Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

    Asalam O Alikum WR WB
    Dear brother's and Sister's main is topic main roz ek choti si baat add karungi jo kay Humare pyare islam kay mutaliq hogi
    aur jis say humari ishla ho sakey bilkul choti si baat karungi or mein chahti hon kay aap sab please 2 min bhi nahi lagegein
    in baton ko zarur parhiyega.

    ALLAh hum sab se razi hojaein aur apna bana lein..

    ALLAH Tooba Karney Walo Se Mohabbat Karta HAi

    ALLAH (SWT) irshad farmate hain ALLAH tooba karne walo ko apna mehboob bana lete hain or un se mohabbat karte hain
    or karte rahegein jab tak wo tooba karte rahegein mein bhi mohabbat karta rahunga,Tooba ki yeh shart hai

    Gunha se alag hojana.

    Baz log bare bare wazife parhte hian lekin gunah nahi chorte ek burzg farmate hain wazifo se rehmat ka truck to agaya
    lekin gunah jo nahi chorta to gazab ka truck bhi samne hain to dono ek dusre ko side nahi dete or gunha mein rehna aur ziada din tak gunah mein rehna bhi achi baat nahi hai
    jane kab muat ajae to kis halat mein jaogay or muat bhi na ae to yeh bhi kia kam muat hai jo hum ALLAH ki nafarmani mein jee rahe hain.?

    ALLAH hum sab sab ko toba karne ki taufiq naseeb farmaein or hum se mohabbat farmaein


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

    Cancer kay Asbaab
    Cancer ka marz infection se hota hai zehrila pan khoon mein zehrila pan ajata hai zara hua ghost khaney se zehrila pan andar ajata hai
    ghost mein badbu bhi agai lekin baz dafa hotel mein andhesa hota hai kay wo chala dein lekin us mein infection ajata hai.
    to ek Dr farmate hian jo log GHEEBAT karte hain wo apne murda bhai ka ghost khate hain quran pak mein hain "kia tum mehboob rakhte ho apne murda bhai ka ghost khao"
    tou jo log GHEEBAT karte hain wo log infection wala ghost khate hian or yeh bilkul acha nahi sehat kay liye lihaza
    ehad karlein aj kay baad kisi ki GHEEBAT nahi karegein dusru ki achayin dekhegein aur burai sirf apni dekhegein.

    ALLAH humein amal karney ki taufeeq De


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

    Comment


    • #3
      Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

      jazakallah

      Comment


      • #4
        Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

        JAZAKALLAHU KHAIRA... buht khobsrat thread hai ...
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #5
          Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

          Badnazri Karnay Walo Kay Liye NABI (S.A.W) Ki Baduaa.
          Brother's and Sister's jo shakhs badnazri karta hai mere Nabi (S.A.W) nay farmaya ALLAH us khabees par Lanat bhej to kia mere Nabi (S.A.W) ki dua ALLAH nahi sunega. Khudara is se bacho yeh aisa amal hai jo pehle ankh ka noor chinta hai dil kharab hota hai or jo shakhs apne itne piyare Nabi (S.A.W) ki badua le wo kia kabhi kamiyab ho sakta hai

          Think about it ..


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment


          • #6
            Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

            Gunnah Ki 2 Daleel Or Alamat

            Mere Pyare Nabi (S.A.W) Nay Farmaya Jab Koi Insaan Gunah Karta hai to us ki 2 daleel hain agar wo horahi hain to wo samjh le kay mein gunah karaha hon

            1:- Dil Mein Khatak Paida Hojae

            Kisi gunah se gunhagar khud mutmain nahi hota isliye gunah k baad wo sharminda hota hai koi admi naik kam kar kay sharminda nahi hota
            sharmindigi ka hona 1 alamat hai

            2:- Aur tum ko yeh baat Dil mein arahi ho koi dekh na lein koi jan na jae.

            Ab Dekhne se kyu bach raha hai kay koi dekh na le dekhliya to kia sochega
            to sarwar e do alam (S.A.W) nay 2 daleel batadi hain INSHALLAH app jo kam karegein in do baton ko dil mein zarur paegein
            to apne liye yeh forumla rakh lein or ek yeh baat ALLAH humein Dekh rahe hain.


            میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


            میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

            Comment


            • #7
              Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

              Miswak Ki Sunnat Kay 2 Faiday..


              1:- Agar Wazu Karte hoye miswak karliya jaye to namaz ka sawab 70 gunah (times) ziada hojata hai



              2:- Jab muat aegi to Zaban say kalma jari hojaega or us ki muat khair or iman pay hogi



              Humaray Nabi (S.A.W) Bar bar miswak kartay thay kyun kay is say
              MUN(Mouth) ki safai hoti haii ab to ramzan shoro hone wala hai to
              humein Koshish karni chayye jitna ho sakay is sunat ko ada karein


              ALLAH humein amal karnay ki taufeeq ata farmaein..


              میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


              میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

              Comment


              • #8
                Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

                JAZAKALLAH U KHAIRA :rose
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #9
                  Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

                  jazakAllah..

                  Comment


                  • #10
                    Re: Choti Choti Batein; ALLAH TALAAH oor Nabi-e-Kareem S.A.W.W. Ki Batein

                    :jazak:
                    very nice sharing :rose

                    Comment

                    Working...
                    X