Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mrnay Se Pehlay Mrna

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mrnay Se Pehlay Mrna

    ASSLAMOALIKUM AABID BHAI

    QURAN E KAREEM ME EK AYAT HAI .....

    tarjuma..:

    ''MARNAY SE PEHLAY MAR JAO''

    ISSkI tafseel k sath WAZAHAT KR DIjeYE
    shukria
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

    pehli cheeez : mout exist nahi karti rooh ke liye, mout jism key liye hai, isi liye ham kehte hian ke falaan banda intekal (muntekal) kar geya,yaani is jahan se doosre jahan muntekal ho geya.farishton ne adam ko sajda kiya to wo sajda us butt ko nahi tha, balkay us ilam ko tha jo Allah nay adam ko sikhaya.
    yahan aik nazuk si baat hai ghor say samajhnay wali... rooh us jahan say ayi jahan us ne mushahida haq kiya roz-awal ko.
    Alast o bayrabay kum,,,,,,,,,,,,,,,, sab roohon nay jawab diya "kaalu bala"
    to ab is jahan main wo rooh us mushahiday ko bhool kesay gei?
    wo ilm jo adam nay Rab say seekha aur masjood howa ,wo ilm adam ki olad bhool kesay gei?
    safar rooh ka hai jism ka nahi.......... to mar jao is say pehlay key tumharay jism ko mout awe. jis ko fana fillAllah bhi kehtay hain,
    apni har khaahish jab Allah key hawaly ker di jay to wo mout hoti hai darwesh ki.
    allah kabi us dil main nahi ata jahan butt hon, wo ahad hai aur ahad rehna pasand kerta hai. ham nay apnay dilon main kitnay butt bana rakhay hain.lalach , doulat , shohrat. mustakbil ka khof, aur pata nahi kea kea butt bana daalay dil main aur umeed bi kerte hain kay allah hamare dil main aye?
    jab insan ki apni koyi khaahish na rahe to wo us ki mot hoti hai, wo chalta hai to Rab ki raza say, bolta hai to Rab ki raza say.
    main is mozu per 50 safhat likh sakta hon magar umeed hai kay aik namukamal koshish shayad aap ki rehnumayi ker day........Wallah aalim
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

      jis sorut say ye ayut quote ki hay us ki do teen ayat dekhain ye jis waqay ka ziker a--- ye mukam-mal baat nahi bulkay kis waqay ki bech ki baat a
      Last edited by Jamil Akhter; 6 June 2009, 21:45.
      ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
      سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

      Comment

      • #4
        Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

        Originally posted by saraah View Post
        ASSLAMOALIKUM AABID BHAI

        QURAN E KAREEM ME EK AYAT HAI .....

        tarjuma..:

        ''MARNAY SE PEHLAY MAR JAO''

        ISSkI tafseel k sath WAZAHAT KR DIjeYE
        shukria
        ayaat ka number aur surah batlaiyee phir dekhtay hain . . .
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment

        • #5
          Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

          Assalaam o alaikum
          waisay to aap nay yai masla abid bhae say daryaaft farmaya hay aur unhi ko jawab daina b chahiyai laikin ummeed hay k agar kuch keyboard piTaee iss zimn maiN meiN b kar looN to aap bura nahi kahaiN gi....
          faqr (faqeeri,darveshi) ki ibtidaee shart fana hay, iss say muraad mukammal tabdeeli, pichlay gunahhoN say tauba karna, bay lagaam haiwani khwahishat ko paaband kar lainay,ahkaam e ilaahi par kaarband honay aur ALLAH k zikr aur fikr maiN mashghool rehnay say yai tabdeel waqe hoti hay.. yaani nafs ki pehli haalat par maut aa jati hay. j

          doosra matlab yai hay k banda jeetay ji apnni hayaat baad ul maut ka maza lay laita hay aur uss ko maut ka khauf nahi rehta aur uss k aamaal aglay jahan k taqazoN k mutabiq dhal jatay haiN. to wo rehta iss jahan maiN hay laikin kaam uss jahan ka karta hay...

          teesra matlab yai hay k ishq maiN aisay darja e kamal tak jaa pohanchna jahaN uss ko apni jaan ki parwah b nahi hoti aur wo apni haalat iss tarah badal laita hay k goya iss maiN jo pehla aadmi thaa wo nazar hi nahi aataa jaisay wo marr gya ho.. aisi 180 degree ki transformation jis maiN kuch pichla nazar hi na aayai.

          aisay maamlaat maiN hazrat sultan ul faqr SULTAN bahu ki taleemat bohat zabardast haiN aur unn ki shaaeri (abiyaat e bahu) maiN bohat jagah iss ka zikr kia hay unhoN nay..
          jaisay
          "" jab lag khudi karaiN khud nafsoN tab lag rabb na paawaiN hoo ""
          "" shart fana nooN jaanaiN naaheeN naam faqeer rakhaawaiN hoo ""
          "" moa'y baajh na sohndi alfi aiwaiN gall wich paawaiN hoo ""
          "" naam faqeer tinhaaN da bahu jheRay jiyondyaaN e mar jawaiN hoo ""

          aik aur jagah farmatay haiN

          "" jo damm ghaafil so damm kafir asaaN murshad ayh paRhaya hoo ""
          "" sunya sukhan gayyaaN khul akhyaaN chat maula wall laayaa hoo ""
          "" keeti jaan hawalay rabb day aasaaN aisa ishq kamaya hoo ""
          "" maran tooN aggay marr gaey bahu taaN matlab nu paya hoo ""

          (translation on demand,try to understand for yourself first)

          iss tarah marnay k liay banda khud b koshish kar sakta hay laikin uss k peer, shaikh ya bazurgoN ki aik nazar hi kaafi hoti hay ya chand dinoN ki koshish b bandoN ko iss manzil tak lay jaati hay aur dunia maiN wo aisay hi hota hay jaisay dunia maiN aik murda dunia say bay taaluq bay nyaaz.
          umeed hay k aap ko jawab mil gya ho ga..
          thanks and wassalaam
          Raza
          Last edited by baykamal; 19 June 2009, 06:43.

          kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

          Comment

          • #6
            Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

            Originally posted by baykamal View Post

            kahan ki bat kahan jor raho ho app-- jubtuk ayat ki mukamal rooh na mily app kasay itni tafseel day rhay hain-- quran koi zarub-ul-misal ya aqwal ki kitab nhi is may mufisul jamia waqyat hain tu unhy batana chyii sorut aur ayat no jubhi aabi bhai unhy jawab dain aur wasay bhi quran aisa koi hukum na day jis ki fitrut nafi karti ho
            ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
            سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

            Comment

            • #7
              Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

              Assalaam o alaikum

              mohtaram o mukarram janab e fazile jaleel o aalim e nabeel khush guftaar o nafees kirdaar.. janaab hamm haqeeroN say aap jaisay saahib e fazl o kamaal e bay baha ka kya joR ham nay aap ka aks e jameel daikh lia hay... maiN ma'zrat chahta hooN k hamari ataah bay ilmi kotah nazri aur musallam baykamali say aap darakhshandaa khyalaat maiN bhonchaal aayaa. maiN iss silsilay maiN aap say yahaaN b khwastgaar hooN k mujhay maaf farmayaa jaayai aur agar nahi to mujhay apna pata day dijiay ga maiN haazir ho kar aap k pair pakar kar aur ro ro kar apni iss muazzam ghalati pay maafi chahooN ga. mujhay ummeed b hay k aap apnay ufve jameel say kaam laitay hauy iss naa kaaraa aur bay tameez ko maaf farmayaiN gae...
              akhir maiN aap ko Assalaam o alaikum!
              faqat aik naakaaraa
              khaak e gadayaan e aulia
              Syed Muhammad Raza Qadri

              kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

              Comment

              • #8
                Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                Saraah aap ayat number batein gee plz ...! ta k sahi baat ko talashaa ja-ay !!

                aur sabhi ki tas-hee ho jaa-ay ?

                Comment

                • #9
                  Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                  when you at the stage of submission , mean apni tamam khaahishaat Allah kay hawalay aur aap ki apni koyi khaahish na rahay tab phir aap kahan hoye?aap hayi hainto allah ki tajalli "hayi" ki wajah say.Aap kaem hain to Allah ki tajalli "qayyum" ki wajah say.jab yeh dono tajalliyan hata li jaati hain to to aap kahan gey?agar in 2 tajjalion ki wajah say aap zinda (hayi) aur baaki (qayyum) hain to baaki sab tajjaliyaan bhi aap ki muntezar hain.aur jab banda us mukam par ho jahan us ki apni koyi khaahish apna koyi amal na rahay to wo kahan howa?
                  main dawat fikar deta hun aur yehi mera andaz hai.agar baat khol di to aap sochein ge nahi,agar aik bi banday ko sochnay par majboor kar diya to yehi meri kamyaabi hai.
                  simple....... jab aap apnay aap ko Allah ki zaat kay hawalay ker detay hain aur aap ki apni koyi khaahish na rahay,,aur yeh mukam walion ka hai. to aap ki apni zaat baaki naih rehti,,,,, is ko tassawaf ki zaban main "fana fillah" aur " baqa billah" kehtay hain. fana howa Allah kay wastay aur ab baaki hai to Allah ki zaat say mansoob hai.
                  main is forum per aik sawal uthaon ga jis ka jawab mujay baray baray ulmaa nay nahi diya magar aik bridge kay neechay bethay howe mochi nay diya.aur mujay mutmain kar diya. so,,,,,,,,,,, BBL
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                    Originally posted by baykamal View Post
                    Assalaam o alaikum

                    mohtaram o mukarram janab e fazile jaleel o aalim e nabeel khush guftaar o nafees kirdaar.. janaab hamm haqeeroN say aap jaisay saahib e fazl o kamaal e bay baha ka kya joR ham nay aap ka aks e jameel daikh lia hay... maiN ma'zrat chahta hooN k hamari ataah bay ilmi kotah nazri aur musallam baykamali say aap darakhshandaa khyalaat maiN bhonchaal aayaa. maiN iss silsilay maiN aap say yahaaN b khwastgaar hooN k mujhay maaf farmayaa jaayai aur agar nahi to mujhay apna pata day dijiay ga maiN haazir ho kar aap k pair pakar kar aur ro ro kar apni iss muazzam ghalati pay maafi chahooN ga. mujhay ummeed b hay k aap apnay ufve jameel say kaam laitay hauy iss naa kaaraa aur bay tameez ko maaf farmayaiN gae...
                    akhir maiN aap ko Assalaam o alaikum!
                    faqat aik naakaaraa
                    khaak e gadayaan e aulia
                    Syed Muhammad Raza Qadri
                    masAllah kafi fasih-o-baleeg urdu ati hay janab ko magar mazrut kasi app nay mukamal jawab dia lakin masla ye hay ---quran wohi kah raha hay jo choty say jumlay may hay ^--> magar kisay kah raha hay humy nhi maloom abhi !!---kya umat-e-muslma ko? ya kisi kom par azab ko ?--ya phir kufar? ko ya phir dusman-e-islam ko?....i am sorry agar apkay nazuk say dil ko thees phunchi ho:tasali:...Allah nighaban
                    ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                    سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                      did any one try to seek out this ayah from quran? If not then why you guys have messed up?Let me try to solve this problem according to my lil knowledge.
                      Quran says "45, Seek help in patience and prayer; and truly it is hard except for the humble-minded,46, Who know that they will have to meet their Lord (Rabb), and that to Him they are returning.[Quran: Al Baqara, Chapter 2]
                      From the above reference, in verse 45 we learn that patience can only be achieved by humbling ourselves. And the verse that follows clearly states that: Who know that they will have to meet their Rabb and to Him they are returning. This is what we are trying to achieve with this book, we know we have to meet our Rabb and we have to return to Him.
                      {Sahih Bukhari} "Abu Bakr came from his house at As-Sunh on a horse. He dismounted and entered the masjid, but did not speak to the people till he entered at Aisha's and went straight to Allah's Rasool who was covered with Hibra cloth. He then uncovered the Prophet's face and bowed over him and kissed him and wept, saying, "Let my father and mother be sacrificed for you. By Allah, Allah will never cause you to die twice. As for the death which was written for you, has come upon you"
                      Why did Abu Bakr as Siddiq say those words? What he meant was that no person can experience death twice. What he indicated was that Muhammad had already given up worldly desires while he was walking on this earth in a physical form. What he indicated was that Muhammad had already experienced death before death came.
                      To clarify the two deaths, that is die before dying, is when we leave alone the worldly desires and we are not attracted to them while we live amongst the people of earth. The second death is where we depart from the earthly community and live with the community of Burzakh, the spirit world.
                      How do we achieve the death before death? By practicing and achieving patience. When we have patience. Then we are not bothered by hunger. Then we are not bothered by insults. Then we are not bothered by possessions. Then we are effectively dead to this world of illusions and we are alive in Allah. That is when Shaytan can longer influence us.
                      Tho there is one thing very important I want to share i.e "Do you love God?" "Yes,"
                      "Do you hate the devil?" "No, my love of God gives me no time to hate the devil."
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                        اسلام علیکم ڈئیر سسڑ کافی سرچ کیا انٹرنیٹ پر مجھے اس مفھوم کی کوئی آیت نہیں ملی ۔ ۔۔ ۔ البتہ اسی مفھوم سے ملتی جلتی ایک حدیث پاک ملی ہے جو کہ اہل تشیع کی ایک عربی ویب سائٹ پر بمع تشریح کے موجود ہے ۔ میں آپکی خدمت یہاں اس حدیث کا عربی متن اور تشریح پیش کردیتا ہوں اور ساتھ ٹوٹا پھوٹا ترجمہ جو مجھ سے ہوسکا وہ بھی عرض کیئے دیتا ہوں شاید کہ آپ کو آپ سوال کا جواب مل جائے ۔ ۔ ۔ ۔
                        موتوا قبل أن تموتوا
                        ماهو مفهومكم لهذا الحديث ؟
                        ترجمہ :- موت سے پہلے مر جاؤ اس حدیث کا کیا مفھوم ہے ۔ ۔ ۔

                        الجواب :- ۔ ۔۔ اللهم صل على محمد وال محمد
                        في العبارة الاولى من الحديث الشريف (موتوا ) يكون اللفظ فيها لفظ مجازي هو فناء الانسان عن المغريات الدنيويه التي تبعده عن الله سبحانة وتعالي وعدم تحريك ساكنا امام مثل تلك المغريات .

                        اما العبارة الثانية ( قبل ان تموتوا ) فهنا لفظا حقيقي اي الموت بالمعنى الحقيقي هو فناء الانسان عن هذه الدنيا والانتقال الى عالم اخر .
                        ولجمع الكلام نقول وحسب فهمي القاصر . على الانسان ان يبتعد عن المغريات الدنيويه ولايحرك ساكنا امامها بالموت المجازي لانه ميت لامحال بالموت الحقيقي ۔ ۔
                        ترجمہ الجواب :- اے اللہ درود بھیج محمد صلی اللہ علیہ وسلم اور آل محمد پر ۔ ۔
                        پہلی عبارت میں جو لفظ موتوا آیا ہے وہ کنایۃ و استعارۃ آیا ہے یعنی اپنے مجازی معنوں میں ہے اور اس سے مراد انسان کا دنیاوی غرض و غایات سے اس طرح فنا حاصل کرنا ہے کہ جو اسے اللہ سبحان وتعالٰی سے ایک بالشت بھر بھی دور نہ کرسکے ۔ ۔ ۔
                        جبکہ دوسری عبارت میں لفظ تموتوا اپنے حقیقی معنٰوں میں استعمال ہوا ہے کہ جس کا معنٰی انسان کا اس دنیا فانی سے حقیقی فنا و وصال اور انتقال الٰی آخرت ہے ۔ ۔
                        اور حاصل کلام میرے ناقص فھم کے مطابق یہ ہے کہ انسان کا دنیاوی غایات سے فنا ہونا (یعنی مجازی موت اختیار کرنا )اسے ایک ایسی میت بنا دیتا ہے کہ جس پر حقیقی موت محال ہے ۔ ۔
                        ۔
                        اور میں (یعنی آبی ٹوکول) کہتا ہوں کہ ایک عارف کی نظر میں موت و حیات دونوں ایک ہی سکے کے دو رخ ہیں جس میں اس دنیا مین بسنے والے ہر انسان کو اختیار ہے کہ وہ ان دونوں میں سے کسی ایک کو اختیار کرے یعنی چاہے تو دنیاوی زندگی سے فنا یعنی موت اختیار کرے جو کہ حقیقت میں حیات ہے کہ اس میں اس کے ظاہر کی موت اور باطن کی حیات ہے ۔ اور چاہے تو اس دنیا کی زندگی سے وفا اختیار کرئے جو اس کے ظاہر کی حیات اور باطن کی موت ہے اور حقیقت میں بھی موت ہے ۔
                        باقی واللہ والرسولہ اعلم
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          اسلام علیکم ڈئیر سسڑ کافی سرچ کیا انٹرنیٹ پر مجھے اس مفھوم کی کوئی آیت نہیں ملی ۔ ۔۔ ۔ البتہ اسی مفھوم سے ملتی جلتی ایک حدیث پاک ملی ہے جو کہ اہل تشیع کی ایک عربی ویب سائٹ پر بمع تشریح کے موجود ہے ۔ میں آپکی خدمت یہاں اس حدیث کا عربی متن اور تشریح پیش کردیتا ہوں اور ساتھ ٹوٹا پھوٹا ترجمہ جو مجھ سے ہوسکا وہ بھی عرض کیئے دیتا ہوں شاید کہ آپ کو آپ سوال کا جواب مل جائے ۔ ۔ ۔ ۔

                          موتوا قبل أن تموتوا
                          ماهو مفهومكم لهذا الحديث ؟
                          ترجمہ :- موت سے پہلے مر جاؤ اس حدیث کا کیا مفھوم ہے ۔ ۔ ۔
                          الجواب :- ۔ ۔۔ اللهم صل على محمد وال محمد
                          في العبارة الاولى من الحديث الشريف (موتوا ) يكون اللفظ فيها لفظ مجازي هو فناء الانسان عن المغريات الدنيويه التي تبعده عن الله سبحانة وتعالي وعدم تحريك ساكنا امام مثل تلك المغريات .
                          اما العبارة الثانية ( قبل ان تموتوا ) فهنا لفظا حقيقي اي الموت بالمعنى الحقيقي هو فناء الانسان عن هذه الدنيا والانتقال الى عالم اخر .
                          ولجمع الكلام نقول وحسب فهمي القاصر . على الانسان ان يبتعد عن المغريات الدنيويه ولايحرك ساكنا امامها بالموت المجازي لانه ميت لامحال بالموت الحقيقي ۔ ۔
                          ترجمہ الجواب :- اے اللہ درود بھیج محمد صلی اللہ علیہ وسلم اور آل محمد پر ۔ ۔
                          پہلی عبارت میں جو لفظ موتوا آیا ہے وہ کنایۃ و استعارۃ آیا ہے یعنی اپنے مجازی معنوں میں ہے اور اس سے مراد انسان کا دنیاوی غرض و غایات سے اس طرح فنا حاصل کرنا ہے کہ جو اسے اللہ سبحان وتعالٰی سے ایک بالشت بھر بھی دور نہ کرسکے ۔ ۔ ۔
                          جبکہ دوسری عبارت میں لفظ تموتوا اپنے حقیقی معنٰوں میں استعمال ہوا ہے کہ جس کا معنٰی انسان کا اس دنیا فانی سے حقیقی فنا و وصال اور انتقال الٰی آخرت ہے ۔ ۔
                          اور حاصل کلام میرے ناقص فھم کے مطابق یہ ہے کہ انسان کا دنیاوی غایات سے فنا ہونا (یعنی مجازی موت اختیار کرنا )اسے ایک ایسی میت بنا دیتا ہے کہ جس پر حقیقی موت محال ہے ۔ ۔ ۔
                          اور میں (یعنی آبی ٹوکول) کہتا ہوں کہ ایک عارف کی نظر میں موت و حیات دونوں ایک ہی سکے کے دو رخ ہیں جس میں اس دنیا مین بسنے والے ہر انسان کو اختیار ہے کہ وہ ان دونوں میں سے کسی ایک کو اختیار کرے یعنی چاہے تو دنیاوی زندگی سے فنا یعنی موت اختیار کرے جو کہ حقیقت میں حیات ہے کہ اس میں اس کے ظاہر کی موت اور باطن کی حیات ہے ۔ اور چاہے تو اس دنیا کی زندگی سے وفا اختیار کرئے جو اس کے ظاہر کی حیات اور باطن کی موت ہے اور حقیقت میں بھی موت ہے ۔

                          باقی واللہ والرسولہ اعلم

                          waalikum asslam
                          bohat shukria aabi bhai
                          yehi hai jawaab.....

                          :jazak::salam:

                          @ other respected members.....
                          aap sab ki bohat mashkoor hoon jo aap ne jawaabaat diye ....
                          khush rahiye :jazak:
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                            chliii thanks app aabbi ji ki kawish say mutmin hogyi ..magar koi bhi sawal mukamal pochna chyii takay jawab denay walay ko asani ho..ab ye koi ayat nhi hadess thi wo bhi kis kay zaray phunchi ye bhi nahi maloom..ye tu aabii ji ki effort hay jo dhoond lay sitara bikhray asma say
                            ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                            سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mrnay Se Pehlay Mrna

                              ji u r right muj se sawaal krnay me galti hui... aayenda ehtayaat bartoon gi... shukria
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment

                              Working...
                              X