Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"aytkaaf m moatkif ka aik masjid se dosri masjid main jana"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "aytkaaf m moatkif ka aik masjid se dosri masjid main jana"

    :thmbup:
    Asslam o Alaikum
    Abid bhai sawal yeh ha kah aik motakif aytakaaf ki halat main pehli raat namaze Esha k baad aik masjid se doosri masjid main ja kar aytkaaf kar raha ha aur uzar yeh ha kah jis masjid se wo gia ha is masjid main aur koi motakif nahin tha aur woh akela tha jabkah village ki doosri masjid main bohat se moatakif hazrat thay to kia os ka aytkaaf toota gia ha ya nahin. kiuonkah kush log kah rahain hain kah aytkaaf toot gia kiounkah yeh shari uzar nahin ha aur kush kah rahain hain kah nahin toota aap shariet ki row se rahnami farmain.

  • #2
    Re: "aytkaaf m moatkif ka aik masjid se dosri masjid main jana"

    Aslam o alykum ,
    bhai aap k pouchay gay sawal ka jawab ye hy k mazkora shakhas ka aytkaf tout gaya hy kionk jis uzar ki bina par us nay masjid se bahir qadam rakha wo sharee uzar naheen tha kionk ye koi sharee uzar naheen k aap jis masjid main aytkaf pazeer ho wahan degar motkafeen ka hona bhi zaroori ho ..
    baqi wALLAH o wRASOOLO ho alam
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #3
      Re: "aytkaaf m moatkif ka aik masjid se dosri masjid main jana"

      Asslam o Alaikum
      Abid meri zati toor par moatakif se baat hoi aur os ne mazeed batia kah darasal use wahan par khauf mahsoos hota tha (maslan baathroom jate howe) aur jab os k doosat masjid main ae tu os on se zikar kia aur unhon ne Doosri masjid k Imaam sahib se is masle k bare main poocha to onhon ne farmia kah main is masle k bare main aap ko rehnami mahia nahin kar sakta to phir os k doston ne ose aik masjid se doosri masjid main montakil kar dia.

      Comment


      • #4
        Re: "aytkaaf m moatkif ka aik masjid se dosri masjid main jana"

        Asslam o Alaikum
        Abid bhai meri zati toor par moatakif se baat hoi aur os ne mazeed batia kah darasal ose wahan par khauf mahsoos hota tha (maslan baathroom jate howe, Abadaat karte howe) aur jab os k doosat masjid main ae tu os on se zikar kia aur unhon ne Doosri masjid k Imaam sahib se is masle k bare main poocha to onhon ne farmia kah main is masle k bare main aap ko rehnami mahia nahin kar sakta kioun kah main is k bare main nahin janta to phir os k doston ne ose aik masjid se doosri masjid main montakil kar dia.

        Comment


        • #5
          Re: "aytkaaf m moatkif ka aik masjid se dosri masjid main jana"

          w.salaam bhai
          ziyada behtar hy k kisi mustand mufti se maloom kar len aagr is mozu par aap ko koi fatwa darkar ho to....?warna meri amoomi maloomat k mutabik aap k sawal ka wohi jawab hy jo main oper bayan karchuka...
          baqi .
          WALLAH O WARASOOLHO ALAM
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment

          Working...
          X