naat kehne ka kisi ko jo hunar aata hai
uss ko har lafz mein quran nazar aata hai
manzil-e-ishq-e-mohammad se guzarne waloon
khuskh ashjar ko dekhe to samar aata hai
apne jaisa usse kehte hain zamane wale
woh jo ik lamhe mein meraj bhi ker aata hai
ilm ka shaher mohammad hain ali darwaza
shaher jane ke liye raah mein dar aata hai
zulf-o-abro hi mein uljhi hai abhi tak dunya
laut ker jis ke ishare pe qamar aata hai
naaz ker apne muqaddar pe zameen-e-makka
paker-e-noor hai jo ban ke bashar aata hai
mein jo rehan gaya roza pe un ke to suna
subah ka bhoola huwa shaam ko gher aata hai

Comment