Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

non muslims kay sath kahana peena .....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • non muslims kay sath kahana peena .....?

    assalamalikum

    aik sawal hai kay agar aap kisi aisi jaga rehtay houn jahan non muslim bhi houn kia un kay sath kahan peena jaiz hai ya nahi ? koi aap ko koi cheez day ( hilal cheezoun main say) to kia woh lay leeni chaye ya nahi ?




    non muslim kay sath aik muslaman ka khana peena jaiz hai ya nahi ????
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

    Is mey koi burai nahi Aanchal,
    bashart ye key jo aap kha pee rahey hon wo halal ho, kisi key sath beyth ker khaney sey koi farq nahi perhta hai,(to the best of my Knowledge)

    meyrey liye to ye roz ka mamool hai :)
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

      dear ..........yehan muslim
      dosery muslim k sath nahi khata aap
      non. muslim kee baat ker rahin hain
      ...
      shiya ....sunni
      main kuch main jo k aik dosery k sath nahi khaty.

      Comment


      • #4
        Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

        Anchal bohat acha sawal hay aapka...........
        jahan tak mera knowledge ki baat hay.............qadyani.........hindu......ke sath nahi khaana jaez.....
        aur han us ke sath khaan jaez hay jin per kitaab nazal hoi.......:)
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

          Koi harz nahin Non Muslims ke saath khana kha saktey hain, but yeh bhi dekhne ki baat hai ke non muslim koun saa food consume karta hai, jaise Haram aur Halal (Haram to aaj kal Muslims bhi kha rahe hain).

          Main to kai Hindus ke saath khana khaya, unhon ne apne plates mein khana khilya,
          Kuchh Hindus Meat gosht nahin khatey sirf sabziyan khate hain unke saath kha sakte hain. Delhi mein main ek Hindu ke ghar kiraye pe rahta tha, kitchen mein gosht to kya anda tak bananey ki mamaniyat thi, ham log chori chupe chiken banate thay, aur wo log khana bilkul saaf suthra khate thay, to waise logon ke saath khane mein harz nahin.

          Wo shakhs jo Muhammad Rasool allah s.a.w. ko aakhri nabi nahin maante wo kaafir hain jaise qadyani, iss liye ham qadyaani ke saath nahin kha sakte, but Hindus they believe ke Muslims ka aakhri nabi Muhammad Rasool a.s.a.w. thay, so hindus are better than qadyani.
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #6
            Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

            Assalam O Alikum,

            Janaba Aanchal Sahiba.....

            Yeh sawal apney andar kafi wo'saat rakhta hey..... Masayil k haal k liye ISLAM mein sab se behtar yeh hey k ham apney ULMAH Hazraat se rujoh karein.... aur agar aap k halqah ahbaab mein se kisi k ilm mein yeh mas'alah pehley hi wazeh hu tu wo isko bahawalah fatwah... ya ref. k dein takey Ham mein se buhat se mujh jesey be ilm aadmi ki zehni tashaqqi... aur sab se aham baat yeh k agar bahawalah FATWAH.... diya jaye jawab... tu MUFTI hazraat chon k sawal ki rooh ko ham se behtar aur ahsaan tareeqey se bata saktey hein tu wo sar tasali aur tashaqqi jo ham mozoh e behas mein rakhtey hein wo door hu jati hey....

            baat ab yahan aati hey k mujh jesey kam aqal logo ney jo yeh firqeh wariyat pheela rakhi hey aur ISLAM ko mukhtalif firqoon mein banta hua hey aur kaha jata hey k Falanah Firqeh k mufti hazraat ney Falanah ki nafi kardi ... aur yoon behas hui... aur yoon wahan mubahisa hu gaya.....

            tu hamari majboori yeh hey k ham DECIDE nahi kar patey k Bhai konsey FIRQEH k muftih se rabta karein.... us Firqeh k mufti sahib tu yoon kehtey hein is ka jawab Yahan hey ..... Ab dosrye sahib yeh kehtye hein k Janab hamarey firqeh k mufti sahib ney tu iska Fatwah alag bataya hey....:)

            Aayeh sochye k Aik aam aadmi is sorat e haal per kya sochta hey.....

            Farz karein k aap us ki jagha hutey.... aur aam se musalman hutye ...... tu janab aap kya kartye .......


            Mera jawab hazir e khidmat hey.....::

            Mein seedha Mulk k MUFTIH-E-AAZAM ki hazri mein jata aur fatwah leeta ... jesa bataya jata wohi karta.... agar yeh mushkil ya mumkin na huta tu QURAAN k baad 4 mustanad kitaboon mein se , Tafseer e usmani, ya agar khud ko KITAB DOST ki hesiyat se islaam ki un mustanad Kitaboon jinko charon Ummah ney durust qaraar diya hey .... usmein se apney Maslak ki Imam k Fatweh per amal karta...

            Aaap Hazraat se darkhusht hey k Aik aam qari ki hesiyat se aap bhi batayeh k aap kya kartey.....

            kya yahan muhiz apney andaazey lagatey... ya apney baron ki suni hui baton(agarcha wo durust bhi hoon)... usi per iktifah kartey ya khud bhi justujo kartye k aaya aap k zehan mein yeh jo sawal aaya hey k iska yehi sahi jawab hey .... YAAAAA..... Ham sawab k chakkar mein muhiz apni maloomat( jo k shayad ghair musaddiqa ya sirf suni hui hein).... per iktifah karleetey.....

            Sorry Aanchal Bibi.... Mozoh ko dosri taraf ley gaya aap ki thread per....magar chon k aap sab ki tarhan itna mutalah nahi mera..... tu aik aam qari ki hesiyat se ... mujhey pehley meri direction ka sahi pata huna zaroori hey

            Wassalam...

            Comment


            • #7
              Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

              sab kay replies ka shukria :rose


              hmmm kisi nay kaha kha saktay hain kisi nay kaha nahi ............acha aap loog koi Qurani Ayaat ya Hadees ka hawala day saktay hain jis main is baray main kuch kaha gia hoo ????
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

                Aanchal main koshish karon ga is bare main kuch time chahye ?......
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

                  Originally posted by YAARAM
                  Aanchal main koshish karon ga is bare main kuch time chahye ?......
                  ya sure aap jitna chaian time lay laian ...:rose
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #10
                    Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

                    Originally posted by YAARAM
                    Anchal bohat acha sawal hay aapka...........
                    jahan tak mera knowledge ki baat hay.............qadyani.........hindu......ke sath nahi khaana jaez.....
                    aur han us ke sath khaan jaez hay jin per kitaab nazal hoi.......:)
                    ary Hindu b to Muslims huty hain naa...

                    Comment


                    • #11
                      Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

                      Confusion ho rahi hai ke non muslim ke saath khana khana chahiye yaa nahi,
                      zara yehan ghaur karen:


                      Non Muslim ke haath ka banaya huwa khana khate hain ya nahin, ghar se baahar, hotelon, restraan mein.



                      Hum Super Market se bahut saare ready made food kharidtey hain, just boil and eat in easy process, wo saarey foods, jaise noodles, chawmin, biscuits, cakes, sauce, pickles, vinegar, yeh preservative process mein rahta, kya ussey ham nahin khate, kya yeh sab Musalman hi produce karta hai.

                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • #12
                        Re: non muslims kay sath kahana peena .....?




                        Sheikh Ahmad Kutty, a senior lecturer and Islamic scholar at the Islamic Institute of Toronto, Ontario, Canada, states:



                        Our religion is simple and natural, and teaches us to deal with all people fairly and justly; halal is halal and haram is haram regardless of whether it is provided by a Muslim or a non-Muslim.
                        The laws of Allah do not discriminate among people.

                        Conclusively: ham non muslim ke saath khana kha sakte hain bashartey ke wo halal tariqey se banaya huwa halal khana kha raha ho, Vegetarian food
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #13
                          Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

                          For more information visit

                          Islam Online fatwa section
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • #14
                            Re: non muslims kay sath kahana peena .....?

                            ok

                            Comment

                            Working...
                            X