Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Na shukray Logg!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Na shukray Logg!

    Assalam-o-alikum!!!:rose

    China ka aik mashoor kessah ha kah aik admmi hota ha uss kay pass aik ghora tha jo bohat khoubsurat tha ....woh apnay iss ghoray se bohat mohbat karta tha uss na usska liya aik khobsurat istabil banaya uss ka khoob khiyal rakhta tha. woh ussay apni jaan se zayda aziz samjhta tha ...woh aksar kahta hota tha ya meri zindagi ka hisa ha...
    Aik dafa uss admmi ka pass Badshah aya aur ussay uss admi ka ghora bohat pasand aya.Badshah na uss admi se kaha kah ya ghora tum mujhay bech doo ...Isss ka badlay tum jo mangna chao mai doon ga..admmi na inkar kar diya aur kaha kah badshah salamat ya ghora bikao nhi ha....Badshah ussay bohat bari bari raqam ki lalach deta ha ..magar phir bhi woh inkar kar data ha
    yahana tak kah badshah apni adhi sultanat uss ghoray ka badlay daina ko tayar hojata ha ..Magar admmi kahta ha ya mera ghora mujhay bohat aziz ha ya mai kesi kimat per bhi nahi bech sakta iss ka koi mool nhi ha.....
    badshah ko ghusa aya aur woh wahana se chala giya.......
    Badshah ka janay ka bad tamaam gaown ka logo na uss admmi ko bewaqoof aur ziddi kahna shrou kardiya..woh kahnay lagay kah tu pagal ha is aik ghoray ka liya tu nay adhi sultanat ki badshahat kho di ...agar tu badshah ko ghora bech data tu tu is saltanat ka malik hota ...Teri aqal per pathar par gay hain tu ziiddi shakhs ha ....
    iss per uss admmi na kaha kah maina wohi kiya jo mujhay karna chahiya tha ..Mai apna ghora nahi bech sakta tha woh meri zindagi ka hisa tha .....mai uss ka badla badshahat kasa la sakta tha...mai issi haal ma khush hon
    Kuch dino baad us admmi na istabil ma dekha tu woh ghora mojud nhi tha....ghora bhag giya tha ...
    logg phir jama hogay ayr uss admmi ko kahnay lagay tu kitna badniseb ha ..teri tu zindagi tabh-o-barbad hogai...tera ghora bhag giya ap tera kiya hoga ..teri tu kismat hi kharab ha...
    uss admmi na kaha kah meri zindagi kasa tabh hogai aur iss mai badsaeebi wali kiya baat ha ..tum hamesha galat boltay rahtay ho....iss per logo na uss se poucha kiya woh ghora teri zindagi nhi tha...uss admmi na kaha nhi woh tu meri zindagi ka hissa tha ...uss ka chalay janay se meri zindagi ka woh hissa nikal giya magar baqi zindagi tu ha Uss kay chalay janay se meri zindagi tu khatam nhi hoti....uss ko jana tha chala giya...
    iss per logg ussay pagal kah kar chalay gay...
    7 ya 8 mah baad woh ghora jo jungle mai bhag giya tha wapis louta aur apnay sath 7 aur ghoray bhi la kar aya ....yani abb uss admmi ka pass 8 ghoray luat kar aiy...Iss per logoo na uss admmi ko khushbakht kaha aur kaha kah teri kesmat bohat achi ha ..teri zindagi se aik ghora giya tu 8 wapis agay ...tu bohat khushnasiib ha...
    Iss per uss admmi na kaha kah iss mai khushnasibi ki kia baat ha ..tum hamesha galat kahtay ho ....ya ghoray jungli hain unko paltu bana na bohat muskil kam ha aur iss se meri zindagi ya kismat ki khushhali ka koi taluk nhi ha...
    Uss admmi ka beta jo jawan hochuka tha uss na un jungli ghoro ko sudharnay ki than li aur un sab ko rasiyan dal di ...Uss ka beta aik ghoray ko sudharnay ka liya uss per sawar ho kar jungle ki tarh chala giya ....kuch dair baad woh admmi apnay betay ko jungle se zakhmi halat ma lakar aya...jungli ghoray na uss ka beta ko zamin per gira diya tha jes ki wajha se uss ki Ran ki hadhi toot gai thi.....
    logg phir uss admmi ko kahnay lagay teri zindagi tu tabha ho gai abb tu kiya karay ga teray betay ki tu zindagi hi khatam hogai ...kitna badnassib ha tu ...ab teray betay ka kuch nhi hosakta.....
    iss per uss admmi ko loggo per bohat ghusa aya aur uss na unhay kaha kah tum log hamesha galat hi boltay ho ...meray betay ki sirf ran ki hadhi tooti ha uss ki zindagi abhi bhi baqi ha aur uss ki zindagi tabha nhi hoi.....
    kuch dino baad badshah ko jung ka liya jawan larko ki zaroort paish aiy uss na hukum kiya kah gaown ka tamam sehat mand larko ko jungle ma training ka liya la jaya jay...gaown kay tamam jawano ko zabardasti jungle la jaya giya .....us admmi kay beta ko na-ahal aur hadi totnay kay bais ussay chor diya giya gaown ma ...tamam gaown ka logo na us admmi ko khushkismat kahna shrou kardiya aur kaha kah teray beta ki tu zindagi bach gai woh bohat khushnasib ha....
    iss per phir admmi na logo se kaha kah tum galat kahtay ho. Iss ma khushnasibi wali koi baat nhi ha...meray betay ki ran ki hadi tooti ha ...uss ki khushkismati ki iss ma koi baat nahi.....

    Maina ya kessah ASfaq Ahmed ki kitab ZAWIYA mai parha ..unho na mazid ya kaha ka Ghum ya muskilat ka waqt hum kahtay hain kah humari tu zindagi hi tabha hogai.......abb meray kiya hoga..... ya muskil khabi haal nhi hogi....ya ghum khabi khattam nhi hoga ...hum mazeed ya bhi kah diya kartay hain meri zindagi hi khatam hogai ha......hum mai se aksar logg muskil ya ghum ka sammna kartay howay asa khatay hain....
    Asfaq sahab kahtay hain kah ya muskilat ya musibetain ghum ya sab humari zindagi ka bohat chota hissa hoti hain Unko hum "minute fractional part of our life" kah saktay hain......un muskilat ya ghum se zindagi khatam nhi hoti zindagi tabh nhi hoti ...oper wala har waqt app ka sath hota ha...woh dekh raha hota ha app ko azma raha hota ha kah un muskil waqt ma app uss ki di hoi bari bari nainemto ko ,khusiyon ko yaad rakhtay hain ya nahi .............tu jo log ya kahtay hain kah abb mera kiya hoga ...ya phir mera tu kuch nhi hopaiy ga meri zindagi tabh hojay gi. Kiya asay logg Allah ki di hoi woh khusiyan, woh naiymtein jo kah bayshumar ha unko yaad rakhtay ha????????????
    App khud souchiya kiya ya sahi ha???
    Iss ki misal Asfaq sahab nay mazid iss tarhana di kah Aik buzurg apnay potay ko gari mai betha kar shishay se bahir ka khoubsurat manzar dekha rahay tha....Barish aur uss mai nikhartay howay phool poday ...badloo se bhara khubsurat asmaan. Magar woh bacha sirf khirki kay aik tarf hi dekhi ja raha tha ...buzurg na gour kiya kah woh tamam khubsurat manzar chor kar aik hi jaga dekh raha ha .unho na dekha tu pata chala kah jes jaga woh bacha dekh raha tha wahana aik makhi mari hoi thi .Jesay amm tor per bachay kaha kartay hain 'chie chie' uss na un buzurg ko kaha kah mai nahi kuch dekhta ya dekhain chie chie gandigi ....Uss aik choti se mari hoi makhi ki wajha se sara khubsurat manzar uss ka liya baymani hogiya ...App hi batiya kah kiya ya uss khubsurat manzar (barish aur uss mai nikhartay howay phool poday ...badloo se bhara khubsurat asmaan) kay sath insaaf hoga? kiya uss mari hoi makhi ki wajha se waqi baqi ka khuobsurat manzar kharab ho sakta ha!!!!!
    ISs per ghaur kijiya ....Apni zindagi mai ghum , musibton aur muskilo ka samna himat se karen aur Har haal ma Allah ka shukar kijiya!!!kiun kah Allah app ko har haal ma, har waqt dekh raha ha!!!
    Allah hum sab ko hadiyat day aur humay uss ka ahkaamat per amal karnay ki toufeeq day :insha: (Ameen):rose
    Last edited by fari; 9 June 2006, 15:08.


  • #2
    Re: Na shukray Logg!

    Best post.............................thnks for sharing....
    Elfaz nahi hain etni achi post k liy....

    Comment


    • #3
      Re: Na shukray Logg!

      Very Nice sharing...
      Life is more strict than a teacher
      A teacher teaches a lesson
      and takes an exam.
      But life takes an exam
      and then teaches a lesson

      Comment


      • #4
        Re: Na shukray Logg!

        nice sharing Fari ji .... be happy:rose
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #5
          Re: Na shukray Logg!

          App sab ka parhnay ka shukriya !!!!:phool:
          Asfaq Ahmed ki kitab Zawiya parhnay ka moqa khabi app ko milay tu zaroor parhiya Uss ma choti choti batoon ka zariya bohat achay tariqay se bateen beyan ki gai hain ................:rose :salam:

          Comment


          • #6
            Re: Na shukray Logg!

            Assalaam-0-Alaikom:rose

            very very beautiful .... very true....
            For New Designers
            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

            Comment


            • #7
              Re: Na shukray Logg!

              nice sharing :)
              keep it up :)
              Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
              Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
              Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
              Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

              Comment


              • #8
                Re: Na shukray Logg!

                Rida jee aur Zeeshan ap ka parhnay ka Bohat shukriya:rose

                Comment


                • #9
                  Re: Na shukray Logg!

                  Ameen
                  aap ney bahut khobsurat khobsurat baatay bayan ki hay un kay lia bahut bahut shukriya
                  Jazak Allah khair
                  wasalaam..

                  Comment

                  Working...
                  X