Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

یوم دفاع اور ہماری زمہ داریاں

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • یوم دفاع اور ہماری زمہ داریاں

    :rose











    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: یوم دفاع اور ہماری زمہ داریاں

    Ghazala Toheed Sahiba sey guzarish hai keh likhney sey pehley haqaeeq ki talkhi ko jaanch lein, kyun keh haqaeeq bohat talkh hotey hain, isi liyey haqeeqat pesh karney walon ko hamarey muqaddas muashrey mein sachaii key alambardar qonuti (pessimist) soch rakhney wala kehtey hain. Ghazala sahiba mujhey maghrib mein shaya honey wala aik hi aisa jareedah dikha dijiyey jis mein Pakistani afwaaj ko baqaidgi sey nishana bnaya jata ho!! Sach yeh hai keh Pakistani fauj ko sirf aik baar ROGUE FAUJ key banners taley British media mein publish kiya geya tha, jab MUSHARRAF jaisa (ghadar-e-watan) ney Kashmir mein Kargil fatah kar key Hindustani fauj ki total naqal-o-harkat apni fauj key panjey mein ley li thi, us waqt NAWAZ SHAREEF jaisey paak'baaz siyasatdaan jo us waqt mulk key siyah-o-spaid ka maalik tha, key hukum per yeh advertisements publish hui thin!!! Un advertisements ka sara kharcha PAKISTANI BAIT-UL-MAAL sey ada kiya geya tha!!! Aap apney dushman apney mulk mein talash karein - woh aaj bhi aap key leader hain!

    Yeh article is baat ka khula saboot hai keh hamarey haan kis tarha awwam ki zehniyat ki tarbiyat jhoot per ki jaa rahi hai.

    Ghazala sahiba aap ko maloom hai keh HAR FARZ key saath aik HAQ bhi lagoo hota hai, woh kis ney ada karna hai????????????

    Aur aakhir mein main yeh janena chahoon ga keh hamarey Budget ka 70% to defence per jaa raha hai aur kitna jaey ga?????? Awwam ki bhi parwaa hai kisi ko??? Ya awwam ko jazbaat key bahaw per hi bahatey ley jana hai?????
    Last edited by Masood; 7 September 2009, 21:27.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: یوم دفاع اور ہماری زمہ داریاں

      nice one

      I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


      Comment

      Working...
      X