Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Quiz ..pak 1947-1967

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Quiz ..pak 1947-1967

    Assalamalikum
    pegham focus area kay silsilay main, main aik quiz shuru kar rahi houn ...main daily kuch questions pouchti rahoun gee aap logoo main say jis jis ko jawaab ata hai post kartay jaian ...main aglay din sahi jawaab post kar kay pher aglay sawaal pouchti jaoun gee ....yeh pakistan ki tareekh kay 1947 -1967 tak kay sawaalat/jawaabat houn gay :rose



    1)..Pakistan main Sindh Taas Muhaida kab tay paya ?
    2)..1948 main angraizoo nay Kashmir ko jis Raja kay hath beecha un ka naam bataye ?
    3)pakistan or Bharat ki sarhadoo kay tayaun karnay kay leye aik commission kis ki qeyadat main qayam kia gia ? un ka naam bataye?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Quiz ..pak 1947-1967

    Mindblowing question hain jawab talash ker ker likhta hoon

    Comment


    • #3
      Re: Quiz ..pak 1947-1967


      1)..Pakistan main Sindh Taas Muhaida kab tay paya ?
      1960 mein

      2)..1948 main angraizoo nay Kashmir ko jis Raja kay hath beecha un ka naam bataye ?

      Raja Gulab singh ya dileep singh thay

      3)pakistan or Bharat ki sarhadoo kay tayaun karnay kay leye aik commission kis ki qeyadat main qayam kia gia ? un ka naam bataye?

      Lord mount beton
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Quiz ..pak 1947-1967

        very Good wasi bhai 10/10

        Comment


        • #5
          Re: Quiz ..pak 1947-1967

          Thanx dear
          Ans sahi hain ya nahi ye to Aanchal he batain gi
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Quiz ..pak 1947-1967

            Originally posted by Aanchal View Post
            Assalamalikum

            2)..1948 main angraizoo nay Kashmir ko jis Raja kay hath beecha un ka naam bataye ??
            :mm::mm::mm:Aanchal yeh sawaal kuchh drust nahin hai....

            Angrezon ney Kashmir 1948 mein nahin becha tha 1846 mein becha tha - Raja ka naam Gulab Singh tha!
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Quiz ..pak 1947-1967

              Originally posted by Masood View Post
              :mm::mm::mm:Aanchal yeh sawaal kuchh drust nahin hai....

              Angrezon ney Kashmir 1948 mein nahin becha tha 1846 mein becha tha - Raja ka naam Gulab Singh tha!
              Raja dogara ko beecha tha na :) 75 laakh ropun kay ewaz..
              Last edited by .; 8 April 2009, 07:49.
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Quiz ..pak 1947-1967

                1)..Pakistan main Sindh Taas Muhaida kab tay paya ?


                1960


                2)..1948 main angraizoo nay Kashmir ko jis Raja kay hath beecha un ka naam bataye ?

                Raja Dogra

                3)pakistan or Bharat ki sarhadoo kay tayaun karnay kay leye aik commission kis ki qeyadat main qayam kia gia ? un ka naam bataye?



                Redcliff
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: Quiz ..pak 1947-1967

                  4)Quaid -i- Azam ki wafaat kab hovi?

                  5)State Bank of Pakistan ka ifftehah kab howa ?
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #10
                    Re: Quiz ..pak 1947-1967

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    4)Quaid -i- Azam ki wafaat kab hovi?

                    5)State Bank of Pakistan ka ifftehah kab howa ?

                    Q no. 4>> 11TH SEP....1948
                    Q no. 5>> July 1948?

                    Comment


                    • #11
                      Re: Quiz ..pak 1947-1967

                      Originally posted by Aanchal View Post


                      5)State Bank of Pakistan ka ifftehah kab howa ?
                      Yun tu British Government nay ... Indian Bank reserves ko divide 1947
                      mein hee kiya tha but ..... I think Bank nay kaam ...July ...1948 mein kiya!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Quiz ..pak 1947-1967

                        ur right Gul state bank 1 july 1948 mein 3 crore raqam se wajood mein aya
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: Quiz ..pak 1947-1967

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          Raja dogara ko beecha tha na :) 75 laakh ropun kay ewaz..

                          Aanchal main iska koi hawala dekhna chahta hoon kyun keh meri maloomat key mutabiq is naam ka koi raja nahin aur yeh waqeya 1948 ka nahin balkeh 1846 ka hai. Us sey pehley Anglo-Sikh War hui to Rajah Gulab Singh jo Rajah Ranjit Singh ka grandnephew tha, usney angrezo ki hamayat ki aur uskey ewaz agrezon ney ussey 75 lakh key ewaz Kashmir bech diya. Magar yeh 1846 ki baat hai.

                          1948 mein pehli Pak-Bharat jang hui jo Kashmir per hi thi to 1948 mein angrez kaisey bech saktey hain??????
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Quiz ..pak 1947-1967

                            Originally posted by Masood View Post
                            Aanchal main iska koi hawala dekhna chahta hoon kyun keh meri maloomat key mutabiq is naam ka koi raja nahin aur yeh waqeya 1948 ka nahin balkeh 1846 ka hai. Us sey pehley Anglo-Sikh War hui to Rajah Gulab Singh jo Rajah Ranjit Singh ka grandnephew tha, usney angrezo ki hamayat ki aur uskey ewaz agrezon ney ussey 75 lakh key ewaz Kashmir bech diya. Magar yeh 1846 ki baat hai.

                            1948 mein pehli Pak-Bharat jang hui jo Kashmir per hi thi to 1948 mein angrez kaisey bech saktey hain??????
                            main is ki detail post kar doun gee :thmbup:
                            Attached Files
                            Last edited by .; 8 April 2009, 17:29.
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #15
                              Re: Quiz ..pak 1947-1967

                              Originally posted by Gul View Post

                              Q no. 4>> 11TH SEP....1948
                              Q no. 5>> July 1948?
                              bilkul theek :clap:

                              Quaid-i-Aazam ki wafaat ...11th sept 1948
                              state Bank of pakistan ka iftethah ... 1st July 1948
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X