Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shab-e-Qadar ke wazaif

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Shab-e-Qadar ke wazaif


    Pehli Shab-e-Qadaar

    Hazoor Anwar Sarkaar-e-D Alam (S.A.A.W.W.) irshaad farmate hain k Meri Umat main se Jo mard ya Aurat yeh khwahish kare k meri qabar noor ki roshni se munawar ho to use chaiye k Maah-e-Ramdaan ki shab qadron mein kasraat k sath ibadat Ilahi baja laye
    Tak un mubarak aur mutbarik Raton ki ibaadat se Allah Paak is k nama imaal se buraiyan mita ker naikoiyon ka sawab ata farmaye

    Shab -e- Qadar ki ibaadat 70 haazar shab ki ibadaton se afzal hai

    Nafal Nimaaz 21 SHAB

    21 Shab ko 4 Rakaat nimaaz 2 Saalm se parhein her rakat mein baad Surah Fateha(Alhamd shareef) k surah Qadar 1,1 Baar surah Akhlaas 1,1 Martba parhein

    Baad salam k 70 Martba Darood Paak Parhein

    Insha Allah is nimaaz k parhne walay k haq main farishte duaye magfirat karein gay

    21 Shab ko 2 Rakaat Nimaaz parhein her rakaat main baad Surah fateha k sura Qadae 1,1 baar Surah Akhlaas 3,3 baar parhni hai

    Baad Salam k nimaaz khatam kar k 70 martba Astagfaar parhein
    Insha Allah tala is nimaaz aur shab-e- Qadar ki barkat se Allah paak us ki bakhshish farmaye ga


    WAZEEFA

    Mah ramdaan-ul-Mubarak ki 21 Shab ko 21 Martba Surah qadar
    Parhna bhi Bohat afzaal hai


    ==============================================
    Dusri Shab-e-Qadar
    Mah Mubarak Ki 23 Shab ko 4 Rakaat Nimaaz Do Salam Se Parhein,Her Rakaat Mein Baad Surah Fateha k Surah Qadar Aik , Aik Baar Surah Akhlas 3,3 Martba parhein

    Insha Allah Tala Waste magfirat k yeh Nimaz bohat afzal hai

    23 Shab Qadar Ko 8 rakaat nimaz 4 salam se parhni hai.
    Her rakaat mein baad surah fateha l baad Surah Qadaar aik aik dafa surah akhlaas aik aik bar Parhein

    Aur Baad Salaam k 70 Martba kalima tamjeed parhein Aur Allah Tala se apnay gunahon ki bakhsheesh talab karein
    Allah Tala us k gunnah muwaf farma ker magfirat farmaye ga

    23 Shab-e- Ko Surah Yaseen Aik martba Surah Rahman Aik Dafa parhni afzal hai
    ==============================================
    Mah -e- ramdaan ki 25 Tareekh ki Shab-e-Qadaar k


    o 4 Rakaat nimaz do salam se parhein
    Baad surah Fateha k Surah qadar aik, aik baar surah akhlas panch(5) panch martba her rakaat mein parhni hai baad salam k kalima taiyba aik so dafa parhna hai
    Dargah Rab-ul-Izat se insha Allah Tla beshumar ibadaat ka sawab ata ho ga

    25 Shab 4 rakaat nimaz 2 salam se parhein her raakat mein surah fateha k surah qadar 3,3 baar surah akhlas 3,3 baar parhein baad salam k satar(70) dafa astagfaar parhein

    Yeh nimaaz bakhshesh k liye bohat afzal hai

    25 Shab qada qadar ko 2 rakaat nimaz parhni hai,her rakaat main surahfateha k surah qadar aik aik martba surah akhlas 15,15 martba parhein baad salam k 70 dafa kalima shahadat parhna hai

    Yej nimaaz wast nijat azab-e-qabar bohat afzal hai

    Wazaif

    Mah Ramdan 25 Shab ko 7 martba surah dkhan parhein Allah Paak is surah parhnay k bais us shakhs ko azab -e- qabar se makhfooz rakhe ga

    Aizan 25 Shab ko 7 Martba Surah Fatah(Success) parhna waste her muraad bohat afzal hai

    ==============================================

    chuthi Shab e- Qadar

    27 Shab -e- qadar

    12 Rakaat nimaaz 3 salam se parhein her rakat mein baad surah fatha l surah qadar aik,aik martba surah akhla 15,15 martba parhein baad salam k 70 martba astagfar parhein

    Allah Tala is nimaaz parhnay parhnay walay ko nabiyon ki ibadat ka sawab ata farmaye ga Insha Allah ul azeem

    27ween shab ko 2 rakaat nimaz parhein her rakaat main surah fateha k baad surah qadaar teen teen dafa Surah Akhlas 5,5 martba parhein
    baad salam k surah akhlas 27 martba parh ker gunahon ki magfirat talab karein Allah tala us k tumam peechlay gunnah muwaf farmaye ga Insha Allah

    27 Shab ko 4 rakaat nimaaz 2 salam se parhni hai her rakaat main baad surah fateha k surah tukasir aik aik baar surah akhlaas 3,3 martba parhein

    Is nimaaz ko parhnay walay per Allah Paak maut ki sakhti aasan akre ga
    Insha Allah is per se Azaab-e-qabr bhi muwaf ho jaye ga

    Aizan 27 Shab ko 2 rakaat nima parhein her rakat mein baad surah fateha k surah akhlas 7,7 martba parhein baad Salam k 70 Safa yeh tasbeeh muazim parhni hai

    AStagfir-ul-Allah-hal-azim-al-alzi La Ilaha Ila HuWal Haiyul Qayumu Wa Aa Tubo Ilaih (yahan per toyen ka ra hai so waqaf karna hai se galay se sirf he ki aawaz nikle gi

    Insha Allah tala is nimaaz ko parhnay walay apnay masalay se na uthein gay k Allah Paak us ko aur us k waliden k gunnah muwaf farmaye ga Allah Tala farishton ko hukam de ga k is k liye janat aarasta karo aur Farmaya k Woh jab tak tumam bahishti naimaten apni anakh se na dekh le ga us waqt tak maut na aasakay gi waste magfirat yeh nimaaz bohat afzal hai

    Aizan27 Shab qadar ko 2 raqaat nimaz parhein her rakaat mein surah fateha k surah Nashrah aik aik baar surah akhlas 3,3 martba parhein baad salam k surah qadar parhein

    Insha Allah ul azeem waste sawab be shumar ibadaat k yeh nimaz afzal hai

    27 shab ko 4 rakaat nimaz parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar 3,3 dafa,surah akhlas 50 martba parhein baad Salam sajda main sar rakh ker aik martba yeh kalimaat parhein

    Subhan Allahe Walhamdulilahe wa La ilaha ilalAllahu Wallah huAkbar

    Us baad jo hajat dunyawi o deenwi talab kare insha Allah Tala dargah bari tala main qbaool ho gi

    Wazaif

    27 Shab qadar ko 7ween HAMEEM parhein yeh 7Ween HAMEEM azaab-e-qabar se nijaat aur magfirat gunah k liye bohat afzal hain

    Aizan 27 shab ko Surah Mulk 7 martba parhni wasta magfirat gunnah bohat afzal hai

    ==============================================
    5ween Shab-e-Qadar
    29 Shab-e-Qadar ko

    4 Rakaat nimaz do salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah AKhlas teen teen martba parhein baad salam k surah nashrah satar(70) martba parhein

    Yeh nimaz wasta kamil aimaan k bohat afzal hai

    Insha Allah Tubarak o tala is nimaz k parhnayw laayt ko dunya se mukamal aimaan ks ath uthaye ga

    Aizan Mah-e-Ramdan ki 29 Shab ko 4 raakat nimaz 2 salam se parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar aik aik baar surah akhlas 5,5 martba parhein
    Baad salam k darood shareef aik soo martba parhein

    Insha Allah is nimaaz k parhnay walay ko darbar-e-Khudawandi se bakhsheesh magfirat ata ki jaye gi

    Wazaif

    Mah--e-Ramdan ul mubarak ki 29 shab ko 7 martba surah Waqiya parhein insha Allah taraqi rizq k liye bohat afzal hai

    Mah-e-Ramdan ki kis shab main baad nimaz -e-isha 7 martba surah Qadar parhni bohat afzal hai
    insha Allah tala is k parhnay se her museebt se nijat hasil ho gi
    ==============================================

    Jumma ul Widaa



    Ramdan ul Mubarak k akhri Jumma ko bada nimaz zohar 2 rakaat nima zparhein pehli rakaat mein surah fateha k baad surah zalzalal aik baar surah akhlas dus martba dusri rakaat mein surah fateha k baad surah kaferoon teen martba parhein
    baad salam k dus martba surah akhlas darood shareef parhein Phir Do Rakaat nimaz parhein pehli rakaat mein baad surah fateha k surah tukasir aik baar surah akhlas 10 dafa dusri rakaat mein baad surah fateha k aiyat-ul-kursi teen martba surah akhlas 25 martba baad salam k dareood shareef 10 martba parhein
    Is nimaaz k beshumar fazail hain aur is nimaaz k parhny walay ko Allah paak qiyamat ta be uintha ibaadaat ka sawab ata farmayein gay insha Allah Tala

    Aaj is shidat se maangoo ke RAB ko manloo
    Aaj rahe na koi hasrat dil mein yun bayaan karoo
    Mein teri hamd o sana mein mahoo is qadar rahoo
    Khaber na ho mujhe naveed seher taq mangoo

  • #2
    Re: Shab-e-Qadar ke wazaif

    Jazaaki-llahu Khayran

    Comment


    • #3
      Re: Shab-e-Qadar ke wazaif

      Jazak ALLAH Khair:rose

      Comment


      • #4
        Re: Shab-e-Qadar ke wazaif

        Assalam w alaikum.............
        Masha Allah Appne bahut Achchi bat batai hai ,,,Magar kuch bhi likhne se pahle is baat ka tahkik kar len ki aap jo likh rahe hai wo Quraan o Hadise pak ke Roshni me sahi hai ya nahi................
        Mujhe ummeed hai ki aap hume is ka jawab zaroor denge.................deen sikhna or sikhlaana dono hi sawab ka kaam hai..................
        Alllah pak hum sabhi ko iman ata kare..................or islam ko samjhne ki tofique de
        Amin

        Comment

        Working...
        X