Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aao Imaan O Yaqeen Bnaien !!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aao Imaan O Yaqeen Bnaien !!

    B i s m i l l a a h i r R a h m a a n i r R a h e e m



    Allah Rabbulizzat ne ham sab ki aur saray dunia k insanou ki dunia aur akhrat ki izzat aur kamyabi ko apnay mubarak deen mein chupaya hua hai . Pura deen dunia aur akhrat mein kamyabi ka zeriya hai.Baghair dunyawi cheezoun k asbaab k kuch bhi na hou sirf jism hou aur uss jissm per wo kuch zinda hou jisko Allah ne farmaya aur hazour S.A.W ne ker k dikhaya tou yea insan dunia aur akhrat mein pura pura kamyab hai.Aur sab kuch hou sari dunia hou maal o zarr bhi hou aur wo na hou Allah ne batlaya aur Muhammad S.A.W ne ker k dikhlaya to yea insan dunia mein bhi nakaam hai aur mowatt k baad bhi hamsiha hamisha k liye nakaam hai.

    Kamyaabi kise kehtay hain jou jahnum se bach gaya aur jannat mein chala gaya issay kamyabi kehtay hain wo chahe dunia mein faqeer tha ya badshah tha (mard hou ya aurat).
    Aur nakaam koun hai jisk baray mein Allah rabbulizzat quran karim mein farmate hein " Aap inhein batlaiyea nakaam wo hein jo kal hasshar k meidaan mein apnay sab kuch samiat ahel o ayaal(family,relatives,frnds,belovers) samait nakaam ho ker jahanum ka shikar ho jain ge yahi asal nakaami hai aur yahi khuli hui nakaami hai"

    Aur Allah rabbulizzat ki bargaha mein nakaam ussay kehte hein jou jahnum mein chala jai aur kamyaab ussay kehtay hein jou jannat mein chala jai.

    Ab iss mein kabhi nakaam ko bhi maal mile ga kabhi nakaam ko faqqar ayea ga aur kabhi kamyaab insan ko bhi maal mile ga aur kabhi kamyaab insan bhi faqeer hoga.Duniya k halaat tou adlte badlte rehtay hein. Quran paak mein Allah rabbulizzat frmtaye hein" Hum yea din dunia k issi terhain adalte badlte rehtey hein" . Kabhi koi agay hou jata hai kabhi koi pechay hou jata hai to mere bhaion dosto aur behnou dunia ka ana yea kisi ki izzat aur kamyabi ka mayyaar nahin hai aur iska chale jana insan ki nakaami aur zillat ka mayyar nahin.Allah ka raazi hou jana aur jannat ka mil jana izzat aur kamyabi hai aur jahnum mein chalay jana aur Allah ka naraz hou jana zillat aur nakami hai.

    Mere bhaio dostou behnou Allah rabbul izzat ne yea baat puri dunia k insanou ko nabiyoun (A.S) k zeriyea sumjhai hai. Sari kamyabiyoun tak ponchnay ka zeriya Allah rabbulizzat ka deen hai aur yea deen mukammil hai kaamil deen zeriya e nijaat hai Allah rabbulizzat Quran kareem mein farmatay hain "Ab islam se hatt ker jou aye ga t o halaak ho jay ga"( nakaam barbad).
    Hasshar k din namaz aye gy aur Allah se kahye gy yaa Allah main namaz houn! Allah paak farmian ge tu bhalai per hai!! Rozza ayea ga aur kahye ga Aye Allah main rozza hon Allah rabbukizat frmain ge tu bhalai per hai !! Zakwat aye gy aye Allah main zakwat houn Allah rabbulizzat frmain ge tu bhi bhalai per hai.Issi terhain deen k amaal bari bari ker k aain ge.

    Iss dunia mein cheezoun ki shklain hain amaal ki shkal koi nai.Jese rozay ki koi shkal nai hmm namaz ki hajj ki zakwat ki shkal koi nai per mowat k baad hashar k meidaan mein shakloun ki shaklein mitt jain gy aur jinn ki koi shkal nai unhein wajoud mile ga.saray amaal shaklon mein ayein ge aur phir aakhir mein islaam aye ga wo bhi aik shakl mein aye ga ussay surrat dy jay gy aur kahye ga aye Allah tera naam slaam mera naam islaam hai . Tu salaam main islaam houn . Allah paak farmaain ge beshakk tu islaam main slaam aur aaj tery buniyad pe nijaat dunga aur tery buniyad pe halaak(nakaam o barbad forever) kerounga.

    To iss terhain saabit yea hua k islaam ki buniyad per yea deen mukkamil hai kaamil hai apnay assbat k itbaar se aur siffat k eitbar se jou iss deen ko apnay ander laye ga Allah ussay iss dunia mein izzat ata frmyae ga aur wo kamyab ho jaty ga aur mowat(death) baad ussk liye jannat k darwazay hamisha hamisha k liye khol de ga.Dunia mein faqeer ban ker chlay ya maaldaar ban ker chalay . Deen bahir ki taqat se ata nai bahir ki taqat se chalta nahin ander mein iman ki roshni paida ho jai aur ander mein Allah ki zaat o sifaat ka yaqeen paida ho jai yea aik aisi ander ki taqat hai jese gaari ander k petrol se chalti hai balkhe dhanddou(sticks) se nahin chalty iis terahain deen per bhi insan ander ki imani taqat aur hidyat k noor se chlta hai bahir ki quwat aur dhanddoun se insan nai chala kerta Ander mein imaan paida hota hai bahir mein imaani siffat paida hotin hein . LAA ILA HA ILLALLAH andar mein moujoud hou Muhammadur rassullah jissm mein majoud hou gher mein office mein shop mein hou bazar mein hou dunia mein baazahir jou shklain hain wo hazour S.A.W k terqoun per dhali hui hon aur ander dil Allah ki azzmat se bharra hua ho To iss insan ko dunia ki koi bhi taqqat deen se nai hatta sakty.

    Deen per chlane k liye pehle isstedad paida krna perty hai aur deen per chlne ki isstedad kya hai k ander mein iss jazbay ka paida ho jana k mian Allah k hukkam k muqable mein apni jaan qurban kerny pere to ker dunga maal qurban kerna pere to ker dunga apni izzat o abru ka soda kerna pere to ker dunga laikin main Allah k hukam ka soda nahin keroun ga Allah k hukam ko qurban nahin kerunga Allah k ammar( yani 24 hour mein rozana Allah muje se kya chahta hai) ko qurban nahin kerounga usk badlay mein chaye muje sari dunia chor deni pere sara kuch laga dena pere laikin main Allah k ammar se nahin hattoun ga. Maal chorna pere gher chorna pere apna ahel o ayal(family) chorni pere hakoummat chorni pere sab kuch chor skta hon Allah k hukkam ko nahin chor sakta Yea ander mein jazba paida hou aur main hazour S.A.W k har har teriqa per apna sab kuch laga skta hon laikin main hazour S.A.W k teriqe ko nahin chorr sakta phley yea baat andder mein paida hou pehley inn batoun ko ander mein paida kere yea wo baat hai jou pahlay usk ander puray deen ko kharra kere gy . Hazour S.A.W Sahaba(r.z) ka iss per zehain banatay thay.

    Insan maal mein chakar khata hai to aap S.A.W farmte hein jiska mehfoom hai " Mere Rabb ne nahin kaha k paisa iktha kero aur taajir ban jaao" Maal k pechay na chlna ab iss hadees mein yea aa gaya k Maal k pechay na chalna. Ab maal kya hai ? Loug kehtey hein mera paisa mery dolat mery jaidaad aur aap S.A.W farmya rehe hein jiska mahfoom hai k aye Allah k banday tera maal kon sa hai jou tu ne khaya aur khtam ker dia pehna aur purana ker dia ya sadqa ker k Allah ko beijh dia wo to tera hai baqi to tu chukidaar(securety guard) hai pata nai kiss k liye tu paisa jorr raha hai . To maal ka zehan aap nikaal dein maal k pechay na dornaa kyun k sirf maal kamana aqalmandi aur zehanat ya kamyabi ki baat nahin hai.

    Aap S.A.W ne farmya jiska mahfoom hai k jab admi marr jata hai tu usk 3 bhai hain uska paisa usk rishtdar aur uska amal ,uska paisa aur usk rishtedar to qabbar tak jatay hein per uska amal qabbar mein bhi usk sath jata hai " Arab mein dastour tha k jab koi admi marta tha to usk paise ko bhi charpaai pe daal ker usk sath le jatay thay uski qabbar tak aur rishtdar bhi sath hote thay phir paisa bhi le atay thay rishtdar bhi wapis aa jatay thay aur uss murda ko qabbar mein daal dete thay .Ab yanhan aap S.A.W zehain kya bana rehe k maal ko maqsood(zindgy ka maqsad) na banana aur maal ko maqsood bananay ki nishani kya hai k aadmi maal kamanay mein Allah k hukmoun ko torne lgta hai aur jou maal ko maqsoud nai banata wo hukam ko qabool krta hai maali nuqsan ko brdsht krta rehta hai laikin Allah k hukam ko unn per qurban nai hone deta aur agaay kya farmya k 3 feild aisi hein jin per admi imaan k soday kerta hai 1: Tijarat(business) 2: Hukumat(leadership) 3: zarraat(aggriculture) yea wo cheezain hain jiss per insan khud ko imaan samit baich deta hai ( Allah hifazat frmain hum sab ki ameen) to inn 3 feild ki aap S.A.W ne nafii farmai k innko zindgy ka maqsad mat banana yea to zarurat hein aur zarourat ko Allah k hukam k mutabiq pura kernay per uska sawwab bhi hai aur bhat sara ajjar bhi.

    To mere bhaio dostou aur behnou mera yea sab batanay ka maqsad apki islah nahi balkeh mery apni islah k liye apko chotta sa sabaq sunaya perh ker k ager insan inn cheezoun ko zindgy ka maqsad bana le ga aur asal maqsad jisk liye Allah Rabbulizzat ne humhain iss dunia mein behida iss deen ki ishaaat(tablekh ) aur Allah k hukam aur nabi S.A.W k terqoun ko zinda kerna iss maqsad ko bhul jay ga to phir yea dunia uski zindgy mein usk liye zillat ka sabbab ban jai gy na wo ynhan sakun se jiye ga(marna to sanb ko hi hai) na akhrat mein chain o qarrar paa skaye ga.. Aap sab se moafi chahta hon k ap ka qeemty waqat liya ager apne uss mein se mery iss mail ko parha hoga to Allah apko muje aur puri dunia k insanou ko hidayat e kamila ata frmain aur apnay hukmoun aur aap S.A.W k terqioun per chlnae wala banain Ameeen ya Rabb !!


    (Plz spread this to all of your friends and bros sis)

    Aap ki duaaon ka muntazir

    Naaib e Rassoul S.A.W !!
    :jazak:











    لا إله إلا لله والله اكبر Saaim Malik

  • #2
    Re: Aao Imaan O Yaqeen Bnaien !!

    :jazak:




    Comment

    Working...
    X