Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Rishwat is Harraam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Rishwat is Harraam

    :thumbs_do AoA Abid bhai mera sawal ye ha kah aaj kal aksar log apne kaam karwane ke lia currency (Rupees) dete hain aur main ne kisi shaid Alme Din se suna tha kah jaiz kaam karwane ke lia currency dena yeh rishwat main nahin ata aur najaiz kaam karwane k lie currency dena rishwat ha aap maharbani farma kar shariet ki roo se RISHWAT ke bare main tafseel k saath batain.

  • #2
    Re: Rishwat is Harraam

    Bhai jaan agar kaam jaiz ho tu us kaliye paise kis baat ke daine so Phir bhi mein after verification i will reply more

    Comment


    • #3
      Re: Rishwat is Harraam

      اسلام علیکم بھائی آپ کے سوال کا مختصر جواب یہ ہے کہ رشوت لینا اور دینا دونوں حرام ہے چاہے کام جائز ہو یا ناجائز اور اس پر قرآن کی واضح نص ہے ۔۔۔باقی واللہ و اعلم
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #4
        Re: Rishwat is Harraam

        Abid bhai aksar log mlazmat hasal karne k lie paise dete hain aur paise la kar kush log khas kar Government k adarow main malazmat le dete hain aur aam toor par dekha gia ha police k mahkame main jaiz kaam maslan report darj karwane k lie log paise deti hain to kaam ho jata ha aur agar pase na dein tu kaam nahin hota aur aksar logon ka khial ha kah jaiz kaam karwane k lie paise dena theek hai kiunkah yeh hamari majboori ha aur yeh rishwat nahin ha aap maharbani farma kar mazeed rahnmai farmain.

        Comment


        • #5
          Re: Rishwat is Harraam

          Originally posted by hussainkhaliq View Post
          Abid bhai aksar log mlazmat hasal karne k lie paise dete hain aur paise la kar kush log khas kar Government k adarow main malazmat le dete hain aur aam toor par dekha gia ha police k mahkame main jaiz kaam maslan report darj karwane k lie log paise deti hain to kaam ho jata ha aur agar pase na dein tu kaam nahin hota aur aksar logon ka khial ha kah jaiz kaam karwane k lie paise dena theek hai kiunkah yeh hamari majboori ha aur yeh rishwat nahin ha aap maharbani farma kar mazeed rahnmai farmain.
          aslam o alykom bhai jawab to main aap ko de chuka laikin aap mazeed tafseel k mutmani hian to arz hy bhai k saaf baat hy k riswat lena aur dena sakhat gunah aur haram hy laikin apny kisi jaiez kaam ko agar aap kis bhi jaiz tareekay se na karwa sakeen aur halat aysay hon k bagair rishwat k aur koi dosra rasta na hoto phir dil main bura janty huy agar aysa kaam karliya jay to ALLAH paak k han qawi ummeed hy k wo zaroor dar guzar kareen gay kion k halate iztrar main bohat se ahkaam ka hukam badal jata hy...baqi WALLAH o alam
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • #6
            Re: Rishwat is Harraam

            Bohat bohat maharbani Abid bhai ALLAH TALLA aap ko jazai khair da aamin
            :rose

            Comment


            • #7
              Re: Rishwat is Harraam

              :thmbup:
              Last edited by BUS U HE; 11 May 2007, 12:04.

              Comment


              • #8
                Re: Rishwat is Harraam

                جزا ک اللہ عابد بھاءی
                مون لائیٹ آفریدی ورڈ پریس ڈاٹ کام ۔۔۔۔۔۔ مون لائیٹ
                آفریدی بلاگ سپاٹ ڈاٹ کام

                Comment

                Working...
                X