Saath hi munshiye Rehmat ka qalam daan gaya
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere Maula mere Aqa Tere qurbaan gaya
Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya
Unhein jana unhen mana na rakhha ghair se kaam
Lillah hil Hamd mein Duniya se Musalman gaya
Aur tum par mere Aaqa ki Inayat na sahi
Najdiyo Kalmah parhane ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya
Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahunche
Tum nahin chalte Raza sara to samaan gaya
Comment