asalam-o-alaikum: main ap doston sey yeh pochna chahta hun k bajamaat namaz main imam k peechey hath bandhney k baad kia khaosh kharey rehna chahyeh,,,ya k dil main perhna chahyeh,,,jaisey k zohar ,aser ki namaz,,,mujhey kuch confussion ho gai hai,,,aik dost sey baat hui,,wo kehta hai,,k khamosh rehna chahyeh,,,or main ney yeh bhi kahin perha hai k jab imam sb unchi awaz main qirat na ker rahey hon,,ya teesri chothi rakt main ap ko ALHAMDU SHAREEF perhni chahyeh,barey meherbani rahnumai fermaiyeh,shukriya
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
bajamaat namaz ka tareeqa?????????
Collapse
X
-
Re: bajamaat namaz ka tareeqa?????????
ASIM, aap ko chaheeay k apnay maslak k ksi Aalim ya Muftee say iss ka jawab poochain. Islaam to aik he hai laikin bohot saray maslak hain, her maslak ka apna tareeka-e-kaar hai. Her maslak main kuch na kuch ikhtalaf hai, aap ko maloom hoga Sunni, Shia, Ahl-e-Hadees, Wahabi, Barelvee waghaira k baray main.
Wallah Ho AlamMohtaj-e-Dua !
Yasir :)
Comment
-
Re: bajamaat namaz ka tareeqa?????????
Originally posted by asimmughal View Postasalam-o-alaikum: main ap doston sey yeh pochna chahta hun k bajamaat namaz main imam k peechey hath bandhney k baad kia khaosh kharey rehna chahyeh,,,ya k dil main perhna chahyeh,,,jaisey k zohar ,aser ki namaz,,,mujhey kuch confussion ho gai hai,,,aik dost sey baat hui,,wo kehta hai,,k khamosh rehna chahyeh,,,or main ney yeh bhi kahin perha hai k jab imam sb unchi awaz main qirat na ker rahey hon,,ya teesri chothi rakt main ap ko ALHAMDU SHAREEF perhni chahyeh,barey meherbani rahnumai fermaiyeh,shukriya
maslak jo bhi ho shia , suni, wahabi, magar aik baat par sab ka itefak hai kay jahan 2 bande hon aur namaz ka wakt ho jay to jamat farz ho jati hai, muktadi imam ke sath us ke right side per hara hota hai,,,,,, baki rahi surah fateha ki baat to aik hadith hai ke qura parhna sunat hai aur suna farz, ab fesla aap par hia ke imam ki surah fateha sun ke farz ada karna hia yaa khud parh ke sunat ada karni hai............Wallah alimsigpic
Comment
-
Re: bajamaat namaz ka tareeqa?????????
Asalam o Alaikum,WarehmatulaheWabarakatuh!
asimmughal saab aap yeh neechey di hui chand websites visit kijiey, mujhe umeed hai keh aapko aapkay sawal ka jawab bhi mil jaey ga aur aap kay bohat sarey masley bhi hal ho jaey gey.
khasoosan pehli dono sites ko mukamal tor par parney ki koshish kijiey ga! shukrya!
meri maloomat kay mutabik yeh sari kitabein Hanfi maslak kay mutabik hi hain.
.:: Muqtadi Fatiha Kiyon Parrhy :: Urdu Book ::.
.:: Namaz Ka Tareeqa :: Urdu Book ::.
.:: Islamic Library of FaizaneAttar.net ::.
.:: Islamic Library of FaizaneAttar.net :: Books Search ::.Last edited by desi_munda; 27 July 2009, 03:51.Watch this New Madni Channel in RealPlayer: mms://dawateislami.tv/video
Comment
Comment