:ghug: Assalamoalaikum,:ghug:
1.Ilm har acchai ki buniyaad hai .![Yahoo](https://pgians.pegham.net/core/images/smilies/yahoo.gif)
2.Ilm islam ki zindagi aur deen ka satoon hai.
3.Ilm hasil na karnay walay per afsoos hai .
4.Ilm ki taleem dena sadqa hai .
5.Ilm haq ki taraf hidayat karta hai .
6.Talib e Ilm mehboob e Khuda hai .
7.Jo Ilm ki talab main hota hai Bahisht uss ki talab main hoti hai .
8.Ilm ki taleem dena gunahaan e kabeerah ka kaffarah hai .
9.Jiss nay zindagi ko naik ilm ki talab main sarf nahin kya to uss ki zindagi zaya ho gai .
10.Jiss kisi k haan beti ho aur woh ussay khoob adab aur ikhlaq sikhaey , ussay taleem denay k liay koshish karay , uss k liay aram o aasaish peda karay to woh beti usay dozakh ki aag say bachaey gi .
11.Jo shakhs apnay ghar say tehseel e ilmk liay nikalta hai to 70,000 malaika iss k liay astaghfaar kartay huay iss k hamraah chaltay hain .
12.Ilm walon k liay kainaat ki har shay yahan tak k samandar ki machliaan , janwar aurt khushki k darinday aur chopaey inn k liay astaghfaar kartay hain.
13.Har cheez k liay aik raasta hota hai aur Jannat ka raasta Ilm hai .
14.Meri naseehaton per amal karo kion k main tumhari bhalai chahata hoon .
Comment