Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Surah Qadar: Tafseer
Collapse
X
-
Surah Qadar: Tafseer
Surah Qadar: TafseerTags: None
-
-
-
Re: Surah Qadar: Tafseer
:jazak: :jazak:اللھم صلی علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
اللھم بارک علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
Comment
-
Re: Surah Qadar: Tafseer
Asslam O aliukum,
ooper diye huye .. link .. mein jo tafseer bayan ki gayee hai .. us ke last pages se kuch lines yehan per bhi bayan ker rahi hoon .. Allah hamen taufeeq de... ibadaat ko samajhney .. ki aur dunya main hamen kion bheja gia ye samajhney ki aameen ..
Mukhtasiran kuch points .. jinhen parh ke .. be ikhtayar.. aankhen ro parren .. dil laraz jaye.. (Page 672, 673..
..
Imam abu bin abi Hatim rehmatulla alyeh ki tafseer jo hazrat Ka'b se riwayet warid ki ..
ke sidra tul muntiha jo satwen aasman pe jannat se mutasil hai jo dunya aur aakhirat ke fasley per hai us ki bulandi jannat main hai ... is main is qadar farishtey hein .. ke un ki ginti Allah azzo a jal ke siwa koi nahen ker sakta
Allah ki teraf se Hazrat Jibraiil (alehy salam) ko aawaaz di jaati hai ke aie Jibrail (A.S) Laylatul qadar main is darakht ke temam farishton ko le ker zameen per jaao
ye kul ke kul farishtey Raaft o Rehmat waley hain ..
ye kul ke kul farishtey .. Jibrail A.S ke sath zameen pe utertey hein ..har jagah phel jatey hein .. har jagah sajda o qayam main mashghool ho jatey hain ..
aur temam momin mardon aur aurton ke liye dua kertey rehtey hein ..
ye farishtey wahan nahen jatey .. jahan gandagi ho, nasha wala banda ho , cheez ho , jis ghar main but garrey hon , bajey gajey ghantyan hon .. koorra karkat ho ..
hazrat jibrail (a.s) temam mominon se musafah kertey hein ..us ki nishani ye hai>>
ke rongtey jism per kharrey ho jayen
dil naram parr jaye
aankhen beh niklen
us waqt insan ko (musalman ko) samajh lena chahye ..
ke is waqt mera hath Jibraiil (a.s) ke hath main hai ..
Jo shakhs is raat teen martabah
"La ilaha ilallah" parrhey
pehli martabah parhna .. gunahon se bakhshish
doosri baar parhna ..aag se nijaat
teesri baar parhna ..Jannat mein dakhil hona hai
ye kalimah usi ke moonh se nikley ga jo sachaii se isey kehney wala ho
gharz maghrib se fajar honey tak .. farishtey isi terah rehtey hein ..
aagey diye gaye link main parhye .. page 673 -- Jab farishtey wapis jatey hein .. to sidra tul muntiha , Jannat, har har aadmi aur aurat ke barey mein kia sawal kertey hein .. ke un farishton ne kisey ibadat mein paya .. go wo dunya mein rehney walon ka haal sab ke naam ba'ma sab ke waliden ke naam un farishton se poochtey hein ..
Allah .. Reham ..
Allah .. Reham ..
Allah .. Reham ..
Allahumma Innaka affuwun Tuhibbul afwa fa'fu anni -- Ya ghafoor Ya Ghafoor Ya ghafoor ..
Maula hamarey gunnah muaf fermaa de .. hamari kotahiyaan .. darguzar ferma do .. hamen .. bakhsh do maula .. aameen ...
Allah Humma Salley Alaa Muhammadin ..
Comment
Comment