Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

    Asslam O Alykom
    Ooper Aap Nay Lika K .....esaal E Sawab Yani Murdon Ko Quran Prh K Pohnchanay K Baaray Main Ahadith.......
    Aur In Teenon Ahadith Ki Sehat Sat Qata Nazer Na To In Main Aik Dafa Bhi Murdon Ko Sawab Parsl Kernay Ki Baat Aai Hay Aur Na He Yeh Mzkoor Hay K Niyat Aun Ko Sawab Bakhshnay Ki Honi Chahiyay.....
    Jis Trah K Aaj Kl Rawaj Hay K Itnay Siparay Prh Kr Esaal E Sawab Kr Diyay Aur Itnay Quran Prh Kr Esaal E Sawab Kr Diyay..........
    In Ahadityh Main Na To Nabi S A W S Nay Aur Na He Sihaba Nay Yeh Aml Kia Hay K Quran Prh Ker Sawab Bakhsha Ho..................
    Main Nay Pehlay Bhi Arz Ki Thi K Asl Msla Na To Eassl E Sawab Ka Hay Aur Na He Quran K Prhnay Ka K In Ka To Inkaar Koi Bhi Nahen Krta Msla Iss Khas Treeqay Ka Hay....
    Yani Quran Prh Kr Esaal E Sawab Kernay Ka ............
    In Ahadith Main Quran Prhnay Ka Zikr Hay Aur Aus Say Kisi Ko Inkaar Naheen Hay....inkaar Hay To Prh Kr Sawab Bakhshnay Ka Hay Jis Ka In Ahadith To Kia Kaheen Bhi Zikr Naheen Hay......iss Liyay Bhai Jaan Wo Ahadith Pesh Krain Jin Main Quran Prhnay Ka He Zikr Naheen Bl K Sawab Pohanchahnay Ki Niyat Say Prhnay Ka Zikr Ho........kyon K Tmam Amaal Ka Dar O Mdar Niyat Pr Hay....
    Aik Baar Phir Sura Hujraat Ki Aayah Ka Trjumah Likhta Hon...k A Emaan Walo Allah Aur Aus K Rasool S A W S Say Aagay Mt Barho.............aur Allah Say Dr Jaao....nabi Saws Nay Jitna Bataya Ausay Kro Aur Jo Naheen Kha Aus Ko Deen Na Smjhain......allah Aml Ki Tofeeq Ata Frmaain ..ameen

    Comment


    • #32
      Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

      اسلام علیکم محترم ٓاپ نے کہا کہ میںنے احادیث تو پیش کی ہیں لیکن ان احادیث میں صراحت کے ساتھ یہ زکر نہیں ہوا کہ ان میں جو قرآن پاک کی تلاوت کی گئی اس کا مقصد کیا تھا اور نیت کیا تھی تو میرے بھائی اگر ان کا مقصد ان مردوں کے لیے ایصال ثواب نہیں تھا تو پھر آپ ہی بتایے کہ اس مخصوص موقعے پر قرآن پڑھنے کا کیوں ذکر آیا ان احادیث میں ؟ پہلے آپ کا کہنا تھا کہ مردوں کے لیے قرآن پاک پڑھنا نبی کریم سے ثابت ہی نہیں ہے ۔۔۔۔ تو میں نے چاہا کے آپکی اس بات کے جواب میں چند احادیث زکر کردوں اب جب میں نے احادیث زکر کیں ہیں تو آپ کہہ رہے ہیں کے ان احادیث میں وہ الفاظ بھی دکھاوں کے جن سے صراحت کے ساتھ ثابت ہو کہ وہ قرآن خوانی مردوں کے ایصال ثواب کے ہی پیش نظر کی گئی تھی۔۔۔ ۔یہ بالکل ویسا ہی اعتراض ہے جیسا کے کوئی یہ کہے جب قرآن میں پر شئے کا بیان ہے تو دکھاواس میں نماز کا طریقہ کدھر ہے؟ نماز کے اوقات کا ثبوت بھی دکھاو کہ کہاں ہے ؟وغیرہ وغیرہ میرے بھائی میں نے آپ کے سامنے احادیث رکھیں اور ہھر ان احادیث پر محدثین کی جو آراء تھی وہ بھی نقل کی اس لیے کہ میرا مقصد صرف یہ ثابت کرنا تھا کہ احادیث سے مردوں کے لیے قرآن پاک پڑھنے کا ثبوت پیش کروں سو میں نے کردیا ۔
      باقی رہا ٓپ کا یہ کہنا کہ آپ کو نہ تو ایصال ثواب سےانکار ہے اور نہ ہی قرآن پاک پڑھنے سے تو پھر آخر آپ کو اختلاف ہے کس چیز سے ؟ ایصال کا مطلب پہنچانا ہی ہوتا ہے جسے آپ مان رہے ہیں اور قرآن کے پڑھنے کو بھی مان رہے ہیں یعنی دوسرے لفظوں میں آپ نے قراان کا پڑھنا اور ایصال یعنی پہنچانا دونوں مان لیے تو رہ گیا صرف موجودہ شکل میں ایصال ثواب تو میرے بھائی زمانے کے تغیر تبدل سے بہت سے فقہی احکام میں تبدیلی واقع ہوتی ہے اور اس اصول سے ہر دین کا مبتدی طالب علم بھی واقف ہے۔۔ رہی ایصال ثواب کی موجودہ شکل تو جب قرآن پڑھنا بھی فی نفسہ جائز اور مردوں کو اس کی نیت سے پڑھ کر بخشنا بھی جائز ہو اور مسلمانوں کا ایک جگہ جمع ہوکر اپنے جانے والے بھائی کی بخشش کے لیے ایسا کرنا بھی جائز تو آپ ہی بتائے کے ان سب میں ایسی کون سی شرعی قباحت ہے جس سے شرعیت نے روکا ہواور جس کی خلاف ورذی ہو رہی ہو ؟
      اور رہا ٓپ کا سورہ ہجرات کی آیت پیش کرنا تو میں آپ کو وہی جواب دوں گا جو حضرت علی نے خارجیوں کو دیا تھا کہ جب خارجیوں نے یہ آیت پڑھ کر کے حکم تو صرف اللہ ہی کا ہے حضرت علی کو کافر قرار دے دیا تو آپ یعنی حضرت علی نے فرمایا ظالمو آیت تو ٹھیک پڑھی تم لوگوں نے لیکن اس کا محل ٹھیک نہیں یعنی تم لوگ اس کا مصداق نہیں جانتے ۔۔۔۔۔۔
      اور میں پہلے بھی عرض کر چکا ہوں کے شرعیت میں یہ کوئی اصول نہیں کہ اگرکسی کام کا عدم ذکر زمانہ نبویصلی اللہ علی وسلم سے ثابت ہو تو اس کا م کو بھی حرام تصور کیا جائے جبکہ اس کے مقابلے میں شرعیت کا اصول یہ ہے کہ عدم ذکر ممانعت کی دلیل نہیں بلکہ ممانعت کی دلیل نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کا کسی فعل پر انکار ہے یعنی آپ کا منع فرمانا ہے اسی لیے قرآن کی آیت بھی ہے کہ جو کچھ تمہیں رسول دیں وہ لے لو اور جس سے منع فرمائیں اس سے رک جاو لہذا ایصال ثواب کو منع یا حرام یا ناجئز کہنے والوںپر شریعت کی رو سے منع کی دلیل دینا واجب ہے۔۔۔۔۔۔۔۔
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #33
        Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

        asslam o alykom
        main tehqeeq ker raha hon IN SHAH ALLAH 2 3 din tk hazri don ga
        w slam
        mugheera

        Comment


        • #34
          Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

          asslam o alykom
          Attached Files
          Last edited by .; 21 December 2006, 10:15.

          Comment


          • #35
            Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

            also
            Attached Files
            Last edited by .; 21 December 2006, 10:16.

            Comment


            • #36
              Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

              Assalaam o alaikum
              wah g wah mugheera bhaee kya baat hay... aap b molvi k peechay chalay haiN... deen kehtay haiN aik pooray zaabta e hayat ko aap ka koi amal deen say baahir nahi hay... yai to maantay haiN na.. koi b kaam paRhaee syasat uThna baiThna khana peena sona chalna sab hamaray deen k mutabiq hoNgae to hamm nay falah paee..
              ab aap mujhay apnay zehen k hisaab say yai batayaiN k kya aaj kal ki jaisi zindagi sarkar alaihe salaat o wassalaam ki daur maiN thi.. sabb say pehla ikhtilaaf hazrat UMAR (RAU) aur hazrat ABU BAKR (RAU) maiN quraan pay aaraab laganay pay hua jis pay hazrat UMAR (RAU) nay kaha k bay shakk yai kaam HAZOOR sallallaho alaihe wassallam k zamanay maiN nahi hua laikin yai behter hay aur acha hay... iss k baad taqreeban harr khaleefa e waqt k daur maiN kuch na kuch aisa hua jo k uss daur ki zaroorat thi aur uss ki shariat maiN ijazat di jati rahi.. agar kahaiN gae to iss k tafseel b arz kar dooN ga...

              ab aaj kal k zamanay ka haal daikh li jiay quraan printing press maiN chhapta hay masjid pakki banti hay loud speaker ka istemaal hota hay masjid maiN mehraab banti hay dars e nizaami hay uss ka syllabus hay,, ab apni zindagi maiN daikh lijiay aap motor car ka istemaal kartay haiN by air safar kartay haiN train say kartay haiN mobile ka istemaal kartay haiN.. iss k ilawa bohat saari aisi cheezaiN haiN jin ka istemaal aaj kal ho raha hay pehlay theeN hi nahi.. aur jaisa k maiN nay pehlay arz kia k hamara deen e islam aik mukammal zaabta e hayaat hay hamm iss say baahir na haiN na hi nikal saktay haiN.. to wo kaam jis ki asal maiN kuch shakk nahi agar wo acha hay wo hamaray bazurgoN say hota aa raha hay aur hota rahay ga...

              aur kisi pay uss waqt paa bandi lagaee jaa sakti hay jabb takk uss ki mumaane'at paish ki jaa sakay.. yai asool b quraan paak maiN hay k jin cheazoN say mana ki gya hay unn say bachna chahiyai aur faisala asal pay kia jana chahiyai naa k aap aik asul k tehet unn tamaam kamoN ko deen say hi khaarij kar daiN jo k sirf aur sirf aap k zehen say mutabiqat nahi rakhtay.

              aap ki inpage ki files maiN nay nahi daikhi theeN abhi nazar paRi hay to janab aap k zimmay quraan khwaani say mana karnay ka hukm hay.. yai nahi k kisi nay sarkar alahie salam k zamanay maiN nahi kia..
              aap ko maiN pehlay hi bata chuka k kisi cheez say ruka ussi waqt jayai ga jabb takk k uss ki mumaane'at ka saaf hukm na aa jayai.. aap nay to kamal kia hay apni inpage ki files maiN e s 2 maiN to aap ki apni baat maiN tazaad paya jata hay.. aik jagah aap nay likha k jo sarkar alaihe salaat o salam dain wo lay lo jis say ROKAIN uss say ruk jao.. ab aap batayaiN k ruknay ka hukm kahaaN hay.. aur kuch nahi aap nay computer use kia inpage use kia agar aap ka hi hukm lagta ho to janab e walaa aap ka apna computer use karna uss maiN sawab aur islaah ki niyyat say hamaiN dars daina.. kaisay theek ho ga jabb k yai kaam HAZOOR sllallaho alaihe wassallam k zamana e aqdas maiN hua hi nahi.. aur na hi iss kaam ka hukm dia.. aur aik general sa hukm b hay quraan e paak maiN jis maiN musalmanoN ko hukm dia gya hay k NAIK KAAM KARO " iss k baaray maiN b aap batayaiN k yahaaN aik mutlaq hukam aayaa hay naiki ka jis maiN koi qaid nahi hay k kya naiki karni hay kya nahi to aap kaisay muqayyad kar saktay haiN naik kaamoN ko.. baRay ThanDay dil say sochaiN k harr zamanay k taqazay naey aur issi tarah naiki b nae nae iqsaam ki hoti hai.
              jaisay aaj kal audio video islaah k kaamoN maiN bohat istemaal ho rahi hay... aap ka asool lagay to yai kaam b gya... to bhaee mujh haqeer ki raaey maiN naik kaam jin say roka na gya ho wo theek haiN agar unn k asal maiN koi problem nahi hay ya unn maiN koi b choTi say choTi harkat ghair sharee na ho, jaaez haiN..

              ALLAH hamaiN deen ko samajhnay ko aur uss pay amal karnay ki taufeeq ataa farmaayai....
              Raza

              Comment


              • #37
                Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

                I am very very happy GOD help u
                :jazak: :jazak:

                Comment


                • #38
                  Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

                  Assalaam o alaikum
                  hamaray bazurg haiN unn k liay yai sher aataa hay bay shakk unn ka hi hissa tha..
                  KILK E RAZA HAY KHANJAR E KHOONKHAAR BARQ BAAR
                  AA"DAA SAY KEHDO KHAIR MANAYAIN NA SHARR KARAIN

                  Comment


                  • #39
                    Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

                    Sub say pahly yai sabit kero k jis amal per aap bahs kerna chahty hain.Kia wo farz hay?wajib hay? sunnaty mokida hay? sunnaty ghair mokida hay ? nafil hay? mabah hay? sub say pahly us amal ki haiseiat tai ki jai. phir us amal kay sath uski valuation kay mutabiq amal kia jai. Quran khawani hu ya ore koi amal .pahly us amal ki haisiat deen main kia hay??aik hota hay amal or aik hota hay amal ko kernay ka tareeqa ..Allah ko sirf ore sirf apnay Mahboob (S.A) ki adain yani sunnatain pasand hain baqi ab jo bhi Aaqa ki sunnat kay mutabiq amal kia jai ga wo Allah kay han qabool hoga.warna Khusruddunia walaakhira hoga. agr koi amal ore tareeqa amal ko Aaqa say sabit nahee ker sakta tu usay koi ikhtiar nahee k wo kisi amal per logon ko majboor keray ore na kernay walon ko lan tan kery aisa kernay wala deen main changing kernay wala hoga. aik Aalim deen Molana Serfaraz safdar ki book ..Rahay sunnat ka mutalia in baton ko sumjhnay kay kafi mawin hoga. Allah taala hum sub ko deenki sahee sumjh ata ferami

                    Comment


                    • #40
                      Re: kia Quraan khawani karana jaiz hai ?

                      Originally posted by Altafhussain View Post
                      Sub say pahly yai sabit kero k jis amal per aap bahs kerna chahty hain.Kia wo farz hay?wajib hay? sunnaty mokida hay? sunnaty ghair mokida hay ? nafil hay? mabah hay? sub say pahly us amal ki haiseiat tai ki jai. phir us amal kay sath uski valuation kay mutabiq amal kia jai. Quran khawani hu ya ore koi amal .pahly us amal ki haisiat deen main kia hay??aik hota hay amal or aik hota hay amal ko kernay ka tareeqa ..Allah ko sirf ore sirf apnay Mahboob (S.A) ki adain yani sunnatain pasand hain baqi ab jo bhi Aaqa ki sunnat kay mutabiq amal kia jai ga wo Allah kay han qabool hoga.warna Khusruddunia walaakhira hoga. agr koi amal ore tareeqa amal ko Aaqa say sabit nahee ker sakta tu usay koi ikhtiar nahee k wo kisi amal per logon ko majboor keray ore na kernay walon ko lan tan kery aisa kernay wala deen main changing kernay wala hoga. aik Aalim deen Molana Serfaraz safdar ki book ..Rahay sunnat ka mutalia in baton ko sumjhnay kay kafi mawin hoga. Allah taala hum sub ko deenki sahee sumjh ata ferami
                      yeh sab kuch oper biyan hu chuka hay pehly page per dekhain

                      Comment

                      Working...
                      X