Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Alcohol

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Alcohol

    Salaam Aalaikum

    Jaisa ke akasar pain killer ointment ya cream mein Alcohol paya jata hai.
    aur jinko lagaye bina bhi koi chara nahi.

    to kya is ko lagaker Namaz parhne se Namaz ho jati hai ?

  • #2
    Re: Alcohol

    Haram Ashya Nuksaan deh hain

    Muhtrama jesa aap ne kaha ke alcohol hota hay aisi medicines main to aap ke lye aik baat yahan kehta chalon ke ALLAH tala ne jis cheez ko haram thehraya hay woh insaan ke lye kharabi aur nuksaan ka baes hay. agarche woh waqti tor per humari samjh ya akal main na aye chanache jo cheez khalis nuksaan ka baes hay isay haram kar dya. awr jo cheez khalis nafa bakhsh hay ussay haram kar dya. is lye aisi cheezon ke kisi bhi kisam ke istemal se bacha karein. keunke us cheez ki hillat o hurmat main bari HikmateiN poosheda hain.

    " Woh tum se sharab aur joey ke barey main poochte hain kaho in donoN cheezon main bara gunaah hay awr logon ke lye thoray faide bhi hain lekan in ka gunah in ke faiday se barh ker hay" ( Soorah Al-Baqarah ; 219)

    aik musalmaan ke lye zaroori hay k woh is nuksaan aur burayi ko jaan le jis ki wajah se islaam kisi cheez ko haram karta hay, mumkin hay k is ka ilm bhi kam ho ya is ki burayi abhi zahir na hoi ho awr phri baad main zahir ho jaye, maslan Islam ne khanzeer ka gosht haram kya hay k woh najas janwar hay. aur yeh sabit ho chuka hay ke us main mulik jarasim hote hain jo insaani sehat ke lye nuksaan deh hain. yahi mamla sharab ke sath hay, jisay hum alcohol bhi kehte hain

    Aksar moqon per yeh kuch cheezain mushtaba ho jati hain lekan un se bachna parhezgari ki alamat hay, Arsahd-e-Nabwi hay. Halal wazeh hay, Haram wazeh hay awr donon ke darmian kuch ashya mushtaba bhi hain to jo shaks apne deeen aur abroo ko bachane ke lye in se parhez karey ga woh salamti main rhe ga. lekan jo shaks in main parh gaya to is ka haram main mubtla hona baeeed nai( AAP SAW ke irshaad ka hawala nakal nai kar saka, keunke jahan se main ne mutalia kya hay wahan reference nai likha hua

    is lye jin ashya main shak ho un se bachna chahye, yeh parhezgari ki alamat hay :)

    Agay ALLAH tala behter jantey hain
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Alcohol

      Aap ki baat sahi ha Yaaram lekin aaj kal to rozmarra istemal hone wali chzein jaise ke Aftershave,ferfume,cosmetics aur cough syrup tak har cheez mein Alcohol laazmi hota hi hai.
      mein sirf takleef ke liye use karne wali cream ke pata karna chahti hoon.
      kyun ke meine kahin parha tha ke takleef ke liye agar kuch is tarah ke cheezein istemal karo to koi harj nahi. (Allah behter janta hai.)

      Comment


      • #4
        Re: Alcohol

        Aabid bhai mazeed bata dein gay, main ne apne ilm ke mutabiq jawab de dya tha aap ko
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: Alcohol

          meray khiyal mai islam mai nasha karna haram hay..alcohol haram nahi is ko pi kar nasha karna haram hay..
          ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
          سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

          Comment


          • #6
            Re: Alcohol

            اسلام علیکم الکحل ملی کریم کے بارے میں جو سوال بہن نے کیا ہے اس کا مختصر جواب یہ ہے کہ الکحل ملی اشیاء کی حلت و حرمت (یعنی حلال وحرام ہونے ) پر فقہاء کا اختلاف ہے اور اس مسئلہ میں حق اور صواب یہی ہے کہ اس قسم کی کریم اور لوشنز وغیرہ کے استعمال سے اجتناب برتا جائے
            باقی واللہ والرسولہ اعلم
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #7
              Re: Alcohol

              asalam alaikum wr wb,

              Jo alcohol skin products/perfumes weghaira mein istimaal hoti hai woh peene wali alcohol se mukhtalif hai. Yaani usse denatured alcohol ke naam se jana jata hai. Is ke peene se insaan ya to mar jaye ga ya andha ho jaye ga. Iske lagane se na koi kisi kisam na nasha hota hai na hi ye najis hai.

              Muhammed (saw) ne farmaya hai ke jis cheez se nasha hona lamzi hai woh kam makdaar mein bhi haram hai. Iska matlab peene wali alcohol se hai, cigarettes aur doosri nasha'avar cheezon se hai. Aur peene wali sharab ke mutalik 10 admiyon pe laanat bheji hai jinka aise sharab se taluk hai, yaani bechna, nichorna, kisi ko pilana weghaira....

              Lehza behter hai toothpaste aur mouthwash ke products se bacha jaye. Lekin perfumes aur doosre products wali alcohol ki mukhtalif kisam hai aur woh jaiz hai.


              wa alaikum asalam wr wb.

              Comment


              • #8
                Re: Alcohol

                vv nice topic

                Comment


                • #9
                  Re: Alcohol

                  :SubhanAllhaa:

                  Comment

                  Working...
                  X