Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~*~*Oliya ki Shaaaaaaaaan~*~*
Collapse
X
-
Re: ~*~*Oliya ki Shaaaaaaaaan~*~*
jazak ALLAH shahabaz bohat khooob nice sharing aaj k by deen aur ilahadi dooor main waqehi oliya ALLAH ki suhbat ki zaroorat har us insaan aur bilkhsuos muslaman ko hy jo k apni sab se qeemti matah yani imaaan ko bachana chata hy taham zaroorat is amar ki bhi hy k hum oliya ALLAH k naam par dukany sajany walon se bhi bakhooobi agaho hon aur un k shar pasndi se bhi mehfooz raheeen w/slaaam aabiساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Re: ~*~*Oliya ki Shaaaaaaaaan~*~*
Assalaam-0-Alaikom:rose
:jazak:
v nicee sharing
Comment
-
Re: ~*~*Oliya ki Shaaaaaaaaan~*~*
:SubhanAllhaa: :rose :jazak: :rose Ap ko jitni bhi duain di jain kam hain.:rose:rose :alhamd: :roseYeh Dunya hay yehan ik doosray kay kaam Ajaoyehan kay baad to bas apna apna bojh uthana hay:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
Comment
-
Re: ~*~*Oliya ki Shaaaaaaaaan~*~*
Asslam O Alykom
Agar Hum Islam Pr Aus Trah Aml Karain Gay Jis Trah Sihabah Kiram Nay Kia Tha To Kamyaab Hon Gay..............
Mughay Sif Itni Baat K Ajwab Dain K Kia Sihaba Kiraam Nay In Tareeqon Pr Aml Kia Tha Jo Aap Bayan Kr Rahay Hain????????//
Kia Quran Ki Yeh Tafser Sihabah K Dour Ki Hay ,mohadiseen Ki Hay Ya Aapki Apni Hay K Is Aayat Ki Bunyaad Pr Taswf K Sislon Ki Ishat Ki Jaayay.................
Kia Hamain Wo Taleemaat Kafi Naheen Jo Allah K Quran Aur Aaqa S A W S K Frmaan Main Mojod Hain???????????????
Aakhir Kyon Hum Aun K Ilawa Kisi Additional Rastay Ki Trf Nzrain Bhatknay Dain????????????//
Allah Frmaatay Hain<<peechay Chalo Aus Cheese K Jo Tumharay Rb Nay Tum Pr Utari Aur Na Gumraah Ho Jaao Raston Main K Yeh Tumhay Seedhi Raah Say Bhatka Dain Gay................
W Slam
Mugheera
Comment
-
Re: ~*~*Oliya ki Shaaaaaaaaan~*~*
Assalaam o alaikum
Janab mugheera saab aap nay nihaayat taaerana nazar say iss post ka mutaalea kia hay.. aap ko itni halki nazar say iss mutaaliaa nahi karna chahiyai thaa..
bilkul sahi kaha aap nay k ALLAH nay jo quraan dia Sarkar sallallaho alaihe wasallam nay jo hadees di wo hi hamaray liay nijaat ka rasta hay.. sihaba e kiraam rizwan ullahi alhim ajmaaen b hamaray liay mashal raah hain. auliaa ka raasta kya inn say juda hay kya wo kisi aur khuda k maannay ki taaleem daitay haiN kya wo sahaba e kiram ka radd kartay haiN kya unhoN nay apni hadeesaiN alehda banayi hui haiN wo aayaat quraan e paak k ilawa kisi aur jagah say paRh k sunaatay haiN? aap nay to kabhi kisi wali ki kitaab ka pehla page nahi daikha agar daikha hota to aap yai jasaarat kabhi b na kartay...
aaj hamm jiss khittay maiN reh rahay haiN yaani barr e sagheer paak o hind yahaaN deen islaam inhi bazurgon k tufail aayaa hay aur kisi sahabi ki wajah say b'raah e raast yahaan deen e islam ki shamaa nahi roshan hui.. Shah Abdul Haqq Muhaddis Dehlvi jaisay muhaddiseen e kiraam aur Khwaja Ghreeb nawaz syed moin ud din chishti ajmeri Rehmat ullah alaih jaisay mubbaligh jinhoN nay ahadees ka ilm aur deen ki tableegh ka baiRa uThaya aur 90,00,000 musalmaan kiay..
lahore maiN hazrat Data Ganj bakhsh Ali hajweri ki aamad say musalmaan huay log.. pakpatan maiN baba fareed ganj e shakar nay logoN ki zindagi maiN islam dakhil kia jhang maiN janab Hazrat sultan Bahoo Rehmat ullah alaih nay apnay aap ki pehchaan aur rabb k say taaluq ki baat ki.. aur iss tarah ki bay shumaar misaalaiN haiN jo yahaan byaan nahi ho sakti haiN....
mujhay to aap pay hairat iss liay ho rahi hay k jabb ALLAH Ta'alaa kehta hay k wo meray dost haiN aur unn ki zindagi k saaray haalaat bataatay haiN k unhoN nay apni saari zindagi ALLAH k liay waqf ki aur ALLAH walay huay kehlayai aur dunia nay mana .. jo qareeb hua uss nay daikha parkha janacha aur sar e tasleem adab say jhukaa gya... aur aap jaisay log door baiThay unn par ta'n op tashnee' ka silsila shuru kiay huay haiN... maiN q k aaj k daur maiN paida hua hooN iss liay mujhay aaj kal apnay mohsinoN pay tanqeed karnay walay ajeeb nahi lagtay... q k inn logoN nay iss k ilawa koi kaam hi nahi kia....
khuda ra apnay inn bazurgoN ko kisi firqa parasti ki bhaint na charhaayain inn ki taaleemaat daikhaiN paRhaiN samjhaiN phir pata chalay ga k kya kehtay haiN kya paigham hay aur kitna sacha aur kitna pur asar hay...
Wassalaam
BaykamalLast edited by baykamal; 19 July 2007, 04:15.
kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho
Comment
Comment