Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

    :rose Assalam-o-alikum!!!
    Garmi ka zor bharta ja raha ha...Iss taz dhoop aur tapish ma.Aik bacha sarak per khara nannge paoon machalte doom main daste shafqat se mahroom..passenay mai sharaboor woh bacha apni ankheen khoolay idhar udher dekh raha tha ....uss kay chehray per koi taasur nahi mil raha tha...itni tapish aur garam mousam ka bawajoud uss ka cheray per bayzari na thi ....kiun kah woh tu issi haaal mai paida howa aur issi haal mai rahta aa raha ha...........


    Kiya tum na iss bachay ka baray ma soucha ha khabi!!!!


    Iss sakht aur nakablay bardast garmi mai ...jab suraj ki shuaien seedhi zamin per parti hain hum bahir kam jatay hain ya souch kar kah sar ma dhoop chali jay gi ...sar dard hona shrou hojay ga...hum bemar na hojay kahin...Agar jatay hain tu air conditioner cars ma .....ghar atay hain ya office jatay hain tu Ac hota ha....Class room ma cooler ya fan tu zaroor hotay hain ..kuch na ho bhi tu aik chaht hota ha sar per dhoop se bachnay ka liya.....hum har haal mai iss taz dhoop aur garam mousam se bach nikaltay hain.....

    Allah na apnay haqooq per Bando kay haqooq ko tarjhi di ha....tum Alllah ka bandoo se mouhbat karoo ....Allah tum se mouhbaat karay ga.....
    Allah na har dill ma ulfat dal di ha abb ya tumhara kam ha uss ko ujagar karna....
    Muslman tu woh ha jesy agar ilam ho jay kah dunia ka kesi konay ma kesi muslman ko taklef hoi ha tu uss takleef ka dard ussay bhi mehsoos hota ha... Ajj ka muslamno ko kiya hogiya ha jo martay waqt Aik dosray ka khiyal kartay howay Esaar kay jazbay se sarshar thay ....Ajj kahan giya woh muslman jes ka dill ma dosray muslman ka liya dard tha ..muhbat thi...
    Ajj tu app ka ghar ka bahir koi dard aur takleef se tarap raha ho tu ap ko koi fiqar nhi hoti ......app kay ghar ka tv uss ki tarpnay ki awazay sun nay nahi data ya phir deck per lagay ganay kesi aur awaz ko sunay ki ijazat nahi dati....
    Aaa Bayhiss muslman apnay zamir ko jaaga...apnay dil mai Allah kay bando ka liya muhbat ko ojagar kar...amal se apnay bando ki madad nahi kar sakta tu zaban se kar ...zaban se nahi kar sakta tu dill mai kar aur bay shak ya imaan ka sab se akhri darja ha...
    Khuda se dua ka liya teray hath othay tu pehla Apnay un bandoo ka liya dua kar jo takleeef ma ...garmi kay sakht azab mai mubtala hai .un ka dard ko mehsoos kar ..Khuda se rahmat ki dua mang kah woh un tamam logo per raham farmay aur jab tujhay lagta ha tu nay Allah kay tamam bando ka haqq ada kar liya ha ...phir mang apnay liya rahmat ki..magfirat ki dua....Woh Rahim o Karim ha ......tu uss kaybandoo ka liya souch woh teray baray mai souchay ga............ tu uss ka bando ki madad kar woh teri madad karay ga dunia ma ar akhrat ma bhi...tu uss kay bandooki takleef door kar woh teri takleef dor karay ga dunia ma bhi aur akhrat ma bhi...tu us ki tamam makhloq per raham farma woh tujh per raham farmay ga...
    Bayshak woh Rahim o Karim ha!!!!
    Allah hum sab ko uss kay bando se muhbat karnay i tufeeq ata farmay!!(Ameen):dua
    Last edited by fari; 26 June 2006, 10:02.


  • #2
    Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

    Aaameen Sumameen
    Very nice & touchy sharing
    :jazak:

    Comment


    • #3
      Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

      jazak ALLAH sister bohat khooob ...
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #4
        Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

        :jazak: :rose very nice one .... thanks
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #5
          Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

          :rose Ap sab ka parhnay ka shukriya:salam: :rose

          Comment


          • #6
            Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

            Fari aap ne Bohat achi tehreer ka izafa kya hay :) Humain khud apne aap se bahir nikal kar doosroN ke bare main sochna chaye ke aaaya ke hum jin halat main reh rahe hain :) aise halat un ko bhi muyassar hain ya nai :) Insaan ik doosre ke waste bana hay :) lekan Afsos Aaj koi nai sochta :)
            Jazak Allah
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

              AOA,

              MashaAllah g bohat acha khaiyaal hai aap ka agar hum sab ahsa he sochain to kisi ka dard hum bohat kam kar sakte hain bohat khoob g bohat khush rahain:)


              Sohail Abbasi.
              Apna haq ada karo.

              Comment


              • #8
                Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

                very nice post...............JazakAllah
                Life is more strict than a teacher
                A teacher teaches a lesson
                and takes an exam.
                But life takes an exam
                and then teaches a lesson

                Comment


                • #9
                  Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

                  bohot hi achi sharing ki hai fari.......:jazak: :rose
                  sigpic


                  Comment


                  • #10
                    Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

                    Yaaram , Khan baba jee:D aur Asad bhai ,Wafa ap sab ka parhnay ka bohat shukriya:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

                      Assalaam-0-Alaikom:rose


                      buht hi zabardast sharing hai Fari :phool: :ff:

                      :jazak:

                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kiya tunay soucha ha khabi!!!!

                        Originally posted by Rida
                        Assalaam-0-Alaikom:rose


                        buht hi zabardast sharing hai Fari :phool: :ff:

                        :jazak:

                        Bohat bohat shukriya RIda parhna ka:phool::ff:

                        Comment

                        Working...
                        X