Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zra Sanbhal K Rehna ... K

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zra Sanbhal K Rehna ... K

    BISMI ALLAHI ALRRAHMANI ALRRAHEEMI

    الحب لله و البغض للهrakhna siraat-e-mustaqeem ki janib aik aham qadam hai.
    [Sahih Bukhari, Hadith#2101 - Sahih Muslim, Hadith#2628]

    Aik mashoor maquula hai:
    صحبت صالح ترا صالح كنند
    صحبت طالح ترا طالح كنند

    Yani naik suhbat tujhay naik aur buri suhbat tujhay bura bana day gi


    لا تصاحب إلا مؤمناً ولا يأكل طعامك إلا تقي
    Tu sirf momin say dosti rakh aur taira khaana sirf muttaqi khaayay.
    [Sunan Abi Dawood, Hadith#4832 aur isski sanad Sahih hai]

    الرجل على دين خليله فلينظر أحدكم من يخالل
    Aadmi apnay dost k deen per hota hai pas tum mein say har shakhs daikhay k wo kis say dosti kerta hai.
    [Sunan Abi Dawood, Hadith#4833 aur isski sanad Sahih hai]


    Piyaaray bhai/behno! Aaj bay rah-rawi ki aik aham waja waqt ki na-qdri bhi hai. sirf waqt guzaarnay k liay loog aisi majlisoon ki talaash mein rehtay hein k jo jhoot, buhtaan, chughli, gheebat aur tanz-o-mazaaq say roonaq-afrooz hon. Tehseel-e-ilm aur zikr-e-Ilaahi k bijaayay taash aur snooker clubs waghairah mein subh say shaam tak waqt guzaar daitay hein aur pata hi nahein chalta,
    Kaarwaan K Dil Say Ehsaas-e-Ziyaan Jaata Raha


    [Sahih Bukhari, Hadith#6412]




    ____________________
    ::::Tehqeeq-o-Takhreej::::
    Shaikh Zubair Ali Zae
    etc.
    ::::Takhreej::::
    Mubashar Ahmed Rabbaani
    Syed Tanveer-ul-Haq Shah
    etc.
    Note: mere posts mein in muhadis aur ulima se kisi trha madad li gae he. inhi mohadis ki tehqeeq k mutabiq ahadith ki sehat ka pata laga he, aur jis ki sehat ka nahein pata laga to uss k sath un ka naam likh dia he jin se pata lagi he, lihaza un ki sehat ka ap khud pta lgaein. agr kisi ko un k baray mein janana he jin k naam yahan darj nahein to wo mujhe PM kare.


  • #2
    Re: Zra Sanbhal K Rehna ... K

    Thanks 4 sharing Nice post .. !!

    Comment

    Working...
    X