Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ek ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ek ghazal

    dil mein bikhray howay jaloun se perishaan na ho
    mere guzre howay saalun se perishaan na ho

    meri awaaz ki talkhi ko gawara kar le
    mere gustakh sawaalun se perishaan na ho

    mein ne mana teri ankhian nahi khulti hain magar
    din niklne de ,ujalun se perishaan na ho

    apni zulfun mein utarti hoi chandni ko chupa
    mere bikhre howay balun se perishaan na ho

    a nai dost mein bharpoor howa hun tere
    mere mazi k hawalun se perishaan na ho

    dekh yun duur ho muj ko laga le dil se
    tu meri rooh k chalun se paerishaan na ho

    khud ko weraan na kar mere liay ,jaan meri
    in perishaan khayalun se perishaan na ho :rose

  • #2
    Re: ek ghazal

    nice choice..

    Comment


    • #3
      Re: ek ghazal

      bohat khubsurti se jazbaat ko beyaan kiya hai
      well done
      :rose
      :rose Refreshing_breeze :rose

      Comment


      • #4
        talash

        gali mein dard k purzay talash karti thi
        mere khatut k tukray talash karti thi

        bhaulay kon izet pasandiyan uski
        khushi k dhaar mein sadmay talash karti thi

        ajeeb hijar parasti thi uski fitrat mein
        shajar k tootay patay talash karti thi

        qaim karti thi wo muj mein soofuyoon ki tra
        udass roh k gooshay talash karti thi

        tamaam raat parday hata kar chand k sath
        jo kho gay thay wo lamhe talash karti thi

        kuch isliay bhe mere ghar se usko washat thi
        yahan bhe apne pyare hi talash karti thi

        ghuma phira kar judai ki baat karti thi
        humasha hijar k harbay talash karti thi

        tamaam rat wo zakhma k apni puroon ko
        mere wajood k raazay talash karti thi

        duayin karti thi ujhray howay mizarun per
        bare ajeeb saharay talash karti thi

        mujhe tu aaj batya hai badlun ne WASI
        wo loat aane k rastay talash karti thi:rose

        Comment


        • #5
          Re: ek ghazal

          buht khooob:phool:
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: ek ghazal

            bahoot khoob janab
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: ek ghazal

              nice
              Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
              Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

              Comment


              • #8
                Re: ek ghazal

                wow nice sharing

                Comment

                Working...
                X