mumaniyat ki hay.
Uss kay saath saath Jagah ki paki aur munasib kapRay, bas auqaat log long bermuda main namaz ada kartay hain, khair sharayan agar aap ki naaf aur ghutnay ka hissa chupa hay tou aap ki namaz ada hojayay gi, magar aap iss baat ka khayal rakhain kay namaz main aap ALLAH SWT say mukhatib hotay hain usski bargah main khaRay tou aap apnay libas ka poora khayal rakhain aur izzat-o-ahtiraam kay saath khush-o-khuzoo kay saath namaaz ada karain.
ALLAH SWT humain deen ko samajhnay aur uss per sahi amal karnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN.
Iss khaksaar ko apni duwayoon main yaad rakhyeh ga
FI Amaan ALLAHsigpic
Comment
Comment