Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
مغلیہ تہذیب کا زوال ہمعصر مغربی تہذیب کے آ
Collapse
X
-
Re: مغلیہ تہذیب کا زوال ہمعصر مغربی تہذیب کے آ
ایک تہزیب کا اختتام ہوا مگر اس کے اثرات آج تک محسوس کئے جارہے ہیں اور جانے کب تک کرنے پڑیں گےکاش یہ وقت کے ساتھ چلتے تو آج برصغیر پاک و ہند ایک عظیم ریاستیں ہوتیں تیسری دنیا کی پسماندہ ممالک نہیں ۔۔ بہت خوب جناب عامر خان داد کے مستحق ہیں آپ اتنی بہترین تحریر کے لئے ۔جس میں آپ کا قیمتی وقت اور محنت دونوں لگیں امید ہے آئندہ بھی ایسی اصلاحی اور تاریخی غلطیوں کو سامنے لائیں گے جن کی وجھ سے آج تک ہمارا ملک پیچھے ہےLast edited by Jamil Akhter; 3 December 2011, 23:02.ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں
Comment
-
Re: مغلیہ تہذیب کا زوال ہمعصر مغربی تہذیب کے آ
@ Aamir Khan
Aap ka analysis perha lekin mujay is angreezon ki kaamyaabiyoon aur Mughloon ki nakaami ki jo asbaab aap ne beyaan kiye un mein kuch khaas rabt nahi nazar aaya. Angraiz aur europe ki taraki aik taraf, mere nazdeek Mughloon ke zawaal kay asbaab to kahin na kahin khud mughloon ki policies aur governance mein chupay thay. Aik projectile ki tarah Mughloon ki hakoomat ki jo trajectory bani us ka extreme point Aurangzaib ka door tha jis mein puri dunia ki 28% doolat sirf mughloon kay paas thi. Yani yahi aik extreme point bhi tha aur isi point se he Mughloon ka downfall bhi start hua. In k baad aane walay deegar mughloon ko ya to ziada dair takht per brajmaan rehne ka ziada mooka nahi mila ya yeh internal politics ka shikaar rahay. Diplomatic failure aur halaat ki sahi tarah se assessment na kerna bhi in ka blunder tha.
1757 mein Mir Jafar jo k sirajud'doola ki fooj ka sipa salaar tha aur bangal ka hakam banana chahta tha usi ki babat angraiz plasi ka pehla maarka maarnay mein kaamyaab ho gaye. Yeh wo waqt tha jub Angraiz k paas ziada fooj bhi na thi aur angraiz fooj ka aik bara hissa France mein Nipolean Bonapart k khilaaf mahaz per tha jo k angraizon ko naakon chanay chabwa raha tha. Aisay mein bar-e-sagheer mein hamaray ghadaar generailon ne he wo kaam ker dikhaya jo angraiz kabi sooch bhi na sakta tha.
Angraiz hoon, Dutch, Spenish, Purtagese yeh sabhi koomein itna apni technology se nahi banein jitna yeh loot kay maal se bani hein. Jahan per Christopher columbus ne America ja ker croron red indians k katal ker k loot khasoot k Spain ko mazboot kia wahan per per Vaskoday Gama ne kali kut se entry maar ker hindustan mein loot khasoot ka bazar garam kia aur jitna maal asbaab loota wo saaray ka sara apne mulk Purtagal muntakil kia. Trade se ziada in mulkoon ki mazbooti behri kazaaki aur invasion se mashroot thi aur is se berh ker aik cheez mein thi ke yeh mulk aik koom thay. Jub k Babar ne jub Lodhi dynasty ka khatma kia wahan per sub se bara dispute bhi yahi tha k yeh saltanat ka haqdaar Ibrahim lodhi he ya ke Ameer Taimoor k legal heirs jo k asal mein Uzbek, mangolia aur us k parallel region kay haqdaar thay. Lodhiyoon, Rajpooton, marathoon aur sikhoon se incompatability aur Babar k apne betoon mein saltanat k liye hameesha dispute raha. Afghanistan se Dehli Aagra tak pheeli hui saltanat in ke apne he na itfaaqi se kai hisoon mein takseem rahi. Sher Shah suri ne bhi Hamayun ko itna nuksaan nahi pohanchaya jitna us ke apne bhaiyoon ne usay pohanchaya. Mughal jin ki shakhein Chingaiz khan, ameer taimoor jese cruel invaders se nikalti thein wahan in mein bhi kuch aisay he traits baki thay jin ki asaas zulm aur na-insaafi per rahi. Mera yeh manana he k East india company ager Bar-e-sagheer mein na bhi aati to bhi Mughloon ki hakoomat ka sheraaza 18wein sadi tak bikhar he jana tha.:thmbup:
Comment
-
Re: مغلیہ تہذیب کا زوال ہمعصر مغربی تہذیب کے آ
@ ms
محترم ۔۔۔اگر اپ پوسٹ کو بغور پڑھ لیتے تو
اپ کو ان سوالوں کا جواب اور ربط یہی سے مل جاتا
اپنی پوسٹ کی پہلی قسط میں میں نے تفصیل سے مغلوں
کے زوال کے اسباب کو قلمبند کیا تھا پھر جب مغل تہذیب کو معاصر
مغربی تہذیب کے آئنے میں دیکھنا تھا تو انگریزوں کی عروج پہ
بھی روشنی ڈالنی تھی۔۔اس بات سے ہٹ کے پیسہ لوٹ کا تھا یا
کمایا گیا وہ دنیا پہ اپنی ٹیکنالوجی اپنی بہتر جنگی
صلاحتیتوں سے قابض آئے تھے
اور مغل معاشرہ بند اور جامد تھا میں نے پوسٹ میں بہت گہرائی سے
اس کا تجزیہ کیا ور اس کے اسباب بھی بیان کئے ہیں
خوش رہیں
کیپلر
:(
Comment
Comment