Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Namaz kay auqaat........

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Namaz kay auqaat........

    Assalamalikum
    mera sawal hai kay namaz kay jo auqaat hain yeh kab say ham pay faraz hovey kay is is time pay namaz parhni chaye ? kisi hadees main in ka ziker hai ?

    mere koi jannay wali hain woh Isha or maghrab ki namaaz sath parti hain ....baqool un kay yeh jaiz hai kio kay Haj kay moukay pay bhi to yeh namazian sath parhi jati hain ........
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Namaz kay auqaat........

    اسلام علیکم !
    آ نچل بہن آپکے پوچھے گئے سوال کا مختصر جواب یہ ہے کہ ہر نماز کو اس کے مقررہ وقت پر ادا کرنا یہ نماز کی شرائط میں سے ہے اور شرط اسے کہتے ہیں کہ جو اگر نا پائی جائے تو مشروط بھی نا پایا جائے یعنی اگر ظہر کی نماز کے لیے ظہر کے وقت کا ہونا شرط ہے تو جب تک وہ وقت نا ہوجائے تب تک ظہر کی نماز نہیں ہوسکتی. نہ ہی اس وقت کے ہوجانے سے پہلے اور نہ ہی اس وقت کے گذ رجانے کے بعد اسی مثال سے آ پ سب نمازوں کو قیاس کرلیں رہا یہ مسئلہ کے ان کے اوقات پر آیا کوئی حدیث وغیرہ ہے یا نہیں ؟ تو عرض ہے کے نماز کو وقت مقررہ پر پڑھنے کے لیے احادیث تو آئی ہیں مگر قرآن کی پوری آیت ہے جو اس معاملے میں نص قطعی ہے اور وہ آیت ہے سورہ نساء کی آیت نمبر 103۔۔۔
    ان صلوٰة کانت علی المومنین کتاب موقوتا۔۔
    بے شک نماز مومنین پر وقت مقررہ پر فرض ہے۔۔
    رہاآپکی دوست کا یہ کہنا کے دو نمازیں ایک ہی وقت میں پڑھی جاسکتی ہیں توانکا یہ نظریہ قرآن کی اس ٓٓیت کی رو سے باطل ہے اوران کا دلیل کے طور پر یومﹺ عرفہ یعنی حج کے دن کی مثال دینا بھی باطل ہے وجہ اس کی یہ ہے کے یوم عرفہ کے دن دو نمازوں کو ایک ہی وقت میں پڑھنا صرف حاجیوں کے لیے خاص ہے کوئی اور جہاں بھی ہو خواہ سعودی عرب میں ہی کیوں نہ ہو وہ دونوں نمازوں کو ایک وقت میں نہی پڑھ سکتا ۔
    اب سوال یہ پید اہوتا ہے کہ اگر نماز وقت مقررہ پر فرض ہے اور اس بات کی تائید میں قرآن کی آیت ہے تو پھر کیوں یوم عرفہ میں دو نمازوں کو ایک ہی وقت میں ادا کیا جاتا ہے تو اس کا جواب یہ ہے کے عرفہ کے دن جو دو نمازوں کو ایک ہی وقت میں پڑھا جاتا ہے اس کی تائید میں جو احادیث آئیں وہ حد تواتر کو پہنچی ہوئی ہیں یعنی اتنی بڑی تعداد میں احادیث آئیں ہیں کے ان سے روایتا اور درایتا دونوں ہی طریقوں سے انکار ممکن نہیں اور احناف کے ہاںیہ اصول ہے کے جب کو ئی حدیث حد تواتر کو پہنچی ہوئی ہو اور وہ ظاہر میں قرآ ن کی نص کے مخالف ہو تو اس حدیث سے قرآ ن کی اس نص کے معنی میں تخصیص جائز ہے کیونکہ قرآن بھی تواتر سے ثابت ہے اور حدیث بھی تواتر سے آئی لہذا صاحب قرآن کی اس حدیث کو قرآن کی تشریح کہا جائے گا۔۔۔باقی واللہ و اعلم
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment

    • #3
      Re: Namaz kay auqaat........

      Asalam alaikum Abi bro.

      hamein ye bhi kaha jata hai key Namaz ko aik achey waqat perhni chahiye --to acha waqat kaun sa hai ....just after azaan....???
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Namaz kay auqaat........

        Originally posted by yellowsky View Post
        Asalam alaikum Abi bro.

        hamein ye bhi kaha jata hai key Namaz ko aik achey waqat perhni chahiye --to acha waqat kaun sa hai ....just after azaan....???
        achay waqat se agar aap ki murad afazal waqat hy to wo har namaz kiliye juda juda hy. maslan fajar ki namaz ka fazal waqat isfaar( yani jab thori thori safaidi namodar ho us waqat ko isfar kehty hain )hy..issi tarah zohar ko apny awal waqat main parhna afzal hy aur garmion main zohar ko qadray takhir se parhna afzal hy baqi asar aur magrab ko apny awal waqat main hi parhna afazal hy aur esha k namaz main mustahab ye hy k dair parhi jay...baqi wALLAH o alam...
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment

        • #5
          Re: Namaz kay auqaat........

          Originally posted by aabi2cool View Post

          yes bilkul achey waqat sey meyri murad afzal waqat hi tha leykin us time ye lafz zeyhan mey nahi aa raha tha :$

          :jazak: khair

          ISha ko kitni takheer sey perha jaye?aur aap ye bhi btayein gey key kya Isha raat ko 12 key baad perhni makrooh hoti hai?
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Namaz kay auqaat........

            Originally posted by yellowsky View Post
            yes bilkul achey waqat sey meyri murad afzal waqat hi tha leykin us time ye lafz zeyhan mey nahi aa raha tha :$

            :jazak: khair

            ISha ko kitni takheer sey perha jaye?aur aap ye bhi btayein gey key kya Isha raat ko 12 key baad perhni makrooh hoti hai?
            issha ki namaz main mustahab yehi hy k takheer ki jay kionk baz oqat nabi e kareem saw nay esha ki namaz intihai takhir se parhi aur sath hi aap nay farmaya k agar meri ummat par dushwar na hota to main esha kiliye yehi waqat rawa rakhta ...ye aap saw ki ummat par nehayat shafqat hy k aap nay esha ki namaz ko awal waqat main bhi parhny ki iajzat farmai..baqi rahi ye baat k isha ki namaz ko raat 12 bajy k bad parhna makrooh to naheen to ye mehaz logon ka weham hy aur is ki wajha ye hy k logon main ye baat mashooor hy k din k 12 bajy zawal ka time hota hy issi tarah log raat k 12 bajy bhi zawal ka time samjhty hain halank zawal ka waqat nisfun nihar ko hota hy yani jab suraj ayen darmian main ho aur ye waqat badlata rehta hy issi tarah suraj niklany ka waqat aur dobny ka waqat bhi zawal ka time hy laikin raat k kisi bhi hisay main zawal ka waqat naheen hota...baqi wALLAH O ALAM
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment

            • #7
              Re: Namaz kay auqaat........

              :jazak: khair

              Namaz key auqaat key hawaley sey aik aur sawal

              Asr aur Maghrib key darmayan mey hum koi nafal namaz nahi perh saktey hein.....ab sawal ye hai key agar hum Maghrib ki namaz masjid mey ada kerney jayein to kya hum tahayat ul masjid bhi nahi perh saktey hein?
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: Namaz kay auqaat........

                Originally posted by yellowsky View Post
                :jazak: khair

                Namaz key auqaat key hawaley sey aik aur sawal

                Asr aur Maghrib key darmayan mey hum koi nafal namaz nahi perh saktey hein.....ab sawal ye hai key agar hum Maghrib ki namaz masjid mey ada kerney jayein to kya hum tahayat ul masjid bhi nahi perh saktey hein?

                ji aap bilkul parh sakty hain balk soudi arab main baqeda parhy bhi jatay hain ...aysa main nay suna hy..laikin maghrab ki namaz main aap saw se is qadar jaldi ki ahadees warid hui hain k ham ahnaaf kisi bhi nafal ko magrab k farz par tarjeeh nahene dayty..baqi WALLAH o alam
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment

                • #9
                  Re: Namaz kay auqaat........

                  Originally posted by aabi2cool View Post
                  [/b]

                  kya ye us surat mey bhi hai key abhi Maghrib ki azaan na hui ho?
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #10
                    Re: Namaz kay auqaat........

                    Originally posted by yellowsky View Post
                    kya ye us surat mey bhi hai key abhi Maghrib ki azaan na hui ho?
                    je naheen us waqat jaiez naheen...
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment

                    • #11
                      Re: Namaz kay auqaat........

                      Originally posted by aabi2cool View Post
                      je naheen us waqat jaiez naheen...
                      okay ab theek hai

                      meyra sawal thora na mukmal tha

                      ussey yun hona chahiye tha

                      agar hum Maghrib ki namaz masjid mey ada kerney jayein aur abhi Maghrib ki azaan na hui ho to kya hum tahayat ul masjid bhi nahi perh saktey hein?

                      My appology...

                      and May Allah reward you always with good !
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • #12
                        Re: Namaz kay auqaat........

                        shukria :rose
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        Working...
                        X