Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ahadith on Ramadhan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ahadith on Ramadhan

    Assalamalikum
    is thread main sirf wo hadees share karian jo Ramazan k topic pay houn :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Ahadith on Ramadhan

    Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu t’aala Anhu Farmate hain k Huzoor Sallallahu T’aala Alaihiwasallam Farmate hain “Jab Ramzaan aata hai, aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain. Ek riwayat Mein hai k “Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.”Ek Riwayat Mein hai k “Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain”(BUKHARI & MUSLIM SHARIF)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Ahadith on Ramadhan

      Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Huzoor – e – Aqdas sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate haiN. (NASAI SHARIF)
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: Ahadith on Ramadhan

        Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain.

        (BUKHARI)
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Ahadith on Ramadhan

          Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge.

          (BUKHARI,Muslim SHARIF)
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: Ahadith on Ramadhan

            Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Irshad Farmate hain Agar kisine ek din nafl Rozah rakha Aur Zameen Bhar use sona diya jaaye jab bhi uska sawaab poora na hoga. Uska Sawaab to qayaamat hi ke din milenge.

            (TIBRANI)
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: Ahadith on Ramadhan

              Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasool-E -Akram Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne farmaya “Har cheez ke liye zakaat hai aur badan ki zakaat Rozah hai aur Rozah Aadha sabr hai.

              (Ibne Majah)
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Ahadith on Ramadhan

                Hazrate Abu MAsood Gaffari Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “Agar Bandon ko maloom hota k ramzaan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti k poora saal ramzaan hi ho.

                (Ibne Khuzaima)
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: Ahadith on Ramadhan

                  Hazrate Salmaan Farsi Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-e-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “ Ramzaan ki Raat Mein Qayaam (Namaaz padhna)Tato’o( Sunnat hai) Jo Isme NEki ka koi kaam kare to aisa hai jaise aur kisi mahine Mein farz ada kiya aur Isme jisne farz ada kiya to aisa hai jaise aur dino Mein 70 farz adaa kiye.

                  (Baihaqi)
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ahadith on Ramadhan

                    hazrate anas Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor-e- aqdas sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya “SEHRI KHAO K SEHRI KHAANE MEIN BARKAT HAI.(bukhari&muslim )
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ahadith on Ramadhan

                      hazrate Sahal Bin Sa’ad RadiYallahu T’aala anhu Se Riwayat Hai K Huzoor E Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya HaMesha Log Khair K Sath Raheinge Jab Tak Iftaar Mein Jaldi Karenge(Bukhari, Muslim Sharif)
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ahadith on Ramadhan

                        Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat Hai K Huzoor sallalLaahu T’aala Alaihi wasallam Ne Farmaya K Allah T’aala Ne Farmaya Mere Bandhon Mein Mujhe Zyaada Pyaara Woh Hai Jo Iftaar Mein Jaldi Karta Hai. (Tirmizi)
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ahadith on Ramadhan

                          Hazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jab Tumme Se Koi Rozah Iftaar Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftaar Kare K Woh Barkat Hai Agar Woh Na Mile To Paani Se K Woh Paak Karne Wala Hai. (Abu Dawood, Tirmizi Sharif)
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #14
                            Re: Ahadith on Ramadhan

                            Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.(Nasai)
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #15
                              Re: Ahadith on Ramadhan

                              Hadees– Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.(Ibne Majah)
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X