Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tanqeed

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tanqeed

    Assalam-o-alikum!!:rose

    Hum sab tanqeed kartay hain aur tanqeed karnay ka baad ya nahi souchtay kah kiya jo tanqeed ki gai sahi thi??? kiya app nay mamlaay ko achi tarhana jaan kar uss per tanqeed ki ha???tanqeed karna asaan hota ha magar yahi tanqeed khud per ki jay tu muskil hojati ha.....hum mai se kaien insaan dosroon per tanqeed zayda aur khud apnay app dekhnay ma kotahi kartay hain.....hum apni galti ko jaan kar bhi uss se anjan bana nay ki kosish kartay hain .......
    ISs se mutalik aik kahani beyan karti hoon.....
    Aik aurat jess ka husband fouth hogiya tha ...woh apnay do bacho ka sath baray se ghar ma rahti thi ..........saray muhalay walay aksar uss per nazar rakhtay thay ....sab logg ussay buri nigh se dekha kartay....aur buri buri baten ghaar tay thay ....kiun kah woh aurat alaa kisaam ka kemti kapray phanti aur uss ka ghar se har waqt Khushbo hi ati rahti thi .....woh aurat aksar apnay bachoo ko bahir bhaj dati thi aur un se kahti thi kahin bhi chalay jao paross ma..woh bachay paross mai ja kar khabi kesi ka ghar khabi kesi ka ghar khana khatay......Uss aurat ka ghar aksar bari bari gariyan atti thin kuch mard milnay atay thay.....Sab muhalay walay uss ko bura bhala kahtay aur uss kay kirdar per ungliyan uthatay.....Zahir c baat ha app bhi hon tu yahi souch dimag ma ayy gi ...........
    Aik din woh aurat baazar mai behosh hogai ..logo nay ussay uss ka ghar puhnchaiya ...aur do din baad woh fouth hogai ...tab sab ko pata chala kah uss aurat ko Skin cancer tha...jes ki wajha se woh umdha aur kemti kapray pahnti ya uss ki jild(skin) ka taqaza tha aur har waqt khushboo iss liya lagaiy rakhti thi taka muhhalay walay uss ki badboo se disturb na ho..usay muhalay walo ka khiyal rahta tha...(skin cancer kay shikar mareez se skin ki kharbi ki wajha se bohat buri smell ati ha)
    Jab ussay sahdid attak hota cancer ka tu woh apnay bacho ko bahir bhaj dati aur khud apnay app ko kamray ma band kar ka tarpti rahti....
    woh gariyan jin se mard hazarat nikla kartay thay ....un mai se aik uss aurat ka doctor jo uss ka ilaj karta tha aur aik Lawyer jes ko kah kar uss na apni Will yani wasiyat banwai..Aur uss ka dewar apni bhabi ka pata laina ata ...

    kiya ya sahi ha bagar kesi baat kay baray ma jaaan kar tafteesh kiyay bagar koi baat kah daina, kesi ka baray ma raiy kaiem kar daina ...
    Nahi agar app asa kartay hain tu galat kartay hain .Humara dein humay ya nhi sikhata .humara dein humay ya sikhata ha kah har baat ko manay se pehla uss ki achi tarhana taftesh karo....Khud Allah Tallah na Quran ma Hazrat Muhammad(PBUH) ko taftesh karnay ka hukum diya ha......
    Tanqeed kijiya magar pehla khud per ...Behtar ha kesi aur per tanqeed na hi ki jay kiun kah app nhi jantay kah kes kay dill mai kiya ha kesi ki neiyat kiya ha!!!ya sab tu Allah janta ha!!!
    Aik dafa aik gaown ma aik bhuri buzurg rahtii thi woh har insaan ki tareef karti thi .log uss ka pass apnay maslay lakar jatay ussay batatay kah falanh shakhs bohat bura ha uss na meray sath asa kiya. Woh aurat har bar koi na koi achi baat nikal kar logo ko samjhati ..Woh kahti agar uss na ya bura kiya ha tu kiya howa tum uss ka dosra pahlo dekho....woh har kesi ki achai nikal kar logo ko batati .......
    Aik dafa do dost nay ya soucha kah woh kesi na kesi tarhana bhuriya ko apni batoon ma phasa kar rahay gaiyn .Woh har kesi ma achai nikal lati ha aur khabi kesi per tanqeed nahi karti ...Woh dono bhuriya kay pass gay aur kaha app Shitan ka baray ma kiya kahti hain woh tu itna bura ha ...har waqt logo ko wargalata ha......Iss per bhuriya na kaha theek kaha tum na magar uss ki sab se bari khasiyat ya ha kah Woh jo than lata ha kar ka rahta ha! Woh jes kam ko karna shrou karta ha uss ki taqmeel kar ka ussay sakoon rahta ha!!!Uss ko sakoon nhi milta jab tak woh apna kam pora na kar lay .....woh kam pora kar ka sakoon ki saans lata ha .....
    Woh do dost lajawab ho gaiy unkay pass abb kuch nhi tha kahnay ko Uss aurat na tu shitan ki bhi tareef kardi .........
    Iss se ya sabaq milta ha kah app ko hamesha hi har kesi ki tareef karni chiaya na kah uss per tanqeed kartay rahna chaiya ...App agar kesi mehfil ma bath kar hamesha kesi ki achi adat ki tareef karen gay. Tu app ki bhi tareef karay ga har koi....Agar app kesi per tanqeed kartay rahay gaiyn tu hamesha kesi na kesi ki tanqeed ka shikar hongay!!!
    Ayaab ko chupao ....Tum kesi ka ayaaib ko chupao gay Allah keyamat ka roz tumharay ayaab poushi karay ga!!!:rose

    ya maina Asfaq Ahmed ki kitab 'Zawiya' ma khani parhi thi aur apnay lafzon mai app ko beyan ki hain umeed ha app ko samjh ajayin ge .Koi galti ho tu maaf kar dijiya ga!!!!:rose :salam:
    Last edited by fari; 10 June 2006, 13:23.


  • #2
    Re: Tanqeed

    Nice sharing. Thanks.

    Comment


    • #3
      Re: Tanqeed

      JazakAllah farii jee Allah aap ko jazie khair ata fermaie aap ne bht kemte bat shair kie ha :rose
      Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
      Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
      Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
      Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

      Comment


      • #4
        Re: Tanqeed

        nice sharing fari:) kuch din pehle hi me ne ye tehreer zaweya me parhi thi

        Comment


        • #5
          Re: Tanqeed

          Thanko app sab kay parhnay ka !!!:rose

          Comment


          • #6
            Re: Tanqeed

            beautiful sharing Fari ji :rose
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #7
              Re: Tanqeed

              Assalaam-0-Alaikom:rose

              beautifull......
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: Tanqeed

                AOA,

                Bohat achi baat ki aap nain hum tanqeed jarte hain lakin tanqeed barye islah nain karte kabi kabi hamain husne gumaan rakhna chaye agar ye kaha jaye to be'ja na ho ga k aksar hamain rakhna chaye magar nain rakhte iss k barhaks hum kisi baat k intazaar main rahte hain k kab hamain koi ahsi baat mile jis se hamara waqt acha kat jaye tanqeed bahz logoon ka mashghala hota hai bina soche k kisi ki dil ahzari b ho sakti hai bahz o kat to peeth peche dashnam guzaar hote hain jab k ahsa karna kisi surat chayaiz nain bohat acha nokta hai aap ka fari g bohat khush rahain.



                Sohail Abbasi.
                Apna haq ada karo.

                Comment


                • #9
                  Re: Tanqeed

                  Zabardast :rose
                  bohat achii sharing hai FARI

                  Comment

                  Working...
                  X