Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Punjabi zaban di tareekh

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Punjabi zaban di tareekh

    assalamalikum

    punjabi zaban kay baray main kuch paraha tha to soocha aap sab kay sath bhi share kia jaye :) yeh urdu main hai :rose




    Punjab ki elakai zaban punjabi hai ...is zaban ka silsila "Parakaat" zaban say milta hai

    jo pooranay hindi Aryaoun ki madri zaban hai..punjabi zakheera-e-alfaaz main Arabic, TURKEY, OR

    FARSI zabanoun kay alfaaz bhi shamil hain ... punjab kay mukhtlif hissoun main booli janay wali

    punjabi main lab-o-lehjay ka thora buhat faraq hai.....Qadeem Budhmat kay chand peeshwaaoun nay

    punjabi zaban main mazhabi nazmian likhi thein jo punjabi Adab main qadeem tareen shoomar hoti

    hain ....

    Muslman buzrgoun or soofya-e-karam nay isi zaban main logoun ko islam or insaan doosti ka sabak

    parhaya hai ....isi zaban kay pehlay shooura main Baba Fareed Ganj Shakar (r a)ka naam ata hai

    ...

    Jaag fareed sutiya teere dhadhay naal pareet
    toun sutta oo jagda kithoun di aye reet

    Elawaazeen Sheikh Ibrahem(r.h) Madhoo Laal Hussain (r.h)Sultan Bahoo (r.a) Fazal Shah , Baba

    Nanak or Bullheye Shah kay naam buhat mashoor hain ..unhoun nay is zaban ko or bhi taraqqi di

    ..Madhoo shah or Bullheye shah ki Kafiyan aaj bhi mazhabi mehfiloun main zook shook say suni jati

    hain jo logoun ko neki or khaloos ka sabaq daiti hain ...Sultan Bahoo (r.a) ka yeh kafi zaban

    zadd-e-aam hai ...

    Alaf Allha chanbey di booti murshid man vich lai hooo

    Punjabkay shehroun ki nisbat deehat ki zaban main buhat sheereni hai ..is kay sabab say baray

    shayar WARIS SHAH nay "HEER RANJHA " main yaha ki roozmarra zindagi ka behtreen naqsha kheencha

    hai ....punjabi zaban kay look geet buhat raseeley hain .. baaz qisseye Heer Ranjha ,Sussi

    Punnoun ,Saif ul malook , or Yousaf Zulekha tamam pakistani zabanounka mushtrika sarmaya hain

    ....

    Besveein sadi kay aghaaz main is zaban main nawal , drama or afsaana likhnay k areewaj hova ..or

    punjabi sahafat bhi shuru hoo gai ...1970 kay bad punjabi main jadeed mozooaat masalan Art,

    falsafa, tareekh , lesaaneyaat, moasheeyat , geography , tibb or qanoon waghera par kitabain

    likhnay ka roujhaan peeda hova or aaj is zaban main ilmi shahkaroun ka zakheera mojood hai is

    leehaz say is zaban ka mustaqbil roushan hai .....
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Punjabi zaban di tareekh

    Aanchal aap ne bohat achi cheez humaer sath share ki hay :rose is se malooMat main kaafi izafa hua hay ........
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Punjabi zaban di tareekh

      nice sharing..:rose
      Main nay soch liyeah hai
      Mujhay Pathar ban kar rehna hai !!!

      Comment


      • #4
        Re: Punjabi zaban di tareekh

        nice sharing

        Comment


        • #5
          Re: Punjabi zaban di tareekh

          :welcome: :welcome: www.jandanwala.com:welcome::welcome:

          Comment


          • #6
            Re: Punjabi zaban di tareekh

            apna punjab hovey
            Attached Files
            :welcome: :welcome: www.jandanwala.com:welcome::welcome:

            Comment


            • #7
              Re: Punjabi zaban di tareekh

              come on punjabis
              :welcome: :welcome: www.jandanwala.com:welcome::welcome:

              Comment


              • #8
                Re: Punjabi zaban di tareekh

                Hmmmmm........me Kuj Hor V Share Kran Gi
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment

                Working...
                X