Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

shab e barat kis leye manatay hain ???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • shab e barat kis leye manatay hain ???

    assalamalikum
    ham loog jo shab-e-baraat manatay hain is ki history kia hai ?
    shabe-e -miraaj to Hazroor (p.b.u.h) kay miraaj kay waqeye ko zahir karti hai :) or shab-e-baraat main kia hova tha ???
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

    :-s
    Last edited by sheem; 18 September 2005, 16:54.

    Comment


    • #3
      Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

      Aanchal jitna merey ilam mey hai wo bhi apney lectures mey suna hai (at the mosque)


      Hum shabana manatey nahi hein...
      balkey is mey hum roza rakhtey hein aur ziker kertey hein, Allah sey du'a kertey hein, Astaghfaar kertey hein...

      aur ye sab is liye key shaban key baad Ramadan hai ... so apney aap ko Ramadan key liye tayyar kertey hein....

      aur aaj hamain lecture mey ye bhi bataya gaya hai key hamarey poorey saal key A'maal is maheeney mey Allah T'ala key aagey paish kiye jaatey hein.

      baki Allah behtar jaantey hein
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • #5
          Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

          Originally posted by Aanchal
          assalamalikum
          ham loog jo shab-e-baraat manatay hain is ki history kia hai ?

          or shab-e-baraat main kia hova tha ???
          Shab e baraat khaney ke liye manatey hain, aap ke yehan kya menu bana...?
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #6
            Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

            Originally posted by barg.e.gul

            Hum shabana manatey nahi hein...
            balkey is mey hum roza rakhtey hein aur ziker kertey hein, Allah sey du'a kertey hein, Astaghfaar kertey hein...


            Yes Correct...:thmbup:

            aur ye sab is liye key shaban key baad Ramadan hai ... so apney aap ko Ramadan key liye tayyar kertey hein....
            Yes yeh bhi correct hai:thmbup:

            aur aaj hamain lecture mey ye bhi bataya gaya hai key hamarey poorey saal key A'maal is maheeney mey Allah T'ala key aagey paish kiye jaatey hein.
            Phir baat dilemma pe chali gayi naa....:cc:
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment


            • #7
              Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

              Originally posted by Aania


              What does barat means in Arabic, like barat to decor mosques illuminate with light, this is the tradition of ours grandpa' grandpa, the youngers seek such night to wander and play in the name of Ibadat. Some Mushrik lightened with candels over graveyard, so this is the Night of Barat...Allah forgive us.




              The Muhaddith, Ibn Dihya, has also agreed that


              There is no authentic hadith reported about the 15th night of Sha`ban. The hadiths reported about that night are classified by some scholars as hasan (a hadith which has one reporter in the chain of narrators whose identity is not well known, yet he is not accused of committing great mistakes or lying). Some other scholars have refused these hadiths, calling them unauthentic.



              SOME VIRTUES OF THIS NIGHT:










              2. The sins of countless people are pardoned.



              The hadiths considered as hasan are to the effect that it is recommendable to supplicate Almighty Allah during this night and ask Him for forgiveness. But there is no specific supplication reported to be said in this night. Hence, the supplication that some print and distribute among people in some Muslim countries as being recommendable on this night is not correct and has no basis in Shari`ah.

              Of these hadiths is one that is reported by Imam Ahmad and At-Tabarani to the effect that the Prophet (peace and blessings be upon him) said,
              But At-Tirmidhi said that Imam Al-Bukhari classified this hadith as weak.has no basis in Shari`ah.




              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #8
                Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

                Excerpted, with slight modifications, from: www.pakistanlink.com

                Dr. Muzzamil Siddiqi,(Originally from Pakistan) former President of the Islamic Society of North America stated that :
                Surat Al-Qadr
                laylat ul-qadr (The Night of Power) not shab-e-barat.

                Imam Al-Mundhiri (died in 656 A.H.) in his famous book At-Targhib wat-Tarhib (vol. 2, pp. 116-120) written all things about Shab e barat those are being practising muslims these days in India, Pakistan, Bangladesh, Afghanistan, Iran.

                However, there are many practices and customs common in some Muslim countries, such as making a sweet dishes, setting off fireworks, etc. These things have no meaning and no reference in hadiths. There are also some superstitious beliefs about this night. For example, some people believe that the spirits (RooH) of the deceased visit their relatives during this night. Some believe that there is a special tree in Heaven upon whose leaves are the names of all human beings, and whatever leaves drop during this night, those people are destined to die in this year. Some think that the decisions about the life and death of people are made during this night.

                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

                  Aik min.

                  Our beloved Prophet (s.a.w) said "The beauty of a person's islam is to leave those things which do not concern him or her"

                  kehney ka maqsad ye hai key "shaban" key maheeney mey aap logon ka kaam sirf roza rakhna hai ziker kerna hai ... etc

                  aur plz apney aap ko in doosri baaton mey na daalein ... key ye sab Allah T'ala ka kaam hai

                  aap wahi karo jo aap ka kaam hai inshAllah
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

                    Assalaam o alaikum
                    meray azizo khaas taur pay spy bhy baraat aur bara'at maiN lafzi taur pay hi farq hay barat means logon ka jaloos jo k doolhay k saath dulhan lainay jata hay..
                    bara'at means bari hona aur yahaan iss ki murad gunahoN say bari honay ki raat hay...
                    ahadees maiN iss ka hay k 15 shaban ko sarkar alaihe salatu tasleem zyarat e qaboor k liay tashreef lay gaey.
                    ab aap ka farmana k gharoN pay charaaghaaN hota hay bachay gharoN say nikaltay haiN awara gardi k liay aur pata nahi kya kya hota hay.. aap kabhi uss masjid maiN b jaa k daikh laiN jahaan sari raat ibadat hoti hay aap ko inn SHALLAH haqeeqat maloom ho jayai gi... isi tarah bohat saari ibadatoN ko logoN nay apni kam ilmi ki wajah say bad naam kia hua hay jaisay shaadi kitni saadgi say karni chahiyai laikin log uss pay chotay chotay nahi balkay bohat bohat baRay baRay ghalat kaam kartay haiN agar hamm aap k fomulay pay amal karaiN to shaadi karna b aik bura kaam ho jayai ga. log aik achay kaam ko buray kaam ki taraf lay jatay haiN...maiN ibadat karnay ko acha samajhta hooN aur kisi b naik kaam karnay k liay mujhay quraan hadees say saboot ki zaroorat nahi q k mutlaqan farmaya gya hay k " naiki ka kaam karo" koi hadd nahi lagayi gaee. agar yai likha hota hay k shab e bara'at aayai gi to aap nay ibadat nahi karni to main kabhi b nahi ibadat karta.. aap naiki karnay waloN ko rok rahay haiN sirf unn logoN ki wajah say jo iss raat ko awara gardi kartay haiN..
                    aur ahadees hasan k darjay maiN hoN to kya uss pay amal mana hay? aap din maiN kitnay kaam kartay hain jin ko acha samajhtay haiN aur quran e pak aur ahadees say saboot lay k wo kaam kartay haiN??? maslan internet ka istemal pegham k forum pay aanaa aap k naam ka spy hona ??? kya inn sabb k saboot ahadees main dikha sakaiN gae laikin aap nay kiay haiN aur iss k liay mujhay kisi b aur saboot ki zaroorat nahi.. bhalaee ka kaam jahaaN ho jaisay ho ALLAH ki baargah maiN maqbool hay aur aap kisi ko kisi b kaam say mana nahi kar saktay jabb takk k aap k paas kisi kaam ki nafi maiN ya inkaar maiN koi hadees maujood nahi hay..
                    aap kisi b raat ibadat karaiN aur ibadat maiN b kuch b karaiN koi rok tok nahi laikin shariat k mukhalif na ho bass aur bass shariat ka paas rahay..
                    aaj kal bohat say zyada naikiaan aisi hain jo k qataeee taur pay quran o hadees say saabit nahi haiN generally uss ko insan ki apni zehni isteta'at pay choRa gya hay k wo karay ga to sawab ALLAH dayga...

                    ALLAH ta'aalaa haqq ko daikh kar us ko qabool karnay aur uss par amal karnay ki taufeeq ataa farmaayai..
                    AAMEEN

                    wasalam
                    Raza Baykamal

                    kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                    Comment


                    • #11
                      Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

                      jazak ALLAH BY KAMAL BHAI AIK BAAR PHIR KAMAL KAR DIYA LAGTA HY AAP KA MUTALIA KAFI GEHRA HY KIUON K AAP NY YAHAAN DEEN K USOOLON K MUTABIK BAAT KI HY ,ALLAH AAP K ILMO AUR AMAL MAIN BARKAT ATA FARMAY AUR HAM SAB KO HAQ K SAMJHNY AUR MAAN LAYNY AUR AMAL KI TAFEEQ ATA FARMAY main iss par aik new thred lagaoon ga ...AABI
                      Last edited by aabi2cool; 12 January 2006, 12:39.
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #12
                        Re: shab e barat kis leye manatay hain ???

                        Khush rahoo aabi and bykamal
                        nahayat hee umda jawabats

                        Comment

                        Working...
                        X